Aaj fir meine ek insaan mein insaan ko dekha h..
Mazhab mein na hindu na musalmaan dekha h..
Meine to aj bas insaan mein hi bhagwaan ko dekha h..
Diwali k diye bnaata ek musalmaan dekha h..
Uski karigiri ka daam lgaate ek hindu insaan dekha h..
Aaj fir se mazhab mein bantaa vo insaan dekha h..
Dharam k naam pe apne bhaiyon se door hota majboor inssaan dekha h..
Dono k shareer se behta ek rang ka khoon laal dekha h..
Dono k paas vahi yaadon ka samaan dekha h..
Bhaijaan aur bhaiya ka ek hi matlab nikalte dekha h..
Dharam k naam pe apne bhaiyon se door hota majboor insaan dekha h..
Nayi subha ki umeed lgaaye har insaan dekha h..
Meine Aaj fir meine ek insaan mein insaan ko dekha h..
Mazhab mein na hindu na musalmaan dekha h..
Meine to aj bas insaan mein hi bhagwaan ko dekha h...