Part 32

335 45 25
                                    

Devaki made tea for everyone. They were talking about so many things happened with them in last month.

"Aagey ka plan kya hai ?? " Sumedh asked.

"Meri mano to hame ek strategy banake chalna chahiye.. Like poora plan banake.. Aise hi bahar niklna namumkin hai.. Yeh log gaanv ke aas pas bahot pehra dete hai.. " Devaki said

"Hmm.. Sahi kaha.. Yaha se aise hi niklna namumkin hai.. Hame bahar nikalne ke liye yaha ki local logoka support chahiye.. Jaise tum dono ke paas Jamnabai ka hai.. Koi aisa insan chahiye jo iss area ko janta ho.. In logoko pehchanta ho.. " Aadi said.

"Jamnabai bahot intelligent hai.. Wo bahot se raaj janti hai.. Hame ek ek kar ke sare bahar nikalne hai.. " Sumedh said.

"Maine ek baat notice ki.. Yaha ki aurate bahot jyada pichdi hui hai.. Hum thoda sa effort leke un aurato ke in sab ke against agar khada kar paye to bahot kuch ho sakta hai.. " Devaki suggested.

"Yeh tumhara normal nature hai Devaki.. Tumne yeh kaam pehle din se hi shuru kar diya hai.. " Aadi taunted her.

Sumedh & Aarushi chuckled. Devaki rolled her eyes.

"Sahi kaha.. Kiya hai maine aisa.. Abhi se kuch aurato ko maine unke sath ho rahe anyay atyacharo ke khilaf khade hone ke liye uksana shuru kar diya hai.. Par yeh hamare liye accha hi hai.. Hai na..??? " Devaki confessed.

"Bilkul accha hai.. Hamara kaam aasan ho gya.. " Aadi said.

"Ab I think hame jana chahiye.. Subha logoke uthne se pehle hame waha pohchna hoga.. Taki kisiko shaq na ho.. " Sumedh said.

Aadi nodded.

"Ab yeh darwaja band kar lo aur uss par mitti daal do.. Kisi ko yeh baat pata nai chalni chahiye.. " Sumedh said.

Aarushi started crying as she was not ready to leave Devaki.

"Aaru.. U hv to be strong.. Hame yaha se bahar niklna hai.. Uske liye hame yeh sab karna padega... Be a strong women.. " Devaki consoled her.

Aaru nodded.

"Thik hai.. Ab thodi din yaha ka poori situation dekhte hai.. Dekhte hai ki kya koi hame support karta hai.. Aur do din baad raat ko yahi milenge.. Tum dono aa jao.. Hum Akshayaa ko leke nai aa sakte.. " Aadi explained.

"Thik hai.. Jamnabai se aur baatein nikalte hai hum.. Abhi chalte hai.. " Sumedh stood up to leave.

Aadi hugged him.

"Apna aur Aaru kya dhyan rakhna.. Ab tumhe baccho jaisi harqate chhodni padengi.. Aaru ka poora dhyan rakhna.. Uske aas pas tumhare alava koi nai hai.. U hv to be responsible.. " Aadi advised Sumedh.

Sumedh nodded. Aadi looked towards Aaru who was crying in Devaki's embrace. He took out the Rudraksha Mala frm his neck & gave it to Aaru.

"Tumhe safe rakhega yeh.. Apna khayal rakhna.. " Aadi said.

"Aap dono bhi apna khayal rakhna.. Aur Akshayaa ka bhi.. " Aaru said.

 
                         *********

Abhishek & Sara were roaming in jungle.

"Abhi.. Tum kya abhi bhi Urvashi se pyar karte ho..?? " Sara asked.

"Nai.. Uski happy family dekh ke mera nazariya hi badal gya.. " Abhishek confessed.

"Hmm.. Sach me wo tino bahot cute hai.. I hope jaldi sab kuch solve ho jaye un dono ke bich.. " Sara wished.

"Ek mahina ho chuka hai par koi un charoko dhoond nai paya.. Poore India ki police dhoond rahi hai.. Phir bhi unhe kuch chhota sa clue bhi nai mila . " Abhishek said.

NagtaniWhere stories live. Discover now