On deathbed Final pov~
Aaj mein uss samay ke nikat hu jiss se mein Jeet nahi sakta
Ye kuch pal mein apne sabse acche yaado ka yaad karna chahunga
Iss jagah leth kar mujhe meri puri zindagi yaad aarahi hai
Mujhe yaad hai kaise Maine akhand bharat pe kabza kiya ye Mere Guru Chanakya ke bina kabhi sambhav nahi tha
Ek samay ka sarv shaktishali rajya Nanda ko parajit karke maine maurya vansh ka maan rakhaGuru chankya meri sabse badi takhat Bane aur hum dono ke kaaran yah rajya nirmaan huva.....vah mere humesha keliye adarsh hai
Durdhara ne apne bhai ke khilaaf jaake mera paksh liya mere saath mein acche bure samay mein saath diya....
Helena ke saath maine itne pal tho nahi guzare lekin uskeliye mera samaan kabhi nahi giraya gayaBindusara mai bhi aaj vahi chingari dekh raha hu...jo maine mere andar uske Umar mein dekhi thi
Mujhe lagta hai Kaash mein aur kuch pal jee leta tho shayad apne putra ki safalta apne ankho se dekh pata
Meri sansein ab dhal Rahi hai Aur mein janta hu mera samrajya humesha badta rahega...apne logo ka dhyaan rakhega aur mere mitti ka Maan samaan banega....
Mujhe garv hai mein aise mitti ka putra hu.......jaha Sabse takhtvar yodha janam lete hai
Shayad itihaas mujhe yaad nahi rakhega....lekin...Mere baare mein zaroor baat karega....ki ek aisa yodha tha....Jiska naam tha chandragupta maurya...His last words
"Mere putra bindusara...Ye shabd mein tumhare liye sopp raha hu ki Ek Raja ki takhat uske talvaar mein nahi hoti....lekin uske dil mein hoti hai...Raaj aisa karna jisme kshama karne ki bhavna ho aur nyay karne ki shamta ho "Death Age~ 55 years
What we can learn from him
~kuch Bane keliye himmat chaiye.......junoon chaiye aur ek aisa guru chaiye jo aapko marg pe roshni bann ke rasta dikha sakhe~
Should I continue this
With our Indian pride (emperor and kings)💖~Aaru🥺💖
YOU ARE READING
Unfolding ~The legacy
Historical FictionThe legacy Which people don't know emperor had a another life than personal My way of seeing them is typed here...~♥