SAVLA CHAND

20 0 0
                                    

Gao ke school se ek ladka aur ek ladki bahar nikalte hai , aur wo dono ek dusre se chotisi bat pe gussa rehte hai , ghar jane tak ka rasta sath hai is liye wo sath me chal padhte hai ghar ki oor, pas me hi nadi dekh ke ladki ruk jati hai muh phulake wahi pas me beth jati hai , ladka uske sath me khade hoke yaha waha dekh hi raha hota hai ki nadi me kuch bakse jesa behta hua aa raha hota hai, ladka us oor bhagta hai aur us bakse ko pakad leta hai aur wo ladki yane uski preyasi ke pas jake bethke us bakse ko kholta hai, usme kai sare chote mote saman baccho ke chote khilone , chote mote craft aur ek diary rehti hai, thodi bhigi bhigi si dekh wo ladki us diary ko hath me leke dekhti hai ki panne to nahi gile ho gaye? Aur ek bhi panna gila nahi tha , ladka us diary ko padhne jata hai ki ladki use rokti hai, "kisi ki diary nahi padhte", "itni purani diary hai dekh aur kon hai iska malak ab? Itni dur se aai hai padh lete hai na..", "thik jo marzi karo sunni kaha hai meri bat".. ladka diary ka pehla padhne lagta hai, ye dekh tarik kya likhi hai 12 July 1928, kitni purani hai ye diary.. ruk ruk aage padhke batata hu.. *ladki gusse me muh banake phir diary me jhankne lagti hai* "aj mera janamdin hai.. maa pitaji ne pehli bar mujhe kuch diya hai, aj me bada khudh hu, aj me pure 10 sal ka ho gaya hu aur tofe me ye kitab mili hai.. sabh kuch to nahi par apne zindagi ka har pal jo mere liye alag ho wohi likhuga" umm.. thik hi hai ye panna.. aage dekhta hu.. *dusra panna palatte palatte aage ke panno pe bhi sirf nazar dalne lga.. palatte palatte dekha ek panna pura khali.. phir us panne pe jake dekha niche kone me kuch likha hua hai dhundhla sa.. akshar kuch saf nahi par.. padhne layak hone ke bad bhi samajh na aya.. मो*aage ke dhundhle akshar* के कुछ अनकहे पल.. *agle panne pe kuch esa likha tha jis liye unhe pehle ke kuch panne padhne pade.. waha tarik likhi thi 12 july 1934.. waha likhe hue tarik pe dono jate hai aur ladka padhna shuru karta hi hai ki ladki use rokti hai* suno Mohan.. kafi waqt ho gaya hai ab ghar jana hoga hume.. ye me padhke tumhe bata dugi sabh kuch thik hai? Ab hum chalte hai chalo.. *ladka puchta hai* Pakka padh logi na? *Ladki haste hue* hn baba padhke bata bhi dugi chalo ab.. *dono bich raste ate hi ladki se bate karne lagta hai* kuch to bat hai is bakse me humara gussa ise dekh ke achanak kaha gaya pata hi nahi chala , aur aj tumhe muskurate hue bhi dekh liya.. *ladki nazar jhukake sharmate hue* chalo ab mera ghar aa gaya hai kal milte hai.. *kuch samay bat rat ke waqt ladki wo kitab kholke usi tarik se padhne lagti hai..* 12 july 1934.. hah.. pata nahi ye sabh kab tak chalega.. hn yaha angrez to hai nahi par unki school me padhna kathin hai kafi.. unka level match karna mere liye mushkil to hai hi, mere kagi bharatiya schoolmates hai , wah me kya english likh raha hu .. heh chhodo to me kaha tha.. hn mere kafi bharatiya schoolmates hai jinhone achi padhai ki hai unke sath dosti ki hai par me kabhi kar nahi paya.. aj mera janamdin tha par unhe me bata hi nahi paya.. par aj ek ladki aai.. kya kehte hai use.. new admission hn.. new admission tha uska ekdam gori thi nam pucha nahi mene.. aj ka pura din wo akeli thi.. shayad ye meri dost ban sakti hai.. shayad.. *agla panna* 18 july 1934.. aj mene usse bat ki.. itni bhi nahi par hn wo abhi tak akeli thi to mene socha ki shayad use khana khane tak apne sath bitha hi sakta hu.. hum bethe sathme khana khane lage aur usne mera nam pucha.. me bol to nahi paya kyuki uske samne kuch alag hi mehsus hua.. uske samne sari english bhul gaya.. wo muskurai.. usne apna nam kaha.. me.. me chauk gaya tha ki gori ladki aur uska nam desi? Phir usne pura nam kaha.. Sangeeta.. Sangeeta Mathew.. mere bina kuch puche wo khudhko explain karne lagi pata chala ki wo adhi bharatiya hai.. uski bate sunke acha lag raha tha kyuki aj tak koi bhi ek looser se bate nahi karna chaha.. hn , har waqt me looser kehlata raha, sabhke nazro me ek acha school hai ye par kisiko pata nahi andar se ye school ek alag duniya hai.. *agla panna* 2 august 1934.. aj usne mujhe school ke pas wale bazar me milne bulaya, kabhi socha nahi tha ki esa kuch hoga kyuki jese jese din ja rahe the uske naye dost banne lage the aur merese bat dhire dhire band ho gayi, laga kisi ne mere bareme phir kuch kaha hoga par aj achanak wo aai aur mujhse ye kaha.. school chootne ke bad me ghar gaya aur ek ghante me khana khake wese hi bhag aya bazar, bina kapde badle wohi kapdo me , laga ki der ho gayi , waha pohocha to har jagah dekha wo dikhi hi nahi.. pas wale choodiyo ke dukan me bhid thi to socha jake dekh lu , dekha to waha Sangeeta sadhi si saree me ek bindi lagake waha choodiya kharid rahi thi, logo ke liye kuch alag bat thi, gori , nili ankho wali ladki saree me wo bhi choodiyo ke dukan me.. hah sach kahu to.. mujhe shayad tabse uske liye kuch mehsus hone laga.. kuch der ke liye me sirf use dekhta reh gaya, jese hi uski nazar mujhpe padi wo mere pas aai choodiya lekar aur mujhse puchne lagi ki konsi uspe achi lagegi.. sabh log hume dekh rahe the me sharmake uski hatho mese choodiya leke dukan me rakhdi aur use us bhid se dur le aya.. kuch samay tak hum dono chup the , me sharam ke mare aur wo dukh ke mare.. uska dukh bachkana tha.. acha tha.. mene uske hatho se choodiya jo rakh di thi.. badme mene usse mafi mangi aur pucha ki aj bulane milne bulane ka karan kya tha.. uska jawab.. "nothing just.. I don't want to break my friendship with you.. I just love being with you.. you are different.. I have many friends but you are different" ye sunne ke bad kuch alag laga.. shayad jo me sunna chahta tha shayad ye wohi ho? *Agla panna* 7 October 1935.. pure ek sal bad diary likh raha hu par tab bhi likhne ke liye itna kuch nahi hai , kafi badal hone laga hai mereme acha lagne laga hai aur.. me use har waqt chupke dekhne lga hu, din ba din aur sundar hote ja rahi hai, pagal ho gaya hu.. *ladki uska pyar us sangeeta ke liye dekhte dekhte ankho me ansu lete lete kafi panne palatte gayi.. agla panna* 22 February 1937.. aj usse phir mila.. hah itne salo me kafi kuch badal gaya.. par mera pyar nahi.. jo hona tha ho gaya.. akhir.. dost kaha zyada tikte hai.. use dost bange gaye aur me kahi na kahi uske zindagi me ek kone me padhta gaya par tab bhi ek ya do bar wo mujhe letter likhti.. sal me.. ek ha 2 bar.. phir usne aj milne bulaya tha, hum mile, har bar ki tarah, pehle se aur sundar lag rahi thi.. aj kuch bat nahi hui wo sirf mere sath bethi rahi aur me uske sath.. acha lag raha tha par.. jab jane ka waqt aya.. usne kaha ye hamari akhri mulakat hai.. agli padhai ke liye wo wapas England ja rahi thi.. me sunn padh gaya tha phir.. wo ja rahi thi aage aur mene sirf kuch shabd kahe.. please.. mujhe bhul jana.. phir kabhi mujhe milne na ana bas mujhe bhul jana.. aur me wahase chala aya.. 29 March 1946.. I loved everyone, but no one loved me *ladke ke likhe panne yahi khatam hote hai aur phir uske maa ne likhe panno pe wo badhti hai* 16 December 1946.. aj me kuch likh rahi hu use padhne se pehle 12 july 1934 se leke iske pehle wale panne tak padh lena tab samajh aa jayega.. apko lag raha hoga ki me apko ye padhne kyu keh rahi hu to ye apko aage pata chalne hi wala hai.. Sangeeta Mohan se milne wapas aai thi 10 April 1946 ke din.. apne dil ki bat kehne, par use Mohan kahi dikha nahi usne bohot dhundha par wo nahi tha , wo hamare ghar bhi ake gayi par tab hum yaha nahi the.. hum agle din dopeher tak ghar aye aur dekha ek gori ladki halki gulabi rang ki saree pe mitti lagi hui bethe intazar kar rahi hai.. jese hi usne hume dekha wo sida bhag ke mere pas aai aur mujhe sabh bate batane lagi, uski ankho me ansu the bas kuch bat thi jo wo man nahi rahi thi.. wo bas Mohan ka nam lene lagi.. me uska nam sun rone lagi aur use kuch kehne hi wali thi ki usne apni bat aage badhai, "aunty I met Mohan yesterday.. I'm I too late for this? Please tell Mohan that I love him very much , I saw he was very sad last night .. I was just sitting beside that river and he came I was shocked and happy at the same time.. I just hugged him and I said everything, literally everything what I feel for him.. and he just sat and listen to me and replied.. Mujhe tumse promise chahiye ek if you love me then you have to do this.. and I just replied i promise and he.. he said.. Mujhe bhul jana hamesha ke liye meri yad kabhi na ane dena.. please.. mere liye.. aur hn.. is janam na sahi par agle janam hum ek dusre ke pakka ho hi jayege.. that's what he said.. aunty how can I.." mene bina kuch soche use jawab diya.. ye kese ho sakta hai? Hum abhi abhi uski asthiya ganga me bahake aye hai.. wo aage kuch nahi bol pai.. wo sirf pani bhari ankho me khadi rahi.. na kuch boli aur bas aage chalte gayi.. me aur Mohan ke papa ek dusre ko wahi khade rehke sambhalte gaye kyuki ye sabh sunna hum kabhi soche bhi nahi the hum khudhko sambhal hi rahe the ki kuch der me pas se avaz ane lagi.. hum jake dekhe to bohot bhid thi.. mene pucha to ek admi kehta hai aage goria bade gadi se takra gayi.. me aur Mohan ke papa bina kuch soche aage badhe aur dekha Sangeeta waha khun me padi hui muskura rahi.. *agla panna* 14 August 1947.. aj ke din British apne desh laut gaye.. Sangeeta ka parivar yahi tha par Sangeeta apne pati ke sath apne desh chali gayi, ye kitab me uske bakse me rakhke nadi me baha rahi kyuki wo aj sapne me aya.. kaha.. shayad is kitab se kisiki madat ho.. jo galti humne ki wo shayad wo log na dohraye..

Ye sabh padhke adhi rat bhi guzar gayi thi.. subah hone me thoda waqt tha par ye sabh padhke ladki so hi na pai, dusra din hote hi wo apne priyakar Mohan.. hn nam mil raha na?kyu nhi milega? Dono ka nam is janam bhi ek hi hai.. hah.. Mohan ko sabh batati hai.. Mohan ye sabh sunke chauk jata hai kyuki ladki yane uski preyasi ka nam bhi sangeeta hota hai.. pata nahi kab ye dono ek dusre ke bareme janege par pichle janam na sahi.. is janam to ye dono ek ho hi gaye.. bas in dono ko khudh samajhne ki deri hai.. aur kuch salo me un dono ne apna rishta aur bhi gehra kar liya aur unki shadi bina kisi wign ke sampan ho gayi..

आप प्रकाशित भागों के अंत तक पहुँच चुके हैं।

⏰ पिछला अद्यतन: Sep 01 ⏰

नए भागों की सूचना पाने के लिए इस कहानी को अपनी लाइब्रेरी में जोड़ें!

SAVLA CHANDजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें