Andhere Mein Sargoshiyaan

9 2 0
                                    

Arsalan subah subah office pahuncha toh tha lekin jab wo upar jaane laga toh usse kisi ka phone aane laga. Usne office me phone karke Abdullah se baat ki aur kaha wo ab lunch ke baad office aayega aur seedha bahar chala gaya.

Hamesha ki tarah wo unki pasandida restaurant me uska intezaar kar raha tha. Wo uske pass gaya aur dono galle mile.

"Tum yahan kab aaye?" Arsal hairath se pucha.

"Kuch din hue hain. Bas kisi ko batana nahi chahta tha isliye khamosh tha." Wo bola.

"Tum bahot ajeeb ho." Arsal muskuraya.

"Jaanta hoon." Wo bola.

Dono kayi der tak baatein karte rahe.

***

Shaam ka waqt:

Safoora apna kaam karti hui baithi thi. 5 bajte hi sab jaane lage aur dheere dheere sab jaa chuke the. Abdullah rukna chahta tha lekin uski biwi ki tabiyat na'saaz thi isliye wo nahi rukk paaya tha. Sara ko Arsal ke saath kahin dusri jagah meeting me jaana pada tha isliye wo nahi rukk paayi thi.

Shaam ke 10 baj rahe the aur sirf Safoora aur kuch watchman office me the. Wo sab nicche the aur Safoora akeli upr apna kaam kar rahi thi. Jaise hi uska kaam khatam hua toh usne waqt dekha aur raat ke 11 bajne aaye the. Wo jaldi se uthi aur saare files le kar CEO ke kamre me rakhne chali gayi. Kyunki sab jaa chuke the har taraf andhera tha. Usse andhere se bahot darr lagta tha. Wo kaanpti hui andar aayi aur light ka button dhundne lagi jo usse nahi mil raha tha. Darr se wo hamesha ki jagah tk bhul gayi thi. Uski sandals bahot awaaz kar rahi thi aur wo ek jagah ruki toh usse kisi aur ke chalne ki bhi awaaz aayi.

"Kaun?" Wo haibath se puchne lagi aur file uske haath se nicche girr gayi.

"Kaun hai yahan?" Safoora ki dhadkan tez ho rahi thi. Darr se paseena jaa raha tha.

Wo kaanpte hue darwaze ke qareeb aayi aur kholne lagi toh kisi ne uska haath pakad liya. Wo saans rok kar wahin khadi rahi.

Wo aankhein band karke baar baar ek hi baat keh rahi thi, "Ya Allah mujhe bacha lijiye. Mujhe jin bhoot se nahi milna."

"Insaan se milna pasand karogi?" Usne pucha jo Safoora ko bilkul dikhayi nahi de raha tha. Wahan andhera tha aur wo kaale kapde pehne hue apna chehra bhi ache se dhakk rakha tha isliye Safoora bilkul bhi uska chehra nahi samajh paayi.

"Tu... Tum kaun ho?" Wo darti hui puchne lagi.

"Ma..Mai bhoot jinn toh nahi hoon. " Wo ussi ke lehje me bola.

"Tum chor ho? Tum chori karne aaye ho? Haan zarur hamari company ke baare me maloom karke kisi aur company me bechna chahte honge. Ya shayad hamari dushman company ke hi aadmi honge tum." Safoora bolti jaa rahi thi toh usne uske munh pr haath rakh kar usse chup karwaya.

"Mujhe iss company se koi lena dena nahi hai. Mai toh aap se milne aaya hoon." Wo bola aur apna haath uske munh se hata diya.

"Security!!! Security!!! Koi hai mujhe bachao please." Wo chillane lagi.

"Badi masoom ho. Ye kamra soundproof hai. Yahan koi hoga bhi toh tumhari madad karne nahi aayega." Wo has kar bola.

"De..kho... Mai..bata rahi hoon.. Mujhse...durr raho..warna mai...martial arts jaanti hoon... Abhi tumhara kaam tamaam kar sakti hoon." Wo ghabrati hui usse darane lagi.

Chupi Mohabbat (Roman Urdu/Hindi) (On Hold) Where stories live. Discover now