#4.

78 12 1
                                    

Is sulagti garmi mein
Thandi hawa ka jhonka
Lagta hai tumhara pyaar,

Is thandi ke mausam mein
Garm kambal ke jaisa
Lagta hai tumhara pyaar,

Is baarish ke mausam mein Paani ki boond
Lagta hai tumhara pyaar,

Meri manzil ko paane ka
Sabse aasan safar
Lagta hai tumhara pyaar,

Kisi ajnabee shahar mein
Ghar ka ehsaas
Lagta hai tumhara pyaar,

Mere akele pan mein
Kisi kareebi dost ka saath
Lagta hai tumhara pyaar,

Zindagi ke safar mein
Jeene ka sahara
Lagta hai tumhara pyaar...

*************************

If you like my work, then please vote
&
give your reviews in comments....

Thanks for reading..

 ❤ Mohobbat ❤जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें