Characters background story & behaviour

265 19 6
                                    

Last chapter me mujhe realise hua ki maine characters ke real form ko dikhaya nahi to readers incidents ko misinterpret kar sakte hai. So here it is

Naina - Naina is story mein sab se jyada calculative hai. Wo apne saare emotions ko chupane ek very normal adult ka dikhawa karti hai. Naina ke liye Aakash uska support system hai jo use hasa hasa ke har dukh bhula deta hai. Par aalekh ne jab uski aankhon mein dekha tab use aisa laga ki wo uske dil ki baat aakho se hi Jaan lega. Aur hua bhi aisa hi use aalekh se baat karne ke liye kuch bolne ki jarurat hi nahi

Aakash - Aakash Naina ka school time bestie hain. Dono ne puri life sath Kati hai. Inke parents doctors hai aur uske liye kabhi time nahi nikal paye. Iske liye family se aage hai Naina. Swabhav apne peshe jaisa hai. Naina ke alawa kisi pr vishwas nahi. Apne professional skill ko itna polish kiya hai ki acche khase successful business man ko suicide karvade. Ek { mystery } friend ki badaulat inhe terrorist ko torture karne ke mauke bhi mile hai. Isiliye can be ruthless at times.

Rajveer - Naveen Gunny aur Shalini ke alawa ye apne tathakathit parent (Lala) par bhi bharosa nahi karte. Inke hisaab se most effective strategy is wolf 🐺 in a sheep's 🐑 clothing. In short, sirf dikhte hai ye Swami type ke par hai bade harami type ke. Ladkiyon se flirting chodke har shararat kar chuke hai ye apne dino me. Aakhe aur kaan har jagah active hote hai jab tak sure na ho tab dimag ki baat juban par nahi aati

Aalekh - ye silent observer hai. Kuch kehte nahi par inhe sab samajh aata hai.Naina ko pure Dil se behan mana hai. Pr K ke liye jo butterfly 🦋 ud Rahi hai use nahi jante.

Ali - KMA me soldier banne aaye hai. Pr Pooja ji ke network me lock ho gaye. Isiliye khudko aasikana harkat karne se rok lete hai.

Pooja - dikti najuk chuimui hai. Pr man faulad ka hai. Phisalti grades ki wajah se hockey join kiya tha pr jab baat permanent settlement ki aayi to sab kuch chod ke kma aa gayi. Apni behen ke alawa Ghar me kisi se baat nahi hoti.

Huda - yaha khud ko pados wale sharmaji ke bete se behtar sabit karne aaya hain taaki koi uske parents ko ye na kahe ki unka beta nalayak hai kaamchor hai ya gharme hi baitha rehta hai. Huda samajta hai ki wo sabse best hai aur problematic cheejo se dur rehna chahta hai. Iske chakkar me rude ban chuka hai. Big ego problem. Smile ke piche dard chupa hi leta hain

Yudi - Ghar se almost bhag kar aaya hai. Physically bhale hi kamjor ho pr iske apne hi technological faide hai. He is patla packet mota dhamaka 💥 bina height ke admission kaise milega

K - [ secret identity ]

Naina Ahluwalia Shekhawat Where stories live. Discover now