Suno!!

707 47 11
                                    

Es larki ney toh topic ka the end kardiya!

Asad yeh soch kar chup hogaya aur aise mey dehka ke kuch larkiyan station ke andar agayi, unhe dehk kar Asad bench se fauran utt gaya takey woh larkiya bait jaye. Woh karda raha dewaar pey thaik lagaye aur apne cell phone pe game kar raha tha key aise mey ek admi andar agaya aur woh Amber ke bench ke taraf kadam barda raha tah. Yeh dehk kar Asad jaldi se Amber ke bench pe akey bait gaya aur dheemi se awaz mey kehne laga;

"Mujhe maaf kijiye ga per apki hifazat karna mera farz hy esliye nahi ke ap Pakistani hy balkey insaniyaat ke nathey!"

"Shukriya.."

Amber ne dheemi se jawab mey kaha ur dil mey khuda ka shukar ada kiya key yeh larka akey bait gaya bench pey us admi key bajaye.

*****

"Suno...!,
Time kya horaha hy?"

Amber ne buhat ajez hokar pocha Asad sey.

Amber ke pait mey bhook se chuhaiy dord rahe teh, us sey ab uski bhook bardasht nhi horahi thi aur Metro station pe koi café nahi tah aur uppar sey Amber key paas paise bhi nahi teh;

"Well ma'am,
Time is 9:45 pm"

Asad ney dehley awaz mey jawab diya, woh es larki key aapi ka intezaar kartey kartey thak chuka tha aur usey bhi buhat bhook lag rahi thi;

Yeh larki bhi yaha kabse hy and May be Jaise bhook mujhe lagi hy, esey bhi bhook lagi ho?,

Chalo ess'ey pochta hon,

"Suno mujhe buhat ziyada bhook lagi hy aur yaqeenan apko bhi bhook zarur lagi hogi. Kyun ki ap shadi pe janey wali thi aur mey New Eve key party mey. Lekin ab jubke hum dono yehi pey hy jub tak apki aapi nahi ati toh mey kuch khaney ka order kar raho hon,

Esliye ab ap batayein kya khayengi?,
Hmmm.."

Asad bench se utt kar deewar per thaik laga kar bhola;

"Kuch nahi chahiye,
Kyun ki mujhe bhook nahi...!"

Amber us larke sey nazrain chura kar boli;

"Agar apko sach mein bhook nahi hoti toh ap mujhse youn nazrain nahi churati!"

Asad muskura kar bench per Amber ke qareeb akey bait gaya;

"Ji.."

Amber sawaliyan tasuraath ke saath boli.

"Khair main phir bhi ap ke liye khana laonga,

Okay ji...!"

Asad ithlaa dey kar utha per Amber ne manfi mey ser hilaya, woh es shaks ka aur ehsaan nahi lena chahti thi.

Asaad ko ghussa agaya kyun ki woh janta hy ke es larki ko bhook lagi hy aur uppar sey yeh larki izhaar bhi nahi karti jubke woh izhaar sunna chahta tah.

"That's it,

Apko bhook nahi toh mey yaha reh kar kya karonga.

You know what I think you don't need any help from me now,

So I'm leaving!

Theek hy muhtharama,
It was nice meeting you,
Allah hafiz!"

Yeh keh kar Asad ney Goodbye wave diya aur chalne key liye murda key Amber ney Asad ki kalayi thamkar darkhuwasth ki;

"Ruk jayiye, please.."

Asad ek lamhe ke liye chaunk gaya kyun ki es larki ne uska haath tham liya, usne murd kar es larki ko hairaat se dehka. Amber ne dheere se us ka hath chord diya;

"Lijiye mein ruk gaya,
Ab kya ..?"

Asad ne talkh lehjey mey kaha.

Yeh sunkar Amber dil bardashta hogayi aur uski ankhein naam hogayi aur ansoo motiyon ki tarah ankh se gherney lagi. Asad ussey aise dehk kar sharamsaar hogaya aur kehne laga;

"I am sorry,
Dehke,

Mera hargis yeh iradha nahi tah key mey apko rola don.
Please,

Forgive me I'm soo sorry",

Asad ney apne kaan pakard kar mauzraath ki;

"Ap sorry mat kahen,

Actually I should be the one to apologize for making you stay here for me,

Apne bhi toh kuch plans banaye honge ajj raat ko celebrate karne ke liye lekin ap yahan insaniyat ke nathey meri hifazath karne ke liye ruke hain jub tak meri aapi nahi ati.

Ap itna barda ehsaan mujh per kar rahen hain aur uppar se mein farmayish karon khaney ki,

Kahiye..?"

Amber ney sawal kiya.

Asad apne dil ko pouri tarah se es larki ke haathon se ghayalmehsoos kar raha tha;

Aisi masoomiyat toh ajj tak es dil ne nahi dehki!

 
Yeh soch kar Asad zameen per chaarzanu karke bait gaya aur apne chehre ko hath pe thaik laga kar kehne laga;

"Apko lagta hy ke mein insaniyath ke nathey yahan pe hon..?"

"Ji.."

Amber confused hokar boli.

"Haqeeqat toh yeh hy ke mera dil ghayal hochuka hai apki sadgi se, jis mashreqi larki ka khuwaab mein itne saalon se dehk raha tha mujhe ajj uski tabeer ap mey mili.

Jubse ap mujhe mili hy us har lamhe mein mere dil pe ek khobsuraat aur ajeeb si qaifiyaat hawi horahi hy jo ajse pehle kabhi nahi hua,

Trust me!"

Asad ne ek aah bhartey hue kaha;

"Yeh ap kya keh rahen hy..?"

Amber besakhta kardi hokar boli aur Asad ko ghussey se dehk kar jane lagi key Asad ne uske dupatte ka palo pakard liya aur hasne laga;

"Arey mein toh mazaak kar raha tha!"

Yeh keh kar woh uth gaya;

"Sach mey,
Yeh sirf ek mazaak tha Kya?"

Amber ne dheemi se awaz mein pocha.

"Ji Han!

Yeh mazaak hi tah,
bus ap zara wait karain mein abhi phone pe order de ke aya,

Okay!"

Asad ne muskura kar tasali detey hue kaha aur phone karne ke liye Amber se zara fasley per jakar call karne laga.

Yeh larka mazaak mein yeh sab keh raha tha yah pir sach mein?,

Lekin yeh jis ehsaas se keh gaya, mano yeh sab sach ho!

Amber es Ajnabi ko ghaur se dehkne lagi,

Uske baat karne ka andaaz,

Shararat bhari muskurahat aur pur kashish ankhain, es larke ki pori personality Amber ko dil hi dil mein buhat achi lag rahi thi.

*****

AjnabiWhere stories live. Discover now