ADYANKITA

16 0 0
                                    

Akela rehna chahta hu bas phir aa gaya yaha tumhare pas.. tum wese akele rehte ho kya yaha ? *Dev ped se puchte hue* acha me tumhare pas beth jau? *Ped ke pas se halki si hawa ate hue* humh *Dev muskurate hue* beth raha hu.. acha tum ek bat btao.. rat me koi ped itna khubsurat kese lag sakta hai? *Phir Dev ke kan me sundar si avaz kisi rat kide jesi gunjne lagti hai* tum wo avaz sun rahe ho? *Yaha waha apni nazar ghumate hue Dev phir piche mudhte hi hai ki unhe ek stree pas hi me dusre sundar se ped ke pas bethe purani kitab me kuch likhte hue dikhti hai.. tab hi jis ped ke niche Dev bethe hai us ped se patte girke hawa ki dishase us ladki ki oor badhte hai.. Dev bhi usi ke pas badhte hue jate hai* *Dev us dusre ped ke pas bina kuch bole us sundar kanya ke beth jate hai* maf kariye.. apko me pareshan nahi karna chahta par.. ap kya kar rahe ho yaha? Itni rat? "Um.. ap? Ap yaha kab aye?"
*Dev kehte hai* hn.. phirse maf kariyega.. me Dev ap jab kuch likh rahe the tab yaha ake beth gaya.. "me adyankita.." *wo apna nam batake phir khudh likhna shuru kar deti hai, Dev kuch puch hi nahi pate.. jis tarike se wo ekagratha se kuch likh rahi dekh Dev apne hath pe ser rakh ke use dekhe ja rahe.. jese jese wo thak jati wo apne bethne ka tarika badalti phir wohi surili avaz Dev ke kano me gunjti* Kya tum bhi wo avaz sun rahi ho? *Puchke Dev use dekhte hai , adyankita Dev ko dekh ke puchti hai* kesi avaz? "Yehi kisi kide ki surili avaz?" *Adyankita muskurate hue apni sari thodi upar karke apne payal dikhati hai* *Dev sharmate hue dusri or dekhte hai aur bas phir kuch unke muh se nikalta hi nahi, aur dusre ped se sukhe patto ko leke esi hawa ati hai mano wo ped unhe chidha raha ho* *Dev use dekh waqt bit raha hai ye bat bhul hi jate hai aur wo bas likhte ja rahi.. jese hi suraj ki kirne uski ankho pe dhire dhire padhne lagti hai adyankita ankhe aur sundar lagne lagti hai, wo apni ankhe band kar leti hai chouk jati hai aur apne ghar ki oor badhne lagti hai* mujhe jana hoga apna khyal rakhiyega "kahan?" *Adyankita bina kuch bole wahase chali jati hai*

*Dev agli rat phir ped se milne ate hai, par is bar sirf ped se nahi kisi aur ko dekhne bhi ate hai.. par wo to dikhi nahi.. ese hi kuch din gaye aur lekhakh uska intazar karte hai* hah.. aa gya phir.. beth raha hu is bar nahi puchuga tumse.. *ped se ek lakdi ka tukda Dev ke ser par girta hai* mar kyu rahe ho? .. maf karo gussa nahi karna chahta tumpar.. wo aj bhi nhi aai.. *Dev ped ke patte ko hath me leke khelte hue sochte hi hai ki ped ki oor mudhke ped se puchte hai* tumhe pata hai wo kon hai?

*Phir wohi hawa ati hai aur dusre ped ke oor badhti hai.. Dev samajh jate hai wo ped dusre ped se puchne keh rha, usi oor Dev badhte hai aur us ped pe halke se hath rakh ke pyar se puchte hai* kya tumhe pata hai wo kon thi? *Hath ko kuch alag mehsus hone lagta hai ki lekhakh apna hath hatate hai aur apne hath ko dekhte hai to unke hath gulabi ho jate hai aur thode se chamakne lagte hai* tum ... Tum jadui ped ho? *Us ped se bhi ek lakdi girti hai lekhakh ke ser pe* aauh.. mar kyu rahe ho .. acha! samjha nahi ho.. *ladki ki hasne ki avaz aati hai ped ke piche se, Dev dekhte hai adyankita waha khadi hai, wo bina kuch kahe bas hasne lagti hai.. khudhko sambhalte hue wo kuch shabdh bolti hai* ped? Jadui? Ap bhi na *phir hasne lag jati hai*
*wo us hath ke oor ishara karte hue* ye hath jaha apne rakha tha waha mene apne gehne rakhe the, ruko dikhati hu *adyankita us ped ko dekh ke waha hath rakhti hai aur Dev dekhte hai waha ek chotasa darvaza tha, adyankita wo darvaza kholti hai aur usme uske kuch gehne aur kitabe padi rehti hai*

Itni choti kitabe? *Dev puchte hai, adyankita jawab dete hue* hn ye me jab choti thi tab banai thi.. aur ye thodi si jagah mere kuch saman rakhne ke liye.. meri badi kitab to isme rahegi nahi nahi to wo bhi rakh leti.. jadui ped esa kuch nahi hota *muskurate hue* .. bas ye meri pyari dost hai..*adyankita bethne ka ishara karte hue* acha aao betho mere sath agar ap chaho.. *Dev beth jate hai* wese adyankita.. apne bataya nahi ap kya likh rahe the itne dhyan se? .. "kuch nahi bas.. kuch khudhki bate jo manme nahi rakh sakti wo isme likh deti hu aur bas kuch kavitaye ban jati hai, ap sunna chahige?"

*Dev apne ghutne chati ke pas lake ghutno pe hath modhke ser rakhke bas uski kavitaye sunne ke liye taiyar hote hai, adyankiya apni kavitaye sunati hai, shurwat ke kuch kitab ke panne ekdam sundar likhe hote hai aur subhe hone hi hoti hai ki lekhakh use rokte hue kehte hai* maf karna.. kya ap.. ye kitab mujhe padhne ke liye de sakti hai? Me kal rat phir aauga ise lautane.. Nahi matlab ap phir is waqt chale jaoge adhuri reh jayegi to.. kya me.. *adyankita unke hath me kitab soumpte hue* khyal rakhna iska bhi aur apna bhi me ati hu jab tak chaho rakh sakte ho me aaugi lene *Dev phir pura din uski kitab padhne me laga lete hai kyuki wo usi rat use wapas lautana chahte the aur ek bar padhne lage to rukne ka man hi nahi kar raha unhe.. itni sundar kavitaye thi.. par kuch hi panno me wo sundar kavitaye dard bhari kavitao me badalne lagi.. panna palatte palatte akhri bache do panno pe aa gaye aur usme kuch nahi likha tha.. soche kitab khatam hone aai hai to wo khudh ek kitab tofe ke roop me use dede.. lekhakh adyankita ki aur nayi kitab leke us rat phir waha pohoch gaye.. wo phir aai hi nahi har jagah dhundha shayad dusri jagah bethi ho.. par kahi nahi mili*

*kuch din gaye wo phir bhi nahi aai dono ped se pucha par wo to bol hi nahi sakte the.. phir kuch aur mahine gaye.. jese hi mosam badla us jagah jugnu ane lage.. Dev har rat wo dono kitabe leke wahi bethe rehte aur subah laut jate.. ek din wo dopeher ko us jagah ake beth gaye.. shyam hone aai jugnu phir ane lage par is bar jugnu ek rasta bana rahe the.. Dev us rah pe chalte gaye aur dekha ek sundar sa bangla jaha har jagah ped lage ho par wo bangla kafi shant tha.. bina puche wo andar gaye dhire dhire unhe na sunne layak avaz ane lagi , jese koi admi chilla raha ho aur koi ro rahi ho .. Dev na chahte hue bhi andar khidhki se jhankhte hai aur dekhte hai adyankiya pe koi buri tarike se hath utha raha ho jese sara gussa usi pe nikal raha ho.. jese hi wo admi shant hota hai wo ghar se nikal jata hai aur bahar se tala laga leta hai.. Dev pehle maale ke chhat se andar jate hai aur adyankita ko bich raste me rote hue sota dekh marham pattiya dhundhne lag jate hai.. *jese hi wo apni ankhe kholti hai wo dev ko apne samne paati hai.. uska hath dev ki hatho me dekhti hai.. aur dev uske hatho pe marham lagate hai.. wo uth jati hai unhi bikhre balo me rone wali nazro me dev ki oor dekhti hai* ap yaha kya kar rahe ho? *Dev kuch nahi kehte bas unke ankho se ansu adyankita ke hath pe girte hai, wo apna hatha apne pas khich leti hai..* nhi .. hath na lagao.. unhe pasand nahi.. "kon? Kinhe?" *Dev puchte hai, adyankita jawab deti hai* pata nahi.. mujhe to pata bhi nahi wo hai kon mere.. bas jab marzi wo ghar ate hai aur bas gussa kar jate hai haq jatate hai mujhpe.. pehle to itna pyar karte the mujhpe itne ache dost the mere aur ab.. me bas kuch nahi hu unke liye.. "to tum use rokti kyu nhi?" Jese bhi ho.. sath to hai mere? Jab wo mujhse pyar karte the tab unhone badi pyar se meri maang bhari thi.. tabse me bas unke liye pagal hu , kuch bhi karle wo me bas unki hu.. me 13 sal ki thi tabse akeli khudhko sambhalti hu pehli bar koi mujhe itna pyar kiya.. Itna sambhala shayad phir wo wese ho jaye..

"Shayad? Shayad pe duniya kabhi nahi chalti adya! Khudhko dekho.. apni halath dekho, hah.. me bhi kya keh raha hu, wo bhi tumhe.. lao apna hath do" nahi *dev uska hath khichke phir marhamn lagana shuru karte hai* ap bhi zabardasti karlo "farak samjho! Lo lagao khudh hi marham me ja raha hu aur ye lo tumhari kitab" *kehke dev chale jate hai* "aur hn.. tum bhi apna khyal rakhna"

**********

KITABजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें