04 |

27 7 4
                                    

~ kuch bolege ab ki accept kar liya hai tum self - centred ho ?

~Tumhe darr nahi lagta ?

~kiska darr ?

~Aise unknown stranger se apne baare mein baatein karna ! Risky nahi kya hai ?

~Risk toh hai par agar itna sochungi toh fir zindagi kab jeena hai mujhe ? Right .aur waise bhi mera thoda sa screw dhila hai toh im between mad ho jati hoon , waist tum pehle ho jispar maine yeh try kiya tha aur waise bhi ab toh I am gonna call you when I feel trouble , tumhara bhi welcome hai if you want to discuss something.

~ Ho gaya ki aur bhi kuch baaki hai ,
You don't get tired from all these talking non stop at least breath for the fucking sake dude ! Impossible you are .

~I know I am too unique to be here .

~Neeche aa jao , ek baar itne upar se girne par bahut zor ki lagti hai .

~Main chhat par thode hoon main toh room mein hoon girungi kaise ?

~Ohh ab samjh aaya mujhe .

~kya samjh aaya tumhe ?
Aur main girungi kyu ?
Apni baat complete karo !
Samjh aayi .

~ kuch nahi bas mujhe yeh samjh aa gayi ki tum itni baatein bina soche samjhe kaise kar leti ho , tumhare pass toh ek bahut hi import body part hi nahi hai .

~Oye mere pass dimag hai okay woh bhi 1300cc ka .


~Par maine dimag ke baare mein toh kuch nahi bola,dekhlo tum ne hi kaha hai meri koi bhi galti nahi hai .

~Janaab ke kaise baatein nikal rahi hai abhi , kal toh mujhe block kar diya tha .

~Haan toh koi kisi stranger se aise baat karta hai kya ?

~Generally toh nahi par karni chahiye ,woh movie nahi dekhi kya ?
Jismein heroine apni friend ko forced marriage se bachane ke liye unknown number dial karti fir call hero ke pass lagta hai and with every other struggle they finally met .

~Woh movie thi , yeh life hai yaha aise calls pe sirf frauds milte hai , koi hero nahi aa raha tumhare liye .

~Tum fraud ho kya?

~Fraud toh nahi hoon par hero bhi nahi hoon .

~are kya pata kab kya ho jaye , itna
sochne ka nahi just go with the flow .

~haan baat sahi kar leti kabhi kabhi .

~kabhi kabhi nahi humesha .

~Accha , toh fir kya socha hai ?

~kis baare mein ?

~About your recruitment?

~Abhi toh kuch nahi.

~When did you plan to decide then ?

~Now I am focused on the upcoming exam , after results will chose the company even till then I will have more information about them and I can closely look into their way of working with articles and stock market rates .

Wrong Number Where stories live. Discover now