part 10

290 22 39
                                    

Arora mansion

Preeta came downstairs yawning...she looked at malti and smiles hugging her from back

Preeta : good morning malti maa....(malti smile and held her face)

Malti (looked at her) : aree preeta yeh kya beta....tu is tarah kyun aa gyi niche....nayi naveli dulhan aise rehti hai kya....na sindur na mangalsutra h gale mein..

Preeta : malti maa....woh shaadi...meri jeet ke liye naatak thi.....naatak ki chizein lauta di jaati h

Malti : preeta....shaadi naatak ya khel nhi hota beta.... sindur mangalsutra....patni pati ka saath bnata hai....pati jab maang mein sindur bhrta hai... mangalsutra pehnata hai....woh sirf rishtey mein bandhta nhi patni ko...vachan deta hai saat janmon tk ke saath ka...aur patni us vachan ko nibhane ke liye...apne pati ke har pal saath bne rehne ke liye

Preeta: ohoo malti maa...aap na baht bholi ho...aaj ke zamane mein yeh sab kuch nh hota....waise pati se yaad aaya....hai kahan woh mr karan luthra

Malti : damaad ji toh subah subah hi kaam pr chle gye...(preeta stood up in shock)

Rakesh (come to them) : kya hua beta...aise khdi khun ho gyi chauk kr

Preeta : dad maine us naukar ko bola tha ...woh isi ghar mein rhega....toh uski himmat kaise hui meri baat kaatne ki...

Rakesh : job uski hai....tu kon hoti hai usee hukum dene wali....karan tujhse shaadi krne ke baad bhi apni job continue kr rha hai...tujhe proud hona chahiye...aur tu aise act kr rhi h..

Preeta : ohh come on dad..... proud....uske liye....jo meri ijjat dubo rha hai....woh preeta arora ka pati hai.....preeta arora ka .....aur usee koi hak nhi dusre ke liye naukar bnne ka.....baht shok h bhi agar....toh mera bne.....jiske liye maine usse shaadi ki hai....mai usee chorungi nhi.....aaj ek baar fir jab sar jhukega uska...tb usee samjh aayega....ki preeta arora jo kehti h woh krke dikhati h

Preeta left upstairs.... rakesh malti sighs looking at each other

Rakesh : kaise samjhaun mai isee malti ji.... Kyun meri beti ek nhi sunti meri...

Malti : usee samay dijiye bhaisahab....woh zarur samjhegi yeh mera vishwas h

Rakesh: aap itne yakeen se keh rhi hain...pr yhan baap ka vishwas khud ki parvarish aur apni beti pr se dagmagata jaa rha hai....kalpana ki ek ek jhalak...mujhe preeta mein dikhne lgi hai malti ji....us aurat ki jisne sab khtm kr diya tha apne pagalpan mein

Scene shifts

Restaurant

Karan walked outside locker room but was stopped by the manager who bowed his head infront of him

Karan : sir yeh aap kya kr rhe hn...aap aise mujhe abhinandan mt dijiye

Manager : karan...i mean sir....mai agar aapko greet nhi krunga...toh acha nhi lgega

Karan : sir....kyun keh rhe hn aap.....aap manager hn yhan ke ....mai ek gawar...aur mamuli waiter ....aap

Manager (cuts in) : aaj se aap waiter nhi hn yhan ke....hum is restaurant mein aap se kaam nhi kra sakte

Karan (confusedly) : kyun

Manager : aap industrialist rakesh arora ke damaad hn....unki beti ke pati....agar hum aapse yeh kaam krayenge....toh hum

Karan (cuts in) : toh aap keh rhe hn ....ab mera auda aapsab se ooncha ho gya hai...sir...maine agar ameer ladki se shaadi kr li hai iska matlb yeh nhi ki....ab mai apni asliyat bhul jaunga....mai yhan waiter hun....aur puri imaandari ke saath apna kaam krna chahta hun.....pls....aap mujhe mera kaam krne se mt rokiye....mai chlta hun... guest aa rhe hn....

AHANKAARWhere stories live. Discover now