Part: 1 Avastham

63 7 6
                                    

Ye kahani he us kali andheri raat ki jab koi bhi Akela us gaon ki or nahin jata tha jis gaon mein woh kicha rahata tha..

Kahaniya to bahot suni hogi aap logo ne ki shrapit haveli, shrapit Aatma lekin is kahani me pura ek gaon shrapit he..

Samay shukla bombay me rehne wala ek ladka apni mast zindagi guzar rha tha, achi job, ache dost, lekin wo apni family se dur rehta tha shukla nivas bahot badi haveli he jaha uska parivar rehta he, bahot sari daulat or bahot sara naam he shukla parivar ka lekin Samay aish-o-aaram ki zindagi nahi jina chahta tha...
Isiliye wo family se dur Bombay me aakar mehnat krke paisa kamata tha..

Amavas ki agli raat samay apne dosto k sath ek highway se jaa rha tha usi highway pe ye gaon aata tha...

Gaon k samne aate hi samay ki car kharab ho gayi or sab dost utar ke car check krne lage...

Samay: " Yar mene to kal hi service krai he is car ki, ese kese kharab ho gayi"

Taanya(samay ki girlfriend ):" aas pass dur tak koi garage wala b nahi he ab kya krenge "

Abhay( samay ka colleague) : " ye paas me ek gaon nazar aa rha he, waha jaake puchte he agar koi help mil jaye to"

Baatchit ke dauran ek aavaz aati he road k ek side wo andhera gaon dikh tha tha and dusri side jungle...

Car k ander samay ka ek or friend so rha tha uska name he yug, usne apni ankhe kholi to car k rear view mirror me use 2 laal chamkili or daravni aankhe dikhay di, or piche mudte hi sab log gayab ho chuke the yug keliye lekin asli duniya me yug gayab ho chuka tha car mese, sab log yug ko dhundne idhar udhar bhag rhe the or Samay car k pass khada tha, dekhte hi dekhte samay ki aankho k samne se sare log gayab hone lage....

Samay bahot dar gya or bhag ne laga road pe, lekin achanak wo ruk gya
Kyuki wo highway pr bhag rha tha lekin jab usne aaspass dekha to wahi gaon tha jo usne car k pass dekha tha...

Piche se kisike chalne ki avaz aati he samay ko, raat k 3 baje wo ek sum saam gaon me tha

Achanak samay k kandhe pe ek hath aata he wo dar k piche mudta he toh ek safed balo wala budha aadmi usko bolta he

" Avastham me aapka swagat hai "

KICHAजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें