Me chat par dheere se thap-thapati hui baarish hu,
Bhayankar dhoop ke baad ek shital sham hu,
Khidki se fisal Rahi vo Nirmal
buund hu.Jo tumharey deepak ki chamak ko par kar jati hai,
Jo bacchey ki muskurahat ki tarha aati hai or palak chapakte hi chli jati hai,
Udti hui dhuul bhi kadmo se lippat jati hai meri sirf ek buund se kisan ki duniya mehak jati hai,
Kabhi itna Sundar me nritya karvati hu ya pal me bhayankar me badh ban jati hu,
Kabhi ravi-vaar ki shant subha me halki barish ki aash ban jati hu ya samay ke sath bhaap ban
jati hu,
Kabhi kisi ke chaat par atki hoti hu to kabhi tumhari khidki se fisal jati hu.
YOU ARE READING
BAARISH(rain)
Poetrysome beautiful lines dedicated to the rainy weather and how fast time change..