Aj Dinner table pe sirf Agha Jaan, Wali aur Farah thay.
Agaha Jaan: Bhai tm dono tu itney khamosh ho socha mein hi kch bol loon. Ek ne doctor bante bante patar patar bolna chor diya hai aur dosri tarf ye aadhe lawyer sahab hain jo sirf zerminay se larne k liye 24 ghunte(hrs) tayyar rehte hain waise kum-go hain per mood mein hoon tu kiya hi baat hoti hai. Ahh barey Log bari Baatein.
Wali: ye sun ker muskaraya, seedha seedha ye kahen k apko apni badtamiz poti yaad aarhi hai halanke yaad aani tu nhi chahiye ek hi kafi hai, us ne Fara ki tarf dekhte huay ye jumla kaha tha.
Fara: moun neechay kerk khana khane mein lagi hui thi, lekin wo sb kch sun rahi thi balkay uska deyhaan unhi baaton pr tha.
AghaJaan: Haan ye tu hai, waisey shukr hai wo khair khairyyat se pauhunch gaye hain....
-Dinning table pe srf Agha Jaan hi bolte rahe khana khatam honey tak or Arjumund chachi or Zerminay uncle Feroz k ghar 2 din rehne k liye aj hi wali chor k aaya hai.Fara ajkal bht khamosh si hogayi thi wo jo baat cheikh cheikh k kehna chahti hai aur wo tu khandaani moun phatt bhi hai tu kehde magar kaisey kahe. Jis ko kehna hai uski khamooshi itni mazboot hai k wo Fara ki himmat ko torr deti hai. Agha Jaan k heart attack k baad se Wali ne Fara se baat krna bilqul hi chor diya hai aur iss baat se Fara sakht takleef mein hai.
Udaas Dil k saath Fara ne sare kaam khatam kiye aur sedhay kamrey mein chali gayi.(Wali aj Agah Jaan k saath tha). Ammi ko phone milaya aur phir se unhon ne ussey dhutkaar diyaa.
"Baba, kbhi kbhi mein ye wish kerti hoon k aap aur suhaib baba ayein aur sb kch theek kerdein, ye sari naftratein aur narazgiyan khatam kerdein. Baba Wali mjhe nhi chahta hai (ye kehte waqt usk aanso unke chehrey per girney lage thay), apko pata hai ussey meri fikar hai, zerminay kehti hai k wo mjh se mohabbat kerta hai per asal mein wo mjh se be-intihaa naraaz hai, nafrat hai ussey mjh se. Mein kaise manaoun?..."
Aj tak zindagi bhar mein Fara Behroz Khan ne kisi ko nhi manaya hai or ye manane vali quality us mein kbhi bhi nhi thi. Lekin ziddi bohat thi, jo chahiye tou chahiye chahe jaan bhi deni ho, aur yahi wo quality thi jisse wo na-waqif thi magar Baba aur Wali Suhaib Khan achi tarhan waqif thay.
Bed per leti aur sochne lagi, zindagi mein pehli baar aisa hua hai k mujhe kisi ki bohat fiker hoti hai, mein usk saamne jaoun tu sahi halat mein jaoun, baat karun tu lehja theek ho,uski her baat manou,wo bus mujh se baatein kare, wo meray se bhi hassi-mazaaq kare,wo jb bhi meray as-pass hota hai mein apne apko mehfooz aur pur-sukoon pati hoon aur usk chehre mein Baba ka aks mjhe nazar aata hai jo aur kisi k chehray mein nhi aata. Uska jhoota khana khane mein mjhe bohat lutf aata hai. (Farah wo larki thi jo apne baba jo uski jaan they unka kbhi jhoota tu choro, unk jhootay glass mein pani nhi peeti thi)
Usey wo waqiya(incident) yaad aaya, jb Behroz Baba ki death hui thi tu Fara unki achanak maut se bht darr gayi thi, haveli tk sare raaste wo Agha Jaan se chipki rahi aur haveli pauhunch ker bilqul khamosh thi. Phir wo unhi uthi or Behroz Baba ka jahan taboot rakha tha wahan pauhunch gayi halank usey haveli ka kch nhi pata tha phir bhi wo wahan gayi aur wahan ser rakh roney lagi, cheekney lagi
"Baba wapis aayein, mein apko nhi tung karongi, mein apk saath haweli mein rahongi, baba uthein na, ap cheating ker rahein uth nhi rahe! Apki fara bula rahi hai..."
Itni hi deyr mein Wali aur zerminay aajaate hain, zerminay tu khud ro rahi hoti hai uss intihai mushkil waqt mein Wali Suhaib Khan ne hi ussey dilasa diya tha, usk aansoo saaf kiye thay.
Fara: Wali, zerminay tum log baba ko bolo na uth jayein dekho meri baat nhi maan rahe.
Zerminay ne bari mushkil se usey pakra hua tha aur wo Fara ki kamar k peechay moun chupa ker ro rahi thi! Wali ne Fara k ser dupatta rakha, usk sir per haath rakha, usk anso saaf kerte huay kaha "Dekho tum bareybaba se mohabbat kerti ho, unki jaan ho na, tu abhi chup hojao. Aisey na karo"
Fara: Wali... Baba *wo abhi bhi ro rahi thi*
Wali ne apni shawl utaar ker usey pehnayi aur zerminay se kaha "Sumbhalo apne apko zerminay, tum tu na kamzor paro, Fara shock mein hai, darri hui hai!
Phir Zerminay aur Wali usey pakkar ker kamrey tak leke gaye aur wahan chachi ne usey sulaya tha.
Ye wo waqiya tha jo Fara ne aj pehli baar yaad kiya tha.
To be continued...