Part - 1

61 7 2
                                    

Intro-

23 saal ki umra me naina ki aage ki padhai rukwa kar jabardasti uski shadi sharad se kardwa di jaati hai . Naina apne ghar wale ke samne kuch nhi  kar sakti thi usne sharad se apni shadi ko apna naseeb samjh kar usse accept karliya aur ek achi patni aur bahu hone ke sare kartavya nibhaye usne apne career apne passion apni icchaon sabka gala ghont diya taki uska parivar khush rahe

Naina ne ye soch ke ke shayad sab thik hojayega ..par essa nhi tha saanp ko kitna bhi dudh pilao par vo zeher nhi chodta

Naina' s sasural

after 4 months of their marriage

Naina was preparing breakfast for the family and she was very happy today

What was the reason ?

Naina- mujhe vishwas hi nhi horaha sharad ji ne mujhe job karne ki permission dedi aur mummy ji bhi maan gayi....sharad ji ka to kuch samjh hi nhi aata 4 5 din se to mujh par bewaja gussa kar rahe the haath bhi uthaya tha aur ab achanak job ke liye ha kardiya....par kyun...ah mebhi jyada hi sochti hu shayad sharad ji itne bure nhi hai jitna me sochti thi...shayad dhire dhire sab sahi hojayega

Sharad's mother- are ohh maharani chai bani ke nahi ...

Naina- jji ji mummy ji bus abhi layi

Naina nashta lekar jaati hai

Sharad's mother - hmm ab tujhe job karne ki permission dedi hai mere bete ne iska matlab ye nhi hai ke ghar ke kaam chod dogi...subhe ka saara kaam nipata kar hi
Office jaya karna aur haan aate hi shyam ka sara kaam bhi tujhe hi karna hai...haan

Naina - ji mummy ji

Tabhi sharad wahan aata hai

Sharad's mother- aagya mera laal....( naina ki taraf bura sa muh banate hue) ..ab khadi kya hai ja nashta lekar aa mere bete ke liye

Naina kitchen me chali jaati hai

Sharad's mother- kya hua beta 4 5 din se dekh rahi hu ....aur ye kya kaha tene kal ye maharani naukri karegi tujhe pata hai hamare yahan bahu betiyan naukri nhi karti ...wo to teri wajah se me chup thi

Sharad- maa darasal wo me ...meri

Sharad's mother - kya hua

Sharad - maa mere boss mr dilip mirani ne mujhe job se nikal diya hai

Sharad's mother( shocked)- kya par kyu

Sharad( anger) - unhe lagta hai me zimmedar nhi hu...maa tum hi batao kya me imamdari se apni naukri nhi karta tha...mene dusri naukri ke liye kai jagah apply kiya par kahin baat nhi ban rahi me ghar ke kharcho ko lekar chinta me hu ke kya hoga...tabhi mujhe dhyan aaya ke naina to padhai me bahut achi thi isse aasani se kahin bhi naukri mil jayegi...kam se kam kuch samay ghar me kuch income to aayegi...warna chai biscuit bhi naseeb nhi honge

Sharad's mother- ye to tune sahi kiya beta ...par iss maharani ko mat batana beta ke teri naukri chut gayi tu essa hi natak kar jese tu t
Roj naukri parhi jaraha hai...warna ghamand dikhayegi ye hame aur apne isharo par nachayegi

Sharad - iski itni himmat nhi hai maa ke ye hamre samne kuch bol bhi paaye...bus kuch samay ki baat hai mujhe nayi job milte hi me isko iski sahi jagah par wapas leaaunga

**************************************

MAHESHWARI HOUSE AHMEDABAD

Morning breakfast scene

Ramdhari was serving breakfast

Nanu- are... uth gya mere sher aaja saath me nashta karte hai aur fir office bhi chalna hai

Sameer - nanu...aap office nhi jayennge ghar par rest kariye...

Nainu- are par

Sameer - par war kuch nhi ...apko doctor ne aaram ke liye kaha hai ....aur wese bhi aapne mujhe har kaam me perfect bana diya hai...me akele hi smabhal lunga nanu

Nanu- sach me bahut bhagyshali hu me ke mera itna honhar, hondosme , samjhdar..mujhe bahut pyar karne wala naati mila hai....warna aaj kal ke ladke  25 saal ki umar me sirf apni mauj masti me dube rehte aur ek tu hai jo mera itna dhyan rakhta aur bahut kam umar mehi tune business ko handle karliye mujhse bhi ache tarike se

Sameer- nhi nanu... aapse best to kabhi nhi ...aur aakhir hu to me jaypraksh maheshwari ka hi naati na to talented to hona hi tha.....acha nanu ab mera nashta hogya me chalta hu late horaha hai...munna pandit office pahunch bhi gaye honge...munshi ji aap gaadi nikalva dijiye

Sameer's office

Munna - yar sameer accounts department me koi dhang ka banda nhi mil raha vo pichli baar ajay kitni gadbad karke gaya tha...abhi tak ussi ka rayta sametne me lage hai me aur pandit

Sameer- koi baat nhi koi na koi mil jayega...pandit tere pass koi interview ke liye aaya

Pundit- koi...are bhai line lagi padi hai...par ek bhi capable nhi mila ...is baar bahut soch samjh kar hi hiring karni hai....wese aaj ek ladki aane wali hai interview ke liye naina....dekhte hai

Sameer naina ka naam sunte hi usse pvkm me 2 chotiyon wali naina ki image uske samne aati hai

Manoj - kya hua sameer kahan khogya

Sameer - kuch nhi bus ...yrr school ke dino ki yaad aagyi

Pandit - hain...achanak school ki yaad kese aagyi...acha ye naina naam sunkar...haan yaad aaya apni class me thi na ek naina aggarwal...bhagwan kasam itna pitwaya hai usne school me..teacher ki chamchi thi par achi thi..

Munna - haa yaad...aaya

Sameer- kahin ye wahi naina to nhi...naina aggarwal

Pandit- surname to iska bhi aggarwal hi hai

Munna - are par zaruri thodi wahi hogi iss ahmedabad me sekdo ladkiya hongi naina aggarwal naam ki

Pandit - par tu kyu itna intrest lera hai sameer usme ...school me pasand thi kya tujhe vo

Munna - abbe kya baat karra hai mene to inhe kabhi itna baat karte nhi dekha ...bas ek do baar hi dekha tha

Pandit - haa....ye to usse bhenji kehta tha...

Munna - par usse sameer pasand tha...aur vo isse hi ghoorti rehti thi...meri frock wali pandit ne mujhe bataya tha naina ko sameer pasand hai

Sameer - kya tum dono ...bus karo aur kaam karo aur mujhe bhi karne do chalo

Pandit - dekh chenu ye to sharma raha hai..lagta hai isse bhi pasand thi vo

Sameer - sach me tum dono ka kuch nhi hoskata....ye sab faltu baate band karo...pandit tu recruitment pe dhyan de  sari zimmedari teri....jitni bhi office me vacant positions hai sari fill karwa...munna vo jain and sons ka order receive hua tha uska kya..

Munna- haan...production start kara diya hai aur kal tak deliver bhi hojayega

Sameer- good

Sameer aur munna pandit apne kaam me busy hojate hai




























Dil ka sukoonWhere stories live. Discover now