Chapter 4

7 2 3
                                    

Poora ghar sajate sajate raat ho gayi thi aur yahan sabne pehle se hi day shift aur night shift fix kiya hua tha afla darishta (sorry yaar tujhe bade mein dala) numair shehzad aur- samajhlo bade jo log hain unka day shift tha ab choton ki baari hai

Raziya- Ayyy yeh aise nahi lagega, arre thik se laga, tch seedha nahi hai yeh.

Apni raziya begum khade hoke sabse yeh kahi jaa rahi thi par khud nahi kar rahi thi

Jannat- Ayyy behen tujhe ager accha nahi lag raha hai toh khud hi karle.

Raziya- Main kaise karun meri height toh tum log se kum hai na aur main toh abhi bacchi hoon 👶🏻.

Aqsa- Haan haan aur hum sab toh khambhe hain.

Saumya- Aur ek mazak toh bilkul bhi mat kar ke tu bacchi hai.

Kavish- Aur nahi toh kya raat ko chup chup ke ff padhti hai aur keh rahi hai main toh abhi bacchi hoon.

Taemoor- Please aisa mat bolo na  aap log raziya ne bhi bohot kaam kiye hain.

Junaid in mind- Le aa gaya majnu ki aulad.

Jannat- Haan haan yeh baith ke badam chhilke khana bhi toh bohot bada kaam hai, hai na?

Saumya- Aaya bada bohot kaam kiya hai raziya ne yaar ya toh tum dono kuch help karo ya toh phir chup rehke uss se bhi badi help karo.

*Taeziya* (taemoor+raziya) ab chup ho jaate hain aur phir se badam chhilke khana continue karte hain tab hi tokri ke phool khatam ho jaate hain toh kavish aqsa ko storeroom se aur phool laane ko kehti hai aur aqsa gayi phool laane ko par. . . . . . Raste mein speedbraker aa gaya and it was. . . . . . . . . Saafir

Aqsa- Aap abhi bhi jaag rahe ho?

Saafir- Kyun? Nahi jaag sakta?

Aqsa- Maine yeh toh nahi kaha, khair raste se hatho mere bohot kaam hai mujhe.

Saafir- Chhota sa break nahi le sakte?

Aqsa- Aur woh bhala kyun?

Saafir- Kyun ki mere paas.......

Aqsa- Tumhare paas?

Saafir- Do.......

Aqsa- Do??

Saafir- Kurkure ke do packets hain.

Aqsa- Oh wow...... Mubarak ho tumhe tumhare kurkure 🙂.

Aur woh wahan se jaane lagti hai

Saafir- Please naaa thodi der ke liye hi.

Aqsa thoda sochne ke baad haan keh deti hai

On other side

Kavish- Yaar yeh aqsa phool laane gayi hai ya ugane? Behen jannat tu hi leke aa toh.

Jannat- Main.... storeroom mein akeli kaise jaun?

Kavish- Oh haan tujhe wahan kuch (chhipakali, chuhe, cockroaches) dikh gaye toh tu wahin pe behosh ho jaayegi, please naseem tum isske sath chale jao.

Jannat- Mujhe nahi jaana isske sath, main akeli hi chali jaungi.

Aur woh gayi 🏃🏻‍♀️

Jannat ne keh toh diya ke woh akele hi phool le aayegi par........duniya mein darr naam ki bhi koi cheez hai jo yeh kuch der pehle bhul gayi thi par ab usse darr lag raha tha

Jannat- Bol toh diya par ab main storeroom mein jaun kaise?? Aur pata nahi yeh aqsa bhi kahan chali gayi, pata nahi aunty ne pest controling karwayi hai bhi ya nahi.

Woh himmat karke storeroom ke ander jaati hai toh shuruwat mein hi usse ek cockroach dikh jaata hai par woh phir bhi himmat karke ander jaati hai aur woh phoolon ki tokri jaise hi uthane wali thi ke koi peeche se usske kandhe par haath rakhta hai aur bas itna kaafi tha inki jaan halak mein aane ke liye woh chillane hi wali hoti hai ke koi usske muh pe haath rakh deta hai aur uss shakhs ko dekhke woh chup ho jaati hai

Naseem- Bach gaya main warna kaan ke parde phat jaate mere abhi.

Jannat- Hmmuhmm.

Naseem- Hain?

Jannat usse ishare se apne muh se haath hathane ko kehti hai aur woh haath hathta hai

Jannat- Tum yahan kya kar rahe ho?

Naseem- Main khud nahi aaya hoon aapki cousin ne hi bheja hai mujhe yahan aapka bodyguard banake.

Jannat- Haan toh ussne kaha tha maine toh nahi kaha ke aao mere peeche peeche main toh bas phool leke aane hi wali thi.

Naseem- Haan haan woh toh dekh hi liya.

Jannat- Kuch kaha tumne?

Naseem- Nahi toh, chalen.

Jannat- Hmm.

Woh dono jaane hi wale hote hain ki jannat ke paer ke paas se ek chhipakali jaati hai bas ab aur usski chikh kaun woh bohot zor se chillati hai aur tokri phenk ke naseem ke peeche jaake chhup jaati hai aur usski chikh se poora ghar ikattha ho jaata hai *aqsaafir* jo chhat pe baithke kurkure kha rahe the unke haath se kurkure ka packet gir jaata hai aur sab wahan jaate hain jahan se awaz aayi thi aur jaake dekhte hain jannat naseem ke peeche chhupi hui hai aur ussne naseem ka haath aise pakda hua hai jisski wajha se usske nails naseem ke haath mein chubh rahe the

Y/m- Kya hua? Jannat tum itni zor se chillayi kyun thi?

Taeshan to each other (zeeshan+taemoor)

Taemoor- Lagta hai issne phir chhipakali dekhli 😂.

Zeeshan- Haan bro 😂.

Afla- Behen ab toh kuch bolegi bhi?

Ab jannat kehti hai

Jannat- W-woh main yahan phool lene aayi thi aur mujhe chhipakali dikh gayi aur main darr gayi.

Woh apna sar neeche rakhke kehti hai

Zeeshan- Arre yaar yeh bhi koi darne ki cheez hai kya.

Jannat- Woh dekh tere pant mein titli ghus gayi.

Zeeshan- Hain kidhar!! kidhar!!

Jannat- Huh khud ek titli se darta hai aaya hai mujhe samjhane.

Darishta- Arre yaar bandh karo tum sab apna ab aur wapas kaam pe lago chalo jao jao.

Aur phir chote log kaam pe lag jaate hain aur bade sone chale jaate hain

Aqsa- Kya yaar jannat aise koi chillata hai kya??

Raziya- Waise tum thi kahan?? Phool laane toh tumko bola gaya tha.

Kavish- Arre haan tu thi kahan??

(Yeh toh kurkure kha rahi thi 🙂)

Aqsa- W-woh m-main toh phool laane hi wali thi woh toh bas.......pyas lagi thi toh paani peene gayi thi.

Raziya- Sach mein........

Aqsa- Oye tu chup kar! Khud toh kuch kar nahi rahi hai aur doosron ke kaam dekh rahi hai chal kaam pe lag.

Aur ab raziya bhi kaam pe lag jaati hai ab

To be continue

Sorry bohot wait karwa diya iss baar iss hi liye please apni iss author ko maaf kardo aap sab 😅☺️ aur haan ab se main poori koshish karungi time pe update karne ki

Byeee byeee ☺️❤️💜

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Jul 28 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Pyar ka anokha safarWhere stories live. Discover now