"Ye kya kar rahi ho tum yaha baith ke?" Room ka door khula. Aur Maa ki aawaaj aayi.
"Maa, please... Thodi der akela chhod do." Maine bed se uth kar window ki taraf jaate hue kaha.
"Ye kya hai Shriya? Itne andhere me akele baith kar kuchh hone wala nahi hai."
"Maa, please. Fir se nahi"
"Kya? Fir se? Shriya tum us cheez fir se bich me la rahi ho... Mai nahi"
"To kya karu? Kya karu Maa?😢 6 mahine ho gaye use jaakar. Kal uska birthday hai. Aur mai usase mil bhi nahi sakti. Maa? Kyu? Kyu hua aisa?😭😭😭 " Maa ne mere shoulder pe haath rakha. Maine Maa ko gale lagaaya aur aankhon se aansu ruk hi nhi rhe the. Fir rote rote kab aankhe band ho gayi pata hi nhi chala. Achaank meri nind khuli. Table par rakhi Ghadi me dekha to 3 baje the. Par jab maine saamne dekha to koi waha khada tha. Maine awaaj di "Kaun hai waha? Who are you?"
"Shri"
"Ashu"😵😳😳😳😢
"Ruk, paas mat aa"
"Kyu? Mujhe pata tha. Mujhe pata tha ki tu kahi nahi gayi hai."
"Shri, jo tu soch rahi thi, waisa hi hua tha"
"Kya? Kis baare me baat kar rahi hai tu?"
"Bye Shri TC"
"Ruk Ashu, mat ja please. Mat ja. Ashu.... Ashu.... Ashu.... Aaaashuuu"
"Kya hua? Kya hua Shriya?" Aankhe khuli tab Maa saamne thi aur mai bed par
"Maaa... Maa😢😢. "
"Kya hua? Ahsu ko kyu bula rhi thi tu?"
"Maa wo aayi thi. Usne mujhe awaaj di. Thik yahi yahi bed ke saamne khadi thi wo. Thik 3 baje the. Tab wo aayi thi. "
"Kya? 3 baje? Par Shriya. Abhi to sirf 2 baje hai. " Maine ghadi ki taraf dekha. 2 baj rahe the.
"Shriya, shaayad tune sapna dekha tha. Tu kyu itna soch rahi hai uske baare me?"
"Maa? Aap kaisi baat kar rahi ho. Wo bachpan ki dost hai meri. "
"Hai nahi... Thi"
"Maa... Please"
"Kya please Shriya? Wo ja chuki hai. Ab nahi aayegi wo. Kyu tu samjh nahi rahi hai? Please beta, apne aap ko sambhaalo. Mujhe pata hai wo tumhare bohot jyada kareeb thi. Par kisi ke jaane se zindagi rukti to nahi hai na."
"Par wo Maa, wo aayi thi. Usne mujhse baat bhi ki. Usane mujhse kaha ki mai jo soch rahi thi wo sach tha. Par wo kaunsi baat ke baare me baat kar rahi thi? Kaash... Aur 2 minute wo ruk jaati. Kaash... Mai ek ek kaam karti hu mai abhi uske ghar par jaati hu. Aur usase jaakar milti hu. "(Mai bed se uthi. Aur scooty ki chaavi lene drawer khola. Tabhi mujhe drawer me ring dikhi. Ashu ki Ring! Wo Ring dekhte hi fir ek baar mere pairo tale jamin khisak gayi. Aur 6 mahine pehle jo hua tha wo baari baari mere aankho ke saamne aane laga. Aankhon se achaank aansu nikalne lage. Maine palat kar Maa ki taraf dekha, Maa ne apna haath aage badhaaya aur mai bhaag kar Maa ko gale laga liya. Mere aansu ruk hi nahi rahe the. )
Maa:. Shriya, tu kyu nahi samjh rahi. Ashu nahi rahi ab hamaare bich. Tu kyu nahi samjh rahi hai? Nahi aaegi ab wo. Tujhe pata hai na 6 mahine pehle police vaalo ne hame call karke kaha tha ki Ashu ke building ke compound me uski body mili hai. Use jyada unchaai ka phobia tha. Aur uske haantho me uske ghar ke curtains ka tukda bhi mila tha. Uska 6 mahine pehle hi accident ho gaya hai Shriya....
Me:. Accident? Nahi Maa wo accident nahi tha. Use phobia tha to wo itne unche height ke hote hue window par kyu chadhegi? Aur Maa, sabse badi baat. Uski diary, uski diary nahi thi uske room me. Jab ki wo uski daily diary thi. Maa mai tab bhi yahi keh rahi thi aur ab bhi yahi keh rahi hu wo accident nahi tha. (Tabhi mere dimaag ek baat aayi) Ruko Maa. Abhi jo maine sapna dekha, usme Ashu ne mujhse kaha ki "JO TU SOCH RAHI THI, WAISA HI HUA THA" iska matlab mai jo soch rahi thi ki uska accident nahi hua tha wo sahi tha.
Maa:. Shriya... Paagl ho gayi ho tum? Wo sirf tumhara wehem tha. Tum Ashu ke baare me jyada soch rahi ho isi liye tumhe wo sapna aya tha. That's it!
Me:. Par Maa 6 mahine me ek baar bhi mujhe uska aisa sapna nahi aya. Toh phir aaj hi kyu? Kyu ki aaj uska birthday hai. Maa, mujhe pata hai ye sab sunane me weird lag raha hai. Par mujhe pakka yakin hai ki ye mehej ittefaq nahi hai. Kuchh to hua tha Ashu ke saath, aur mai wo pata lagaake rahungi.
Maa:. Kaise? Police ko bataaogi to wo tunhaare is sapne par believe karenge?
Ladke ki voice:. Par mai karta hu Aunty...
(Maine palat kar dekha to saamne Shreyas khada tha. Shreyas! Meri lifeline. Mera Pyaar... Mai uthkar Shreyas ke paas gayi aur use gale se lagaaya.)
Shreyas:. Shri... Kitana roegi yaar. Bas na. Mai hu na. Tu mat ro na. Dekh itne jor se gale mat laga Aunty baithi hai saamne.
(Mere dhyan me aaya ki Mummy bhi hai room me. Waise Mummy ko Shreyas ke baare me pata tha. Par fir bhi weird to lagta hai. )
Maa:. Beta? Tum itni raat ko yaha?
Shreyas:. Are Aunty, aap bhul gayi? Aaj Ashu ka birthday hai.
Me:. Haan. Par....
Shreyas:. Par kya? Madam ji wo agar yaha hoti na to tumhara aisa chehra dekh kar dar hi jaati.
Me:. 😳😶
Shreyas:. Actually, mai 12 baje hi aane wala tha. Par Mom Dad Delhi jaane waale the, so mujhe unhe see off karne jaana pada. But now here I am... (Shreyas ne ek box bed par rakha. )
Me:. Ye kya hai?
Shreyas:. Kya hai matlab? Birthday par jo laana chaahiye wo hai.
Me:. Cake?😳
Shreyas:. Haan...
Me:. Par Shreyas...
Shreyas:. Shri, Ashu jitni tumhaare liye important thi utni mere liye bhi thi. Maana ki wo ab hamaare saath nahi hai par iska matlab ye nahi ki wo chali gayi hai. Wo hamaare dil me hai aur hamesha rahegi. And now please ye rona dhona band karo cake kaato...
Me:. Mai?
Shreyas:. To? Mai kaatu? Tum uski best friend thi ya mai?
Me:. Hmm...
(Shreyas ko pata tha ki us din mujhe sabse jyada Ashu ki jarurat thi. Par Shreyas ne Ashu ko phir se maano jinda kar diya tha. Hamaare dilo me. Aur wo raat mai kabhi bhi bhul nahi sakti 2 reasons ke wajah se. 1st, Shreyas ke saath ke wajah se. 2nd, Ashu ne mujhe hint di thi. Aur wo hint mujhe pakka wala yakin de gayi thi ki Ashu ke saath kuchh to hua tha. Aur wo mujhe pata lagaana hoga. )
आप पढ़ रहे हैं
Ashlesha
Художественная прозаStory of 2 girls and a boy.... This is a Hindi story....