part 1

2 0 0
                                    

Pesh lafz

Man o Salwa ka bunyadi mauzo rizq-e-halal hai. Bani Israel par nazil ki jane wali niyamaton mein se ek man o salwa thi. Man ek meethi danedar cheez thi jo aasman se raat ko shabnam ki tarah gir kar jam jati. Salwa ek parinda tha jo kasir tadaad mein unke ilaqe mein aata aur wo usay pakar kar khate. Bani Israel chalis saal tak jila watani ke dour mein yeh aasmani rizq khate rahe phir is rizq par aitraaz karte hue Hazrat Musa se zameeni rizq ka mutaliba karne lage. Woh is “paakiza

saada khane ke bajaye anwaa-o-aqsaam ke khane chahte thay. Mujhe man o salwa ke bare mein parhte hue ehsaas hua ke Bani Israel ke “man o salwa aur hamare rizq-e-halal mein bohat mumasilat hai. Woh paakiza saada khana tha. Yeh “paakiza

saada rizq hai. Dono ka husool be had aasan hai magar Bani Israel ke liye man o salwa par inhisaar karna aur hamare liye rizq-e-halal par jeena mushkil hai. Woh Bani Israel ki soch thi, yeh hamari soch hai. Woh man o salwa se na khush thay aur uska mazaaq urate thay. Na shukri karte thay. Hum ko rizq-e-halal pasand nahi hai aur hum is par aitraaz karte hain. Unhain zameen se agne wala

anwaa-o-aqsaam ka rizq chahiye tha. Humein short cut se kam waqt mein bohot zyada paisa chahiye. Bani Israel ki qaum kehti thi ke Musa ka Rab “kanjoos hai jiske paas unke liye man o

salwa ke ilawa aur kuch nahi. Hum aaj yeh samajhte hain ke “hamara Khuda humein rizq-e-halal ke ilawa kuch na de kar tang kar raha hai. Bani Israel apni is soch aur na shukri ki wajah se maghzoob

hui aur hum…

Yaqeenan hum maghzoob hona nahi chahte. Bani Israel ke sath man o salwa ke maamlay mein nazar ane wali yeh mumasilat afsosnak hai, sharmnak hai ya holnaak. Iska faisla hum sab

man-o-salwa by Umera Ahmed Where stories live. Discover now