Sirf TUM!

537 10 23
                                    

Wo ek dum iss waqiye ko yaad kar k uthi, calender ki tarf nazar dali. 

*Sirf Do haftay?? Mein kaise reh paoungi Wali k baghair, mein tu reh hi nhi sakti, jazbaati hote hi wo foran bister per se uthi aur neechay gayi. Neeyat ye  thi k daurtey huay Wali k kamrey mein jayegi or usey manayegi or yahi kiya mgar Wali apne kamrey mein tha hi nahi.

Thora Pareshan hui, "Kahan hai Wali?" us ne foran usey lounge or study room mein dekha wo wahan nahi maujood tha. Raat k 3 bajh rahein hain, wo Agha Jaan k kamrey ki taraf chul di...

Agha Jaan k kamrey mein dekha tu hairan si hui magr halka sa muskurayi. Wali aj Agha Jaan k bister per unk saath hi so gaya tha. Fara ne Agha Jaan ki kitaab uthayi aur unhein sahi tarhan comforter uraya. Dono ko dekh ker wo bohat khush hui thi. Usey Wali aur Agha Jaan ki dosti aur bey-takallufi bari hi bhaati thi. Ussey hamesha apni aur baba ki frankness or closeness yaad aati thi dada-potay ko dekh ker.

Wo wapis apne kamrey mein chali jaati hai, fajar ki namaz perh ker farigh hi hoti hai k Gul-Khan usk kamrey k derwzay per khara hota hai.

GulKhan: Fara Bibi wo chotay Khan ki tabyat mjhe theek nahi lag rahi ap zara aak dekhlein.

Fara: Ye sunti hi muztarab ho ker bhaag k kamrey mein jaati hai.

Agha Jaan: Fara dekho beta ye Wali ko kiya hua hai?. Raat mein tu bilqul theek tha. 

Fara ne Wali ka ser, haath aur gurdan pe haath rakh k usey check kiya tu Wali ko bukhaar tha aur uska gala bht sakht kharaab tha. Dayenay bazoo per choot bhi lagi hui. 

Fara: GulKhan foran se mjhe ye medicines or injections la dein aur zara jaldi. Mein apne sign ker rahi hoon lekin apko doctor Faraz se ye stamp karana hai, ap bus jaldi jayein mein unko phone pe bata deti hoon.

Agha Jaan ap bilqul fiker na karein, Wali theek hojayega. Wali ka blood pressure check kerte huay wo boli thi. Blood pressure zara low hai lekin mein abhi injection de dongi tu sab theek hojayega. 

Fara raat mein sirf ek-sawa ek ghante hi soyi thi aur subha uski ye bhaag dor dekh ker Agha jaan bhi chauke huay thay. itni hi dayer mein Fara ne kitchen mein jaa k soup ki tayyari bhi shuru ker di thi...

Idher wo Agha Jaan ki dekh bhaal ker rahi tu udher Wali go zara sa hosh aaya, wo abhi bhi ghoonudgi mein hi tha tou Fara ne usey soup pilaya or dawa khilayi. Chachi ka phone aaya tu usne ye keh diya k Wali ghurh sawari per gaya hai..

Issi bhaag daurh mein do-peher hogyi. Poori haweli mein khamooshi thi aur Fara Wali  k takhne pe ser rakh ker udaas ankhon se usey tik-tiki bandh ker dekhi ja rahi thi.

Fara: WALI mein tum se ab juda nahi hona chahti, mein apni rooh, apne wujood , iss rishte ko, apni zindagi ko tumhare saath qayem rakhna chahti hoon Pooray Dil se sirf tmhein chahti hoon.

Taqreeban raat k saath-saresaath baje Wali ko sahi tarhan hosh aaya, usk galay mein abhi bhi kafi takleef thi. Wo uth ker fresh hua aur lounge mein aagya.

AghaJaan: Arey meray shair achanak apni itni tabyat kharaab kerli? 

Wali: *ahista se* Mein kafi better feel ker raha hoon. 

Raat k khane k baad Wali apne room mein tha aur medicines le chuka tha. Fara ne Wali k derwazay pe dastak di.. 

Fara: Tumhari ab tabyat kaisi hai? Kuch chahye tu nahi? Mein tumhare liye Doodh-haldi layi hoon, isk saath medicines lena.

Wali: Mein le chuka hoon dawaiyaan aur mujhe jab kch chahiye hoga tu mein kisi bhi nauker se keh donga aur Doodh-Haldi peenay ka mera bilqul bhi dil nhi hai. Please jaate waqt light off kerdena mein zara sona chahta hoon. *kafi rookhay andaz mein bola tha*

Fara jo derwazay k bahir hi khari thi light off kerk wapis chali gayi. 

Subha Wali, Agah jaan k paas aya aur ye bataya k wo mission k liye Islamabad ja raha hai ek hafte k baad ayega. Fara jo wahin bethi thi uska tu jaise dil thum gaya, saans bund si hogyi. Usne zara dheemi si awaaz mein Wali se poocha. 

Fara: Mein tumhari Packing mein madad kerdoon? 

Wali ne bilqul fara ko ignore kerdiya aur Agha se baat kerne mein hi masroof raha. Wali k Jaate waqt, Agah Jaan ko fara neechay le aayi thi. Wali ne Agha se pyaar lenay k liye ser jhukaya tu Fara ne Wali ko KhudaHafiz kaha aur kaha k 'pauhunch ker khabar de dena' . Wali ne Farah ki tarf dekha aur uski baat ka koi jawab diye baghair hi palat gaya. Usk car mein bethnay tak Fara iss intezar mein thi k wo ek baar sirf  ek baar hi peechay murrh k dekhay magar aisa nhi hua.

Wali sara din Udaas hi raha. Tabyat bhi theek nahi thi aur uper se wo Fara se rudely behave kerne pe apne se kafi naraaz tha. Khirki se bahir dekhtay huay usey apne baap k wo alfaaz aj phir shiddat se yaad aye thay "Fara Wali ki dulhan hai" .

Zerminay bhi janey se pehle Wali k paas ayi thi.

Zerminay: Lala ap aur Fara ek dosrey k saath bht jajte hain. Bohat ache lagte hain. Mein janti hoon ap fara se naraaz hain lekin ap dekhein na wo bht badal gayi hai. Wo hum sab kojanti nhi thi isliye aisey ajeeb sa behave kerti thi. Ap ye mut sumjhiye ga k usk kehne pe aayi hoon. Nahi aisa bilqul nahi. Mujhe ye mehsoos honey laga hai k wo aap se mohabbat kerne lagi hai.

Wali: Acha doctor badtameez.(zerminay's nick) Waise us mein aisi konsi quality hai jisko mein pasand karoon?

Zerminay: Uski sachayi! Wo hypocrite nahi hai. Wo bilqul Agha Jaan ki tarhan Dil ki baat maane vali hai. 

Waise lala ap ko ek baat batoun. Chota mun aur bari baat hai lekin mein nhi darrti. Meri engagement wale din mein bohat pareshan thi. Mujhe bohat ziada darr lag raha tha. Halank Laila Aunti aur Ibaad ko tu hum bachpan se jante hain lekin phir bhi bohat ajeeb mehsoos ho raha tha.Jaise mein ap sb se bilqul alag hojoungi. Balkey apko yaad hoga magni k baad mein royi bhi thi. 

Us k baad mujhe ehsaas hua k Fara bhi Nikkah wale din bht darri hui hogi. Usk liye bhi tu bht mushkil hua hoga na ye faisla kerna. Wo tu kuch bhi nahi janti thi aur Nikkah bhi itni jaldi hogya tha. Shayad Larkon ko aisa feel na hota ho lekin larkiyun ko ye sab bht feel hota hai. Sari zindagi ek shakhs k naam, yunh lagta hai wo ek shakhs hamaray baba, bhai ki jaga le raha hai. 

Ap se Nikkah k doosri raat hi Behroz Baba ka intiqaal hogya,iss sb ne uska dil maila ker diya hai hamari tarf se. mujhe abhi tak mehsoos hota hai k Fara baray baba ki maut k ghum se nahi nikli hai.  

Wali: Acha theek hai mein ne kaam kerna hai tum jao!

Wali aaj ye baat yaad ker raha tha or ye bhi k usk bemaar hney per fara sara din bhaagti daurti rahi aur wo kafi badal chuki hai...

Wali ne hamesha sirf or sirf Fara se hi mohabbat ki thi lekin wo zabardasti ka qayel nhi tha. Wo ye manta tha k Mohabbat ki jaati hai, manwayi jasakti hai magar Mohabbat kbhi HASIL nhi ki jaati.

Wo ab jb fara ko aur qareeb se jaan chuka hai tu wo nahi chahta k fara kisi dabaou ya majboori mein us k saath rahe. Wo ye chahta tha k Fara Behroz Khan usey pooray dil or dimagh k saath qubool kare aur us se mohabbat ka izhaar kare. Us sey mohabbat ki binah per apna humsafar manay....



You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Feb 04, 2016 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Muhabbat Ka JunoonWhere stories live. Discover now