2 - pehli meet with argument

47 7 10
                                    

Sumedh - bataiye dadu kya problem hai
Gourav - beta competitor hona buri baat nahi hai
Naye logo se bhi koi dikkat nahi hai
Mujhe toh khushi hoti hai ki naye logo ko moka milti hai
Lekin yeh jo ladki hai...
Sumedh - ladki??
Matlab problem ladki hai?
Gourav - sumedh....
Problem ladki kyu hogi
Problem yeh hai ki woh ladki humesha humari raasta kaatleti hai
Sumedh - Mai samjha nahi dadu
Vimal - beta har koi iske sath deal karne chale jaa rahe hai
Humare jo saalo kamaayi naam kaam sab bekaar hote jaa raha hai
Jab bhi koi deal karne aata hai woh kaise na kaise humare saath cancel karke uss company ke saath deal karte hai
Beta competitor hona achhi baat hai aur naye talent ka moka Dena bhi achhi baat hai
Lekin padosi ki ghar diya jalaakar apne ghar mein aag nahi lagaa sakte na beta
Iske wajah se humare company loss mein chal rahi hai
Isiliye meine aur tumhare dadu ne kuch socha
Sumedh - kya
Vimal - yehi ki uske saath partnership kare
Sumedh - kya bol rahe ho chachu
Agar hum aisa karenge toh apne kaabiliyat ko khud neecha karna hota hai
Logo ko humare company par ungli uthaane ki moka dete hai
Yehi moka denge na ki bhudevi industries mein kaabiliyat nahi abhi tak luck se chalta raha isiliye ab uss competitor se jud rahe hai
Aur dadu aap iske liye maan gaye?!!
Gourav - chahta toh nahi
Lekin yeh karna pad raha hai
Beta humare company par laakho log aadharit hai
Agar humare company aise hi loss mein chala jaaye na hum unn laakho logo ke saath jo humare company ko aage badhaane keliye itna mehnat ki unke saath toh anyaay hoga na
Isiliye yeh karna pad raha hai
Sumedh - aap jo bhi decision lete hai sahi hi lete hai
Agar aapne liya hai toh thik hi hoga
Vimal - beta aaj hi uske saath meeting hai
Iska success hona humare company keliye bohot important hai isiliye tu Zara dhyan se baat karna
Sumedh - aap aisa kyu bol rahe hai
Aap nahi jaante mai office mein kaise baat karta hu meeting mein kaise baat karta hu
Vimal - beta... Tujhe na tujhse bhi zyada jaanta hu mai
Tu chaahe jitni bhi shant kyu na ho
Agar baat tere dadu par aajaaye toh tu apne control mein nahi rehta
Aur yaha toh company ki competitor hai matlab tumhare dadu ke competitor woh bhi jiske wajah se humare company loss mein gayi ho
Gourav - kya tu bhi isse keh raha hai bachha hai kya yeh
Sumedh sab jaanta hai kab kisse kaise kya baat karni hai

Sumedh gave cute giggle
Vimal - ha ha aisi hi toh bigaadke rakha aapne isse
Sumedh - yeh kya baat Hui chachu
Agar mai kuch achha karu toh credits aapke agar kuch bura karu toh blame dadu par
Vimal - dekha aapne isiliye mujhe darr lagta hai
Gourav - bas... Aur nahi
Mujhe sumedh par vishwas hai woh kuch galat nahi karega woh jo bhi karega soch samajhkar hi karega

He gave a lovable smile
Sumedh - waise uss company ka naam kya hai
Vimal - way for light
Sumedh - aur ladki ka?
Vimal - mallika
Sumedh - mallika....

Someone opened doors of a big house
Mallika - yeh lijiye papa humara ghar
Apna ghar
Aapka Ghar
Chaliye
She taken her parents inside

Swathi - dekha aapne humari mallika kitni badi ghar banaayi
Her father seeing around
Mallika - kaisa laga papa
Raghav - bohot khush..
Jo kaam mai nahi kar paaya aaj meri beti karke dikhaayi
Mallika - papa kabhi aisa mat kahiye ga
Aapne humare liye bohot kuch kiya
Ab aap dekhte rahiye ga mai aapke sabse best treatment ksrwaungi aur aap chal bhi sakte hai
Swathi - tere jaise beti ho toh aur kya chahiye beta
I'm so proud of you

She placed a lovable kiss on her forehead
Mallika - achha chaliye mai aap dono ko puri ghar dikhadungi

She showed the whole house to her parents
Mallika - maa baitho...
Raani.. maa papa keliye tea rakhna
Aur mere liye coffee
Swathi - tu bhi pee leti tea
Mallika - maa tum bohot achhe se jaanti ho ki mujhe tea bilkul bhi pasand nahi hai I just hate tea
Rani rakhi ki nahi

uljhane humne banaaye Where stories live. Discover now