Teri 'doli' uthi,
Meri 'mayyat' uthi,
Phool tujh par bhi barse,
Phool mujh par bhi barse,
*farq sirf itna sa tha*
Tu saj gayi,
Mujhe sajaya gaya.
Tu bhi ghar ko chali,
Main bhi ghar ko chala,
*farq sirf itna sa tha*
Tu uth kay gayi,
Mujhe uthaya gaya.
'Mehfil' wahan bhi thi,
'Log' yahan bhi thay,
*farq sirf itna sa tha*
Unka hasna wahan,
Inka rona yahan.
'Qazi' udhar bhi tha,
'Moulvi' idhar bhi tha,
Do bol tere perhe,
Do bol mere perhe,
Tera 'nikaah' perha,
Mera 'janaaza' perha.
*farq sirf itna sa tha*
Tujhe 'apnaya' gaya,
Mujhe 'dafnaaya' gaya