Koun hai woh

100 24 4
                                    

Continue previous part

Hm(in mind)=akhir koun hai yeh jo ks jisse ese baat kar rahi thi pta karna padega

Haseena bhi apne kaam pe lag jaati hai aur Karishma pure din thane nhi aati hai

Next day

Sab log baketi kar rahe hote hain karishma thane aati hai aaj uska mood off hota hai

Ks=kaa chal raha hai yeh sab time pass karne aate hain aap sab thane agar sabko time pass hi karna hota hai toh permanent chhutti le lijiye yahan kyu aate hain😡

All=sorry madam

Ks=jaiye apna kaam kijiye sab log ab koi baketi karte dikh gya na toh humse bura koi hoga nhi

Pji(slowly to herself)=apse bura koi hai bhi nhi😒

Ks=ka boli aap pji jara jor se boliye hume sunayi nhi diya

Pji=ku..kuch nhi hum sab kaam karne jaa rahe hain (to santu)chalo santu kaam karna hai na

Karishma apne desk pe jaa kar baith jaati hai sab log pji ke paas jaate hain

Ss=pji aaj km ka mood kuch jada hi kharab lag raha hai

Pji=hn santu pta nhi aaj kiski class lagegi chalo tum log bhi kaam pe lag jao warna dant pad jaegi

Sab log apna kaam kar rahe the haseena ko aaj late ho gye tha kyuki use headquarter jana tha kisi kaam ke silsile mein

Lunch time

Sab log lunch karne jaate hain lekin kisi ki himmat nhi hoti ki koi karishma ko bula le kyuki aaj woh bahut gusse mein thi haseena thane mein aati hai

Hm=are ks lunch nhi kar rahi hain kya

Pji=are ms kahan aaj subha se bhari bandook ki tarah ghum rahi hain sab pe gussa kar rahi hain isliye humme se kisi ki himmat nhi hui ki unhe bula le

Hm=acha thik hai aap sab lunch kijiye hum dekhte hain wese woh hai kahan

Pji=gym room mein ms

Hm=ji aap sab lunch kijiye

Haseena gym room ke paas jaati hai dekhti hai karishma kisi se baat kar rahi thi toh darwaze pe hi ruk jaati hai

Ks=aapko samjh nhi ata ek baar mana kar diya na hume call mat Kiya kijiye fir kyu nhi samjhti aap jab hume sabse jada aapki jarurat thi tab toh aapne humara saath chhod diya tha uss shaks ke liya uss samaj ke liye jinhe apki koi parwah nhi hai toh ab kyu hume call karke pareshan kar rahi hain

Person=dekho plz Hume maaf kar do halat wese ban gye the ki...

Ks=halat nhi the  mtlb halat the nhi ya apne halato ko bna hi wesa rakha hai

Person=plz Hume maaf kardo na aur aajao kitne saal ho gye hain tumhe dekhe hue

Ks=ab hum mar bhi jae fir bhi wapas nhi aaenge

Person=plz esa mat kaho...

Isse aage woh insan kuch bolta karishma call cut kar deti hai aur aur gusse mein phone fek deti hai

Hm(to herself)=akhir koun hai yeh jisse ks ese baat kar rahi hain janna toh padega

Fir woh karishma ke paas jaati hai aur uske kandhe pe haath rakhti hai

Hm=ks

Ks jaldi se turn hoti hai

Ks=j..ji..ms..

Hm=woh sab log bahar lunch ke liye apka wait kar rahe hain

Ks=aap jaiye hume nhi khana

Hm=are chaliye sab khush ho jaenge aur kahin ka gussa khane pe kyu nikalna hum nhi jante woh koun the lekin..

Isse aage haseena kuch bolti karishma bolti hai

Ks=humne kaha na hume nhi khana ek baar mein samajh nhi ata aur senior hain toh senior ki tarah rahiye humari personal life mein ghusne ki jarurat nhi hai apko samjhi(she shout)

Uski awaz sunn ke sab log aajate hain

Pji=kji yeh aap ms se kese baat kar rahi hain senior hain woh

Ks=hn toh senior rahe na humari personal life mein kyu ghus rahi hain aur jab humne keh diya hume nhi khana toh kya zor zabardasti hai ek din maan Li baat toh sar pe chadhengi kya

Pji=dekhiye ab aap apni hadd paar kar rahi hain hum ms ke khilaaf ek shabd nhi sunenge

Ks=hn toh apni ms ko samjha dijiye roj roj ese humare paas na aya karein

Karishma ki baatein sunn ke haseena ke aankhon mein aansu aa gye the lekin bina kisi ke notice kiye woh unko saaf kar leti hai aur bina kuch bole wahan se chali jaati hai aur cabin mein lock kar leti hai khud ko

Pji=kji hume aapse yeh ummid nhi thi

Ks=toh mat rakhiye na kyuki jab ummidein tutti hain na toh bahut dard hota hai bahut jada

Yeh kehke karishma bhi chali jaati hai

Ss=pji yeh akhir tha kya km ka esa behave

Pji=pta nhi hume esa kyu lag raha hai jese kuch toh baat hai jo woh kisi ko bta nhi paa rahi hey shivji sab aapke hi haathon mein hai



-----------------------------------------------------------

❤️Rah~e~junoon💔Where stories live. Discover now