An Incomplete Story (Hindi)

76 3 3
                                    

Hii FRIENDS.... THIS IS MY FIRST STORY. PLEASE COMMENT AFTER READ THIS.

Me Dehrahun ja raha tha..
mera ek dost mujhe station tak chhodne aaya tha or vo mujhe samjha raha tha ki yaha jana vaha mat jana zyada der tak window ke paas mat bethna etc etc.... OR me sun raha tha. Vo mera best friend tha. Use meri bohot fikar thi and mujhe bhi uski.
To me apne compartment me aa gaya. or apna bag rakhne laga tabhi ek ladki compartment me enter hui.. uske parents use chhodne aae the or vo window me se carefully samjha rahe the ki kis tarah strangers se baat karne ko avoid karna..
and than train left the station..

AS I WAS BLIND, vo ladki dikhne me kesi thi iske bare me mai bata nai sakta. But mujhe pata tha ki vo beautiful he q ki uski voice se mujhe laga. Use heels pasand nai thi shayad isliye vo sliper pehenne lagi.
Mujhe bar bar usse baat karne ka man kar raha tha par meri himmat nai ho rahi thi.
But at last i decided to talk with her.
"Where r u going" i asked. Mere is tarah achanak question karne se vo chok gai,,
"Me yaha kisiko nahi janti" she replied.
Then i said " Mene tumhe abbi tak nahi dekha but tum andar aate hue suna." Me use ye batane ki koshish kar raha tha ki me dekh nai sakta..
me usi tarah apni seat par betha raha jisse use pata chale ki me blind hu.
"I am going to saharanpur." she said.
"ohh nice " i said
" Where r you going?? " she asked.
i replied "yaha se Dehrahun and then massorie"
"Ohh how lucky of you" she exclaimed . "I love the atmosphere of massorie special at the time of October" she said with intrest.
mene kaha, " ha bilkul right is time pe vaha ka maza hi alag he, morning to evening mountain ka maza lo and then raat ko kisi river ke kinare beth jao or river ke pani ko behte hue feel karo ek cocktail ke sath" i said.

she was silent for some time. Actually hum dono chup chap bethe rahe.

And baad me mene ek galti ki mene usse kaha " U have an interesting face" ye sun ke vo hasne lagi. uski hasi ki aavaz mere kano tak ekdum pure sunai de rahi thi. " bohot se log mujhe kehte he ki mera face pretty he but interesting mene pehli baar suna he." usne haste hue kaha.
" hmm interesting matlab vahi pretty " mene kaha.
" You are a witty boy" she said..
mujhe man hi man laga ab mamla dheere dheere set ho raha he..
Fir mene again ek mistake kar di,
mene baat aage badhane ke liye bas yu hi pucha ki what is out side the window? And she replied "tum khud hi kyu nahi dekh lete" pehle mujhe bhi samajh nahi aaya ki usne esa q kaha but baad me realize hua ki kyu kaha or ye me aap logo ko baad ne bataunga.
Me bas silent beth kar window ke bahar ki duniya ko feel kar raha tha,,
bohot maza aa raha tha.
I said "dekho kis tarah tree aa rahe he or ja rahe he ye dekhne me kitna achha lagta he na what u say"
She replied "humesha esa hi hota he isme nai baat kya he"...
Use abhi tak mere andhe hone ka pata nai chala tha or ye mujhe bohot zyada ajeeb lag raha tha..
Usne mujhse pucha ki Saharanpur station kitni door he?
Mene thoda sa dukhi hokar kaha ki kuch hi der me tum station par hogi.
then she said "Me train me 2 ya 3 hour se zyada travel nahi seh sakti.. mujhe to khutan hone lagti he."
Par ab to me usi tarah uske sath us compartment me life time reh sakta tha..
Me bas soch raha tha ki uski hair style kesi hogi, iska face cut kesa hoga etc.

And after that hum Saharanpur pohoch gae. Vaha use uski aunt pick up karne aai thi. Vo apni seat se uthi or bahar gai esa mujhe feel hua. And suddenly usne mujhe window se kaha "GOOD BYE" .. or me usi tarah silent betha raha. Mujhe life me pehli baar us tarah ki feeling aai thi. Mujhe bohot afsos tha ki me use khuch bhi nahi bol paya. Kuch der baad mene vaha bethe ek aadmi se pucha "Kya aapne us ladki ko dekh jo abhi yaha bethi thi kuch der pehle"
"Ha dekh tha na" he said.
then mene unse pucha ki usne apne hair long rakhe the ya short? Khule rakhe the ya bandh ke? To unhone kaha "Pata nahi i didn't notice" and uske baad unhone jo kaha vo sun kar to me shock ho gaya unhone kaha ki
" BUT USKI EYES BOHOT BEAUTIFUL THI PAR AFSOS VO UNKA USE NAHI KAR SAKTI THI"
"What" i said with shock.
"Ha to tumne notice nahi kiya?"
Ab mujhe chala ki vo bhi meri hi tarah blind thi, isliye usne mujhe window se khud hi bahar dekhne ko kaha tha.

Really, me jab bhi train me travel karta hu to mere mind me bas ek hi cheez hoti he ki kaash vo ladki fir se mujhe mile.

Vo ladki bohot bohot beautiful hogi, Jo duniya ki khusoorati se anjaan he vo khud kitni beautiful ho sakti he iske bare me me bata nahi sakta.



HII FRIENDS, HOW ARE YOU ALL,
I HOPE SOMEONE IS READNING,
PLEASE COMMENT HOW WAS THE STORY. AND VOTE ALSO.
HAVE A NICE DAY..

आप प्रकाशित भागों के अंत तक पहुँच चुके हैं।

⏰ पिछला अद्यतन: Aug 15, 2015 ⏰

नए भागों की सूचना पाने के लिए इस कहानी को अपनी लाइब्रेरी में जोड़ें!

An Incomplete Storyजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें