kahani Hamari-2

18 0 0
                                    

Naina library mein baith kr bss kitab k paane palat rahi thi shayd uska dhyaan kahin aur he tha na kisi gehri soch mein shayd

"Hi"

Achank se Naina ki nazar apne samne khade insaan pe gayi aur ussi tezi se ferse wapas paane palatne mein lg gayi.

"Aree ignore!", Naina kya hua hai

" Dekho tum jao yahan se ye library hai yahan baat Krna allowed nahi hai"

" Chalo fer bahar chalte hai"

" Nahi"

" Naina please"

"Sameer tum aise Mt karo pehle tum khud baatein bolke bhul jate ho aur fer aise bholi se shakal bnna k baat manwana cahte ho"

" Naina meine jaan bhuj k nahi kiya"

"Accha iska matlb tumko yaad tha"

"Yaad tha bhi, aur nahi bhi"

Librarian" excuse me aap dono please bahar Jake baatein kijiye yahan baith k sabko disturb mat kariye"

"Sorry Sir",Sameer jao yahan se mujhe padhna hai

"Please chalo na mujhe baat karni hai please"

" Thk hai chalo,tum nhi maanoge"

Naina aur Sameer library se nikal k school k garden mein jaane lgte hai
Wahan pahuch k Naina thode gusse mein he bench pe baith jati hai.

"Naina I'm sorry na mein kl sahi mein kahin fass gaya tha isliye nhi aa Paya warna mein aise kabhi nhi krta"

"Ha toh tum phone 📱 krke bata bhi sakte teh na sahi baat bolo tumko yaad he nhi tha"

"Aree nahi baba kasam se"

"Rehne do"

"Accha I'm really sorry aaj k baad kabhi aisa nahi hoga pkka"

"Sameer kitne he din bacche hai batao muskil se 1 hafta shayd usme bhi hamein padhae karni hai exams hai courses k form exams preparation tumhe lgta hai inn sb mein hamein time mil paega aur fer ye school khtm"

"Shant Naina school khtm hoga, hamara rishta hamesha rahega humnei ek ek moment jod k ye rishta bnaya hai tum kyu itna ghabra rahi hu baba"

"Mujhe nahi pata Sameer mujhe dar lgta hai duriyon se mujhe nhi pasand ye"

"Naina dekho meri taraf aur yaad karon hr uss lamhein ko jisko humne milke buna hai sajaya hai vo itne khubsurat hai toh dar kis baat ka batao"

Dono ek dusre ka hath pakad k vohi baith jate hai.

"Yaad karo Naina hamara milna"

"Naina hamesha mein Patna mein he rahi hai aur usse apne seher se bahut pyar hai fer ekdin uski zindagi mein aaya Sameer jisne Naina ko pyar ka ehsaas dilaya, Sameer ki family rehne wali Ranchi ki hai pr jb Sameer k papa ka business badne laga toh Patna mein unhein kafi scope laga aur jiski wajah se vo log yahan aake bss gaye.
Naina aur Sameer pehli bar 6th class mein milein jb Sameer ne iss school mein admission liye shuruaat toh bahut innocent wali thi aur ek pyari se dosti se start hue jisme bahut masumiyat thi, apne dost ko kisi k sath na share krne ka vo protective nature tha, dher sari masti aur care bhi. Pura grp hamesha sath he raha hr class mein Manoj aur Raghav toh pehle se he teh par jbse Sameer aaya teeno ki tegdi pure school mein famous ho gayi aur Naina, Preeti aur Swati ki dosti toh hamesha se he bahut famous thi.
Dheere dheere ye Dosti badhne lagi ek anjana sa rishta banta raha ek dusre se hr din milna accha lgne laga, kabhi na mile toh miss Krna bahut he masumiyat thi hr feeling mein.
Ye pura grp padhae mein hamesha bahut accha raha hai aur sabhi teachers ka favourite tha.
Aur issi tarah 5 Saal nikal gaye
Inke pyar ki ehsaas ki kahani pehli bar shuru hue 10th class mein
10th k final exams khtm ho gaye teh aur break results se pehle ka break tha ye sb dost school mein toh ek dusre se mil lete teh pr chuttiyon mein milna thoda muskil tha uss time bhi ladke ladkiyon ko leke society itni open nhi thi, starting mein toh din thk thak he nikal gaye pr kuch time baad dono he ek dusre ko bahut Miss krne lage, dono ko he ye feeling samjh nahi aa rahi thi

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Oct 21 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Duriya kareeb layeWhere stories live. Discover now