Part 1

10 1 0
                                    

BAAB AWWAL
" Gadle paniyon ka sangam "

Usne khwab mein dekha
Ke wo gadli si jagah hai...
Do dariyaon ka sangam...
Barish tadatad baras rahi hai....
Kichad mein khule aasman tale 2 log khade hain...
Ek sunehre baalo wali ladki khadi hai.....
Barish ne usko bhigo diya hai...
Uske baal geele hokar gaalon se chipak gaye hain...
Aur wo gardan uthaye upar dekh rahi hai...
Aasmaano ko...Aasmaano ke paar jahaano ko...
Saamne ek aadmi khada hai...
Kichad se uske pair latpat hain...
Wo daraaz kad aur kasrati baazuon wala hai...
Uske geele baal maathe pe bikhre hain...
Wo apne girebaan par hath daalta hai...
Aur tie noch kar utaarta hai...
Phir wo aasteen modta hai...Piche...Or piche...
Ladki abhi tak upar dekh rahi hai...
Aadmi jhukta hai...Kichad se mutthi bharta hai...
Seedha khada hota hai...
Mutthi ladki ki taraf badhata hai...

"Mere sath raho...Ham dono ko ek dusre ki zarurat hai..
Wo baarish aur toofan mein buland aavaz se kehta hai...
Wo chounk ke usey dekhti hai...Phir upar nigaah uthaati hai...
Dur aasman mein ek parinda udta hua aa raha hai...
Apne par failaye us aadmi ke sar ke upar fiza mein rukta hai...
Chakkar kaat ta hai....kaat ta hai...kaat ta hai...

Ladki ungli uthaa kar ishara karti hai...Alfaaz uske labon se nahi nikal paate...Magar wo hoth hilaa kar kehti...beawaaz...wo dekho...Aadmi mutthi badhaye hanoos khada rehta hai. Us ki mutthi mein kichad hai...Aur kichad mein ek sone ki chaabi hai...

Mere sath raho...Mere sath raho...Wo hanoos keh raha hai!

Parinda unke sar par chakkar kaat raha hai...Sunehre aur surkh rang ka parinda...akaab jaisa...Neele heeron jaisi aankhon wala parinda...Ek jhatke se Haalim ki aankh khuli.......

-----------------------------------------------------------------------------------------

Kuala Lumpur, Jazeeron ke mulk, Malaysia ka sabse mashoor sheher hai. Mukhtalif tehzeebon or adyano ka markaz. Yahan musalmaano ki aksariyat thi...samundar aur oonche pahad...sabz aur khule baag....Wo jannat ke tassavur jaisa khoobsurat sheher tha aur is subah wo mamool ke mutabiq aawazon, shor aur befikr kehkahon se goonj raha tha. Log masroofiyat se apne rozmarra ke kaam nipta rahe the...Sadkon mein...Daftaro mein..Gharon mein..

KL (Kuala Lumpur ko urf e aam mein KL kaha jata tha) ke masroof karobari marakaz ke ilaake mein ek oonchi imaarat beniyaazi se khadi dikhayi deti thi. Uske 12ve floor pe aao to office cabin bane hue the aur workers masroof dikhayi dete the. Typing ki aawazon mein..phone ki ghantiyon..yun dikhai deta tha ke is office mein har din ki tarah kaam jaari aur saari the.

Aise mein ek naujawan haath mein file pakde tez-tez chalta jaa raha tha. Cheeni nakoosh ki soorat ka haamil wo darmiyane kad ka tha aur chehre pe daba daba josh tha. Ek office ke darwaaze ke saamne wo ruka, khushi ko kaaboo karte hue muskurahat dabayi aur dhadele se darwaaza khola.

Andar office table ke piche ek thaka-maanda sa adhed umr shakhs baitha tha. Tie dheele kiye, bigde tas'arut liye usne aankhein uthaake utkahat se andar dakhil hote naujawan ko dekha.

"Moliya! Mai is waqt koi baat nahi sunna chahta. Mai saari raat so nahi paya. Abhi mujhe disturb na karo."

"Anwar sahab! Acchi khabar hai." Moliya damakte chehre ke sath kursi khichte to Anwar sahab ne haath jhalaya.

"Tumhein lagta hai iss waqt mujhe koi khabar khush kar sakti hai? Meri laaparwahi se boss ka laptop chori hogaya hai aur tumhein apne kaamo ki padi hai." Wo naaraz chini aankhein Moliya par jamaakar zor se bole. "Abhi tak to boss ko maloom hi nahi hai ke unka laptop jismein hamare business ke khoofiya dastavezat hain aur jo unhone mujhe virus se paak karne ke liye diya tha mai gum kar chuka hu. Jaao khuda ke liye."

To już koniec opublikowanych części.

⏰ Ostatnio Aktualizowane: Jul 30 ⏰

Dodaj to dzieło do Biblioteki, aby dostawać powiadomienia o nowych częściach!

Haalim by Nimrah AhmedOpowieści tętniące życiem. Odkryj je teraz