P8

6 1 0
                                    

Rehza stretcher par thi, uski nazar dhundhli hoti ja rahi thi. Kafi khoon behne ke wajah se wo lagbhag behosh ho rhi thi Nurse ne uske gaalon par thapki di.

"Apni aankhein mat band karo, ma'am," usne kaha.

Jab wo andar le ja rahe the, achanak aag ka siren bajne laga. Sab log bahar doorne lage. Rehza lambi kathin saans le rahi thi; saans lena mushkil hota ja raha tha, aur nurse bhi chhod gayi. Achank, kisi ne uske gaalon par phir se thapki di.

Usne dheere se aankhein kholti aur ek chehra dikha, Usne sukoon se saans li. Mania ne use uthaya aur aas-paas dekha. Pura pehla manzil aag mein jal raha tha. Sirf upar ke manzil tak jaane aur firefighters ka intezar karne ke alawa koi raasta nahi tha.

Mania ne use apni godi mai uthaya aur usne kaha, "Mujhe mazbooti se pakdo aur aankhein mat band karo."

Rehza ne apna haath uske gardan ke aas-paas lapeta Baaki ki shakti se, usne dheere se kaha, "Shukriya."

Uski poori shirt khoon se bhar gayi thi, aur uski gunshot se lagi choot se khoon phir se behne laga tha. Wo ek kone ke kamre mein pahunche, aur usne rehza ko stretcher par letta diya. Mania ne sab kuch tayar kiya aur uske chehre par oxygen mask lagaya. Usne uske sir ki chooto ka ilaj shuru kiya, aur rehza ki shirt ke upar wale hisse ke button kholna start kiya. rehza ne mania ka haath pakad liya, aur dono ne ek dusre ki aankhon mein dekha Mania ne apni nzr feer li

"Chinta mat karo, Mai tumhe kuch harm nhi karunga agar karna hi hota toh kub ka kuch kr Chuka hota" Mania ne kaha

Rehza fir bhi thodi ghabrahi huvi thi

"Tum chaho toh Mai tumhe dekhuga bhi nhi and I promise Hum yaha se safely bahr nikle gay," mania ne use tasalli di.

Usne uski choton ka ilaj jaari rakha. Jab wo khatam ho gaya, usne shanti se intezar kiya Ki koi ayga, Aadhe ghante ke baad bhi koi nahi aaya. Wo soch raha tha ki nikalne ka raasta kaise nikale. Rehza, ab behtar mehsoos karte hue usne aankhein kholi aur dekha ki Mania chakkar lagate hue stressed tha.

Usne mask utaar diya. "Hey," Rehza ne dheere se bulaya.

Mania palat kar uski taraf dekha. "Kya tum theek ho?" usne puchha.

Rehza ne sir hilaaya aur uska dil se shukriya kaha aur Achank, kuch firefighters kamre mein aaye. Unhone Rehza ke stretcher ko bahar aur ek doosre hospital le jaane ke liye move kiya. Mania bhi unke saath chala gaya.

TALAB BS TERI💗_TUM MERIWhere stories live. Discover now