Bohuot thak chuki hoon ab sonah chahti hoon ...
Apni iss zindagi ko khona chahti hoon...
Aye mere Khuda bulale mujh ko apne pass
Main sirf tere pass rona chati hoon..
Kasoor uss ko kyu doon...
Ilzaam khud pe kyu loon...
Jitna pyaar...Jitni khushiya
uss ke saath kismat mein likhi thi
Utni hi mujhe mili hain
Tujhe chor ke jana meri khushi nahi hai..
Tera mera gum ek hai...
Lekin itna majboor kar diya tune mujhe
Ke aaj faisla kiya chor ke jane ka tujhe
Jaise main roti thi din raat tere liye
Aaj ussi tarah tu royega din raat mere liye
Yeh mat samajhna main bewafa nikli hoon
Yeh mat samajhna ke tujhse badla le rahi hoon...Tujhse door hona mera sab se bada gum hai...
Teri khushi ke liye tujhe chorna pada hai...
Yeh pyaar kabhi kabhi insaan se sab kuch cheen leti hai...
Aansoo aur ek toote dil k alawa kuch nahi rehta hai...
Aye mere Khuda bulale mujh ko apne pass
Main sirf tere pass rona chahti hoon...
आप पढ़ रहे हैं
AYE KHUDA
PoetryHUMEIN KISI SY KOI MATLAB KA YAARANA NAHI AYE KHUDA ~ JOH HUMSEY MOHABAT KAREY USSEY BHI AUR JOH NAFRAT KAREY USSEY BHI HUMESHA HUSH RAKHNA