Dialogues

793 11 3
                                    

Zyadatar insaan pehda hota aam hai, jeeta aam hai, marta aam hai ... bade parde pe ya duniya mein na sahi ... kam se kam usse apne ghar pe, apne apno ke nazaron mein toh hero hona chahiye

Zindagi mein ek hassi woh hoti hai joh insaan apne gham ko chupane ke liye khud seekhta hai ... aur ek hassi woh hoti hai joh insaan ke saare gham bhula deti hai

Tum sabki nikalti jaan ke saath ... meri har chinta, sari stress bhi nikal jaati hai

Tum sabke dard mein mujhe khushi nahi milti ... sukoon milta hai

Tu jitna marne ke liye marega ... utni hi tujhe zindagi milegi

Tere jism se behte khoon ke har ek katre ka hisaab rakhoonga main ... teri aakhri saans ko bhi mutthi mein bandh rakhoonga main ... tujhe itna maroonga ki dard jeete ji tere jism ko bhi hoga ... aur cheenk marne ke baad tere rooh se bhi niklegi

Shaitan ki ek khasiyat hai ... apne hi janaze mein shamil hona uski fitrat hai ... nafrat uska hathyar, gussa uska barood ... humdardi usse aati nahi aur pyar koi usse karta nahi

I Love This Line

[Nafrat ko nafrat nahi, sirf pyar mitta sakta hai ... bas zaroorat hai kisi ke haath ki ... joh kheench kar usse andheron mein se ujalon mein la sake]

Muskurane mein na koi tax nahi lagtar

Main tujhe marne nahi doonga ... lekin main tujhe roz maaroonga ... ek baar nahi hazar baar maaroonga

Main jaanti hoon tum doli sajake rakhne waalon mein se nahi ho ... goli chalake thokne waalon mein se ho

Kehte hain maut bin bulaye aa jaati hai ... lekin main maut ke samne roz khada ho jaata hoon ... begani shaadi mein Abdullah deewana bankar

Jab tera dard kam ho jayega ... jab tera har zakhm bhar jayega ... main phir aaonga tujhe naye zakhm dene ... aaj se yahi hai tera muqaddar, yahi hai teri sazaa

Jab tak hum kisi ke humdard nahi bante ... tab tak hum dard se aur dard humse juda nahi hota

Is andhere ko roshni koi diya nahi ... sirf teri chitta ki aag de sakti hai

Hum middle class log hai ... upper class aur lower class ke beech mein sandwich bane huye hai

Har love story mein ek hero hota hai, ek heroine aur ek villain

Gunahgar hamesha wahi lautta hai jahan usne gunah kiya hai ... aur aashiq hamesha wahi lautta hai jahan usne aashiqui ki hai

Andhere ko andhera nahi ... sirf roshni mitta sakti hai

Aaj ke baad aapko shikayat ka mauka nahi milega

Ek VillainWhere stories live. Discover now