INTEZAAR

132 3 2
                                    

Tere intezaar mein main bevafa sa baitha,

Ki teri yaadein meri palkon ke saamne se iss tarah guzri,

Ki laga, aye khuda, agar ye na hoti, toh mera kya hota.

Main iss tarah teri tanhayi mein khoya,

Kyun main teri yaadon mein roya,

Fir maine sirf itna pucha, aye khuda, agar ye na hoti, toh mera kya hota.

Iski voh chhoti chhoti baatein, jo mere dil mein reh jaati hain,

Voh saare nakhre, jo mujhe roz satati hain,

Uski voh aavaz, jisse sunne ke liye main bekaraar rehta hu,

Aur uski voh aankhein, jismein main bas yuhi, kho jaata hu.

Bas kabhi kabhi fir main ye sochta hu, aye khuda, agar ye na hoti, toh mera kya hota.

Uska chhoti chhoti baaton pe darna,

Har mod pe yu jhagadna,

Bas yehi mere dil mein reh jaata hai,

Uska pyaar, bas issi tarah mere dil ko yu behlata hai.

Par fir mere dil mein yeh khayal aata hai, aye khuda, agar ye na hoti, toh mera kya hota.

Maine kabhi socha na tha, hum iss kadar ek dusre se milenge,

Aur fir ek dusre ke saath har pal rehne ke vaade bunenge.

Na jaane humare raaste mein kitni rukavatein aayengi,

Bas tera saath hai, jisse voh khushi khushi tal jaayengi.

Vaada karta hu tumse, aane na dunga koi pareshani,

Kyunki bas tu hi hai ek, mere pyaar ki sachhi nishani.

आप प्रकाशित भागों के अंत तक पहुँच चुके हैं।

⏰ पिछला अद्यतन: Jul 30, 2014 ⏰

नए भागों की सूचना पाने के लिए इस कहानी को अपनी लाइब्रेरी में जोड़ें!

INTEZAARजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें