Sitting in front of the mirror, a girl could be seen getting readied by her servants, she looked very pretty, yet her eyes carried tears. An elderly woman entered inside.
"Ekaant."
The servants left. The girl stood up and looked at her sadly.
"Janvi betay, hum jo bhi kar rahay hain na, aap ki bhalaai ke liye kar rahay hain, aaj aap ka swyamwar hai, aap ke liye bohat bara din hai, isliye aap is din par roiye mat bachay."
J~roein nahi toh kya karein? Hass lein? Ke aap log ke saath chand pal he milay? Maa, baba se kahiye na ye faisla na lein? Is swyamvar ko toh ek haftay baad hona tha na? Phir aaj kiun maa? Humare samay ko itna kam kiun kar diya aap ne? Bachpan se he aap log ne humein door rakha, ab jab hum wapis aye, toh pehle kaha ek haftay baad ho ga humara swyamwar, lekin phir achanak kaha ke aaj hai
There was a knock at the door, the duo's gaze diverted.
J~baba, (an elderly man entered) baba mat lijiye ye faisla
"Pragya ab aap he samjhaiye inhein, hum ne ye faisla in ki he toh bhalaai ke liye liya hai."
Pr~Abhishek hum ne kaha lekin...
J~kaisi bhalaai baba? Kaisi bhalaai? Koi apni he beti ko khud se door kaise rakh sakta hai itne saalo'n tak? Bas sirf ek he haftay ka toh samay maang rahay hain hum, kya ye maang lena bohat hai baba?
Ab~nahi betay
J~kya aap hum se prem nahi kartay?
Ab~hum bohat prem kartay hain betay
J~jhoot, bilkul prem nahi kartay, jabhi khud se door rakhtay hain
She cried.
Ab~aisa nahi hai, bilkul nahi hai. (he took a deep breath) jungle ke us paar ek shaapit jeev rehta hai, Viraj naam hai us ka, har poornima ki raat ko aata hai aur sab tehes nehes kar deta hai, kal raat ko wo aya tha humare kamre mein, tumhe maangne ke liye
J~aap us rakshas ke darr ke kaaran humein bhej rahay hain door? Nahi baba, us ke darr se humein door mat bhejiye
Ab~afsos ke hum aisa chahte huay bhi nahi kar saktay, agar hum ne aap ko yahan rakha, toh wo aap ko le jaaye ga, phir pata nahi kya karay ga aap ke saath
YOU ARE READING
Andhera Hai, Magar Phir Bhi Mera Hai
FanfictionPrincess Janvi is forced to choose a husband from a group of princes, but her heart belongs to Viraj, a mysterious and feared rakshas (demon) who has been terrorizing the kingdom. Janvi's parents, the king and queen, are determined to keep her away...