Harsh saw Ruhi bonding with Preeta and Karan from far.
He thought: maine Ruhi ko yahan la kar theek toh kiya na? Yahan Karan aur Preeta Ruhi se attach ho rahay hain, wahan Ruhi ke parents usay dhoond rahay hongay
On the other side, Rudra and Preesha distributed flyers among the people with Ruhi's information and photograph.
Harsh met Janki.
J~sab Ruhi ke saath kaisa chal raha hai? Isn't she missing her family? Kab tak rahay gi wo tum sab ke saath? Aur kab tak Preeta bhabhi aur Karan bhaiya is jhoot ke saath jeeyein gay ye sochte huay ke Ruhi un ki Pihu hai?
H~even I am feeling guilty, mujhe Ruhi ko yahan nahi laana chahiye tha, maine bas Ruhi ki khushi chaahi, lekin ye nahi socha ke Karan aur Preeta usay apni beti maan lengay aur phir usay wapis nahi jaane dengay
J~dekho Harsh, tumhe un dono ko he nahi poori family ko samjhaana ho ga that keeping Ruhi with your family isn't the right decision. (Harsh looked at her tearfully) Tum sab ne usay apne ghar ki beti bana kar rakha aur tum sab khush ho lekin zara socho Harsh, tum sab is dard se guzar chukay ho, Pihu ki death se us ke chalay jaane se tum sab ne wo dard mehsoos kiya, is wakt Ruhi ke parents bhi us se door hone ka dard bhugat rahay hain, kaheen na kaheen us ka parivaar bhi toh us ke baare mein soch kar ro raha ho ga na? I understand tum apne bhai aur Preeta bhabhi ko udaas nahi kar saktay
Lekin think of Ruhi, wo yahan kiun aai thi? Apne parents ke union ke liye na? Ek na ek din usay jaana he hai, prepare them for it, before it's too late. Jo bhi ho, Ruhi toh end mein ja kar Preesha and Rudra ki he beti hai, Ruhi toh Ruhi hai na Pihu nahi hai
Tears rolled down his cheeks.
H~kaash wo Pihu he hoti, kaash sach mein wo humare ghar ki khushi ban kar lauti hoti aur humesha ke liye wahan rehne ko aai hoti
They shared an emotional hug.
Ruhi came to Rakhi.
Ru~Rakhi aunty
R~haan, beta aap na mujhe Rakhi aunty nahi Rakhi dadi bula lo
Ru~chhoti dadi bula loon?
R~okay
Ru~chhoti dadi, aaj na mujhe chhoti mumma aur chhote papa ke liye breakfast banana hai
R~haan lekin aap un dono ko chhoti mumma chhote papa kiun keh rahay ho?
Ru~toh main aap ko bhi chhoti dadi keh rahi hoon na, jaise aap meri 2nd dadi, wo mere 2nd parents
R~oh achha like that, chalo aao main breakfast banane mein help karti hoon
YOU ARE READING
Pyaar Ka Yeh Bandhan
FanfictionRuhi, a five-year-old girl lives with her mother after her parents' divorce. She befriends Harsh, the driver of her school bus, and decides to spend her holidays with him at his village.