Woh nazuk phool jaisi hai ,woh chanchal titliyon jaise
Woh jiska dil hai sonay sa,woh sub ankhon sy kehte hai
Woh jub bhi muskurate hai,bahar ek dum sy aate hai
Woh jub bhi gungunate hai fizaen jagmagate hain
Woh nazuk phool jaisi hai ,wo chanchal tirliyon jaisi
Sakhi mere saheli hai ,woh so main ek akeli hai
Mujhy aksar satati hai ,main us sy rooth jaon to ,phir aakar khud manate hai
Magar khud ek paheli hai
Woh nazuk phool jaisi hai ,wo chanchal titliyon jaisi
Mery din raat jaisi hai,wo dil ki baat jaisi hai,mery sub raaz sy waqif,mery halaat sy waqif ,wo mere zaat jaisi hai
Woh nazuk phool jaisi hai ,woh chanchal titliyon jaisi
Banaya us ko rub nay hai
Naram naazuk se matti sy
Muhabbat us main esi hai
Baharon khushbu'on jaisi
Wo naazuk phool jaisi hai ,woh chanchal titliyon jaisi
Khuda mere dua hay yeh
Usy har dum sukhi rakhna
Ury woh aasmanon main muhabbat k jahanon main
Jo mangy wo ata karna
Wo nazuk phool jaisi hai wo chanchal titliyon jaisi
YOU ARE READING
Titliyon se Pahaili
PoetryAssalamualikum friends!! I'm here with my new poem This poem is not just a poem for me this is my love for my Best Friend .... I dedicate this poem to u jani @mou_ms on very special occasion..... On our first friendship anniversary ...May Allah pr...