Sapne...

238 5 5
                                    

Kitne ajib hote hai na ye “Sapne”???

Kuch thode paraye, kuch  apne…

Koi jane-pehchane, koi bilkul anjane,

Sab ke sathi, koi mane ya na mane…

Inke Jahan mein Khusi har kisi ki diwani hoti hai,

Na Mayusi ka mausam hota,na gum ki koi kahani hoti hai,

Har kisi ko apne liye kuch naya sa milta,

Dil ke aangan mein har roz ek naya phool khilta…

Masoomiyat aur pyar ki syahi se ye likhe jate hai,

Muskurate hue, bandh aur khuli aankho se ye dekhe jate hai…

Jaha ummido ki diwar se bane suhane ghar hai,

Aur Samundar mein rehti hasi ki ek lehar hai…

Rab ki rahemiyat aur kadi mehnat se inhe manzil hai milti,

Bada aacha lagta hai, jab Sukoon ki wo dhup hai khilti …

Kash ek din aisa aaye, ki sab ke sapne sach ho jaye,

Ye bhi to ek sapna hi hai, Shayad yahi sach ho jaye…

🎉 आपने Sapne... को पढ़ लिया है 🎉
Sapne...जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें