Part: 2 Agasthya

41 6 3
                                    

" Avastham me aapka swagat hai "

Ye bolke wo budha aadmi Samay ko apne sath le jaata he
Samay ek anjaan gaon ma bs yahi soch rha tha k uske Dosto ko kese bacha ske

Andheri raat me us gaaon me bs ek budha aadmi hi uski madad kr skta tha

(Lekin wo budha aadmi uski madad nahi  balki kicha keliye shikar banakar le ja rha tha)

Samay: " Is gaon ka naam Avastham he?, mene pehle kabhi nahi suna esa naam, aap is gaon se ho kya ? "

Budha aadmi : " Nahi ye gaon ka nam avstham nahi he, avastham ka matlab he Rukne ki jagah, is gaaon se koi bhi zinda vapis nahi gaya "

Ye sun kr Samay or dar gya lekin us budhe aadmi ke piche jaane ke alawa uske paas or koi raasta nahi tha

Wo dono dhire dhire gaaon se ho kar eknadi k kinaare aa pahochte he

Samay: " aap please muje mere dosto ke pass bhej dijiye, hame ghar jaana he, ye itni daravni jagah se muje nikaliye"

Aadmi: " Tuje yaha se nikalne se pehle ek bahot bada kaam krna he, tuje is shrapit gaon ko mukt krna he "

Samay : " Shrapit gaaon, iska kya matlab he ??, Or muje is gaaon ko mukt krna he matlab ?? "

Ye keh kr samay piche mudta he lekin utni der me wo budha aadmi waha segayab ho jata hee

Samay dar kr bhagne lagta he or bhagte bhagte wapis gaon ki taraf aata he apne dosto ko dhundne keliye..

Gaon k bich me ek mandir hota he jaha pe ek diya bina ruke jal rha hota he

Samay ye dekh kr or b shok ho jata he or gaaon me bhatakta he

Achanak ek purane ghar mese yug ki aavaz aati he " Samaaaayyyy , samaaayyyy" ye ghayal aavaz sun kr samay us ghar ki or badhta he....

Is ghar k nazdik aate hi use yug dikhai deta he lekin yug ki halat bahot khara hoti he, wo khun se latpat joonj raha hota he or samay ko madad keliye bulata he

Lekin samay us ghar tak pohoch nahi pata,, jese jese samay ghar ki taraf aage badhta he wese hi ghar us se dur chala jaata he... Dekhte hi dekhte wo gaaon uskeliye ek bhul bhulaiya ban jata he

Samay apni puri jaan laga kr apne dosto ko dhundta he or chilla chilla kr unhe bulata he

Akhir me thak kr samay us mandir k pass aa kr bethta he

Tabhi joro se hava chalne lagti he or mandir k piche se ajeeb aavaze aane lagti he, samay ko wo avaz apne dosto ki lagti he lekin jab wo mandir k piche jata he waha pr ek nishaan hota he jo right side jaane ka ishara krta he ( ➡️)

Samay nishaan ko follow krta he or ek ghar ki taraf badhta he, ghar tuta hua or daravna he lekin samay ko bs apne dosto ko bachana hota he isiliye wo bina soche samje ghar me chale jata he

Uske pass na torch he na mobile jis se wo kuch dekh sake

Andhere se bhare us ghar me use ek avaz sunai deti hee

" Samayy yaha mat aao "

Ye aavaz Taanya ki thi....

Aavaz pehchaan kr samay us aavaz ki taraf bdhta he tabhi piche se ek parchai jaati he, samay turant piche mudta he lekin use kuch dikhai nahi deta

Samay aage badh kr ek room me pochta he jaha ek kone pr use ek ladki ki padchay dikhti he wo uske pass jata he, wo padchay taanya ki thi, taanya ghayal halat me leti hui thi uske sir or hath mese khun beh rha hota he

Samay taanya ko is halat me dekh kr bahot dar jata he or use uthane ki koshish krta he

Samay : " taanya uthooo, taanya please utho, kya hua tumhe , taanyaaaa "

Taanya hosh me aati he lekin wo dari hui hoti he, wo kuch bol nahi paati, wo bohot dar jaati he, samay ko dekh kr bhi wo use pehchan nahi paati or dar kr dur chale jaati he

Samay use shant krne ki koshis krta he or samjata he ki use kuch nahi hoga

Samay : " taanya ye me hu tumhara sam, daro mat ab tumhe kuch nahi hoga me aa gya hu "

Taanya samay ko pehchan leti he or use kaske gale lagaati he
Tabhi piche se samay pr koi vaar krta hee

Samay piche mud kr dekhta he to ek kaala andhera saaya bahot gusse se samay ko dekhta he

Taanya apni jeb mese ek taaviz nikaalti he or us saaye ki tarah ghumati he

Taviz ki shakti dekh kr wo kala saaya chillane lagta he wo hil nahi paata or room k ek kone me jakar sthir ho jata hee

Samay : " Hame akela chod do, Kon ho tum, or kya chahiye tumhe hmse ??"

Wo kala saaya samne ki divaar ki or ishara krta he..
Us divaar pe khoon se likha hota he:

" Agasthya "

" Agasthya "

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।







KICHAजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें