Shaam dhali hai
baat chali hai.....koi yaar mila hai waqt ke baad, mudde chide hain waqt ke baad,
koi rok nahin aazadi hai, aaj waqt mila hai waqt ke baad.
Chuti hui ghadiyan kai waqt k baad aaj saath chali hain,
Shaam dhali hai
baat chali hai.....jita kya jab bhag raha tha bheed ka musafir main,
dost ki ibadat na thi, ban gaya tha kafir main,
beet gayi zindagani duniyadari mein sari,
yaad aya jeena bhul gaya, jab thak ke gira aakhir mein.
Aaj jo suljhi paheli, jeene ki saugat chali hai,
Shaam dhali hai
baat chali hai.....dhan-daulat zar-zevar, chauguni barkat thi,
uncha uthne ki kashish mein, kamyabi se chahat thi,
unchayion pe pahunch to gaya, jo meri kismet thi,
par kisi murjhaye bagh-si, is dil ki hasrat thi.
Rok mat balam ko aaj, khushiyon ki barsaat chali hai...
Shaam dhali hai
baat chali hai.....
YOU ARE READING
shaam dhali hai
Poetryhere's one to life....with the setting sun...to the bygone past n d rising future....here's one to you