epi:174

1.9K 79 17
                                    

#ekdujekevaasteff
A/N: i know you people are feeling like story is going too slow or whatever but trust me guys this is not anyother ff of mine that i can make twist and turns in one episode all because i want it to be real  EK DUJE KE VAASTE as i have named it continuation... I want shravan-suman naughtiness as well as happiness and little sadness just like our serial
Epi:174

*they are leaving tiwari killa for their work, shravan leaning on car door sumo has opened car door and stops looking at shravan*
Shravan: sumo ek baat puchu?
Sumo: do puchlo
Shravan: tum bhi meri tarah jalkukdi ho na 😂
Sumo:😒 nahi to... Kyu?
Shravan: kal tumne meri aur sana ki post pe isiliye comment kiya na kyuki tumhe jalan ho rahi thi ki me tumhare saath nahi hu...
Sumo:*kaisa aadmi he yaar jo me dikhana chaahti hu vo isse dikhta nahi aur jo nahi dikhana chaahti vo jhat se pehchaan jaata he... Nahi sumo agar tu jalkukdi prove ho gai to yeh... Nahi nahi, sits behaving cool* nahi to vo mujhe caption achha laga isiliye comment kiya, me tumhare jaisi jalkukdi nahi hu samje
Shravan: ohh.. Mujhe laga... Vo actually kal mujhe tum par gussa aya isiliye i was lil sad aur sana ko to mera face dekh ke hi samajh aa gaya...to vo mera mood fresh karne mujhe dinner date pe le gayi... Vo mujhe itne achhe se jaanti he na ki...kya batau... Mene jab use bataya ki hum dono ki kis baat pe behes hui to usne mujhe samjhaya ki mera pov galat nahi he bas tumhe samjhane ka mera tarika galat tha...
Sumo: ohh *achha to ab mujhse sorry bhi isiliye bola kyuki sana ne kaha*
Shravan: you know sumo agar london me sana naa hoti naa to me aaj bhi shayad vohi bachpan vala nerdy champu sa shravan banke rehta
Sumo: kisne kaha ki tum bachpan me champu the?
Shravan: matlab me tumhe tab bhi hot lagta tha? Aww how sweet sumo
Sumo: *arre sumo kya bakti rehti he tubhi* mera matlab he ki kisne kaha ki tum sirf bachpan me hi champu the...tum aaj bhi champu hi ho...😂😂😂
Shravan: ohh hello yaa to tum kisi dusre greh se aayi ho yaa phir tumhe hot air champu ke bich ka difference nahi pata... Aaj bhi shaadi hone k baad bhi ladkiya marti he mujhpe... Sana ko hi le lo usne kal hi mujhe complement diya ki india aaneke baad meri body pehle se bhi zyada hot ho gai he
Sumo: kyaaaa???? Sana ne tumse aisa kaha...*calm down sumo ye tu kya kar rahi he, khudko hi jalkukdi prove kar rahi he saamne se* i i mean sana ne tumse aisa kaha ki tum hot ho??
Shravan: haa kyu
Sumo: mujhe to laga ki sana london me rahi he kam se kam use to hot aur champu ke bich ka difference pata hoga
Shravan:*looks in the mirror just like guglu time* whatever!

*reached*

*at noon shravan sumo has to go for shopping for their marriage function, other preparations are already being done by other family members*

Shravan: chale madam
Sumo:chalo
Shravan: pehle hum motilalji ke yaha se engagement rings aur baki ko jewellery kharidenge
Sumo: okayy

*motilal's shop*
namaste motilalji
Motilal: are shravan bete aao aao...kya baat he bohot din ke baad
Shravan: vo actually motilalji inse miliye ye he mrs.suman malhotra meri wife...
Motilal: ohh to aap apni wife ke liye jewellery kharidne aaye ho
Shravan: nahi hum log actually engagement rings kharidne aaye he...
Motilal: aaiye me abhi dikhata hu

*they go to see rings, after watching some rings*

Shravan: are ye to vahi vali ring jaisi he jise mene sana ko gift kiya tha... Mujhe laga vo unique design tha
Sumo: *isne sana ko ring gift ki?? PAR KYUUNN* tum aur sana bohot achhe dost ho na
Shravan: bohotttt achhee
*they are watching rings, and suddenly when shravan tries the ring it is stucked in his finger*
Shravan: are ye to nikal hi nahi rahi he
Sumo: tum bhi na shravan... Yaad he pushkar aur preeti ke sagai ke vakt bhi tumhare saath aisa hi hua tha *suddenly becomes sad*
Shravan: ye lo nikal gai...bhaiya iska ek bada size pack kar dijiye
* shopkeeper goes to pack it*
Sumo: shravan ek baat bolu plz gussa mat hona aur meri baat ko samajhne ki koshish karna... Me ye ring apni taraf se tumhe dena chaahti hu
Shravan: par sumo
Sumo: plz shravan... Ye meri ichha he...plz mana mat karna plz
Shravan: ok but this is last time I'm allowing you
Sumo: 😊

*sitting in car, sumo is still a bit sad*
Shravan: kya hua tumhe mene notice kiya ki jabse vo ring fass gai thi tabse tum thodi sad ho
Sumo: nahi vo actually
Shravan: mujhse share nahi karogi?
Sumo: vo pata he preeti ki sagai ke vakt aise hi situation thi aur tabhi se mene tumhe ignore karna start kiya tha... Yaad he mujhe kitne hurt the tum aur tumse zyada me
Shravan: i know sumo... Pata nahi ye sab humare bich hi kyu hona tha sumo: shayad hum dono ko aur karib laane ke liye
Shravan: you know sumo pata he mujhe ki aaj bhi tum uss dard se bahar nahi aa pai jo mene tumhe diya tha... Aaj bhi tum vo vali sumo nahi ban pai jisko mene kuchh din pehle jaise kho hi diya tha... Meri jhalli sumo... Me vo vali sumo ko bohot miss karta hu aur me tab tak koshish karta rahunga jab tak tumhe vapas vo vali sumo banane ki jisse mene dusro ki galatiyo ki wajah se kho  diya
Sumo: shravan
Shravan: i love you sumo
Sumo:*almost in tears*shravan i love you too!

(If you guys have noticed sumo has still not become our very own first episode vali sumo)

*after shopping their clothes for all functions except marriage they goes back to tiwari killa*

*in car*
Shravan: sumo yaar ye to cheating he... Tumne sari dress mujhse puchkar try ki or phir mujhe hi nahi dikhaya ki tum par vo dresses kaisi lag rahi thi?
Sumo: vo to tumhe function ke din hi dekhne milega
Shravan: sumo... Sumo
Sumo: me sunn rahi hu shravan
Shravan: me tumhare bina nahi reh sakta chahe vo london ho ya malhotra mansion... Me nahi rehna chaahta tumhare bina...kehne ko to bohot log he mere paas par tumhari kami har pal khalti he mujhe
Sumo: bas thode dino ki hi to baat he
*sumo plays radio and song plays,
Main jahaan rahu
Main kahi bhi rahoon
Teri yaad saath he

Kehne ko saath me apne
Ek duniya chalti hai
Par chhupke iss dil me tanhai  basti hai
Bas Teri yaad saath hai
*shravan looks at sumo as lyrics depicts their current situation and sumo puts her hand on his*

Miloo ki hai duriya phir bhi dilon ki nazdikiya hai
Daur sahi nahi par pyaar to adhura nahi hai
Hoo oo ooo
Kaise rahenge durr jo he tarse pyaar se
Mil jaane de dil jo hai bane ek duje ke vaaste!




Ek Duje Ke Vaaste: The ContinuationWhere stories live. Discover now