part : 2.4 The death of sanyasi

1.1K 118 78
                                    

Part : 2.4 The Death Of Sanyasi


Thanks guys for your support. Seriously socha nhi tha ki mere man ke random thoughts aapko itne pasand aayenge 😊
Thanks once again and enjoy your story

Recap :
Munna : mai sirf itna batane aaya hoo ki.....Jab tu apni zindagi me practical hoke aage bhad rahi thi na to me aur pandit lage the pagalo ki tarh ek kaam me.
Tu bhale hi hmare dost ko chod de aur life me aage badh jaye par mere aur pandit ke lie samay ab bi whi hai.
Kyunki hm ehsaan faramosh nhi hai.

Naina : kya kehna chahta hai munna saaf saaf bata.
Munna : sameer ka pata chal gaya hai.
Naina : KYA......kha hai wo ?
Munna( with heavy voice) : khud aakar dekh liyo.........

With that munna tells naina the address of a government hospital, where she can find sameer...

Munna : tere waha aane ki mujhe wse ummind to nhi hai. Kyunki tu ab wo simple naina kha rahi, tu to ab naina the businesswoman ban chuki hai.
Mai aur pandit bi tujhe whi milenge aana ho to aa jaio....

After that munna left the place...

Sharad : tum usse kyu milna chahti ho.
Naina : me usse milkar ye(papers of his property) sb wapis karna chahti hoo, kyunki ye sb uska hai. Aur maafi bi mangna chahti hoo.
Sharad : par agar usne tumhe maaf nhi kiya to kya tum ye shadi tod dogi.
Naina : nahi sharad ji sameer mujhe maaf kare ya na kare isse koi fark nhi padta par me ye shadi kabhi nhi todungi.....

Narrator : Sharad gaadi start karta hai. Aur nikal padta hai us safar par jo naina ke lie bhut kathin hone wala tha. Saal bhar ke baad wo usse milne wali thi. Par milne se jyada ghabrahat use is baat ki thi, ki wo sameer se nazre kaise mila payegi. Kyunki sameer ka pyar sacha tha usne apna har ek wada nibhaya tha, pyar ki har ek kasauti par khara utra tha wo, par naina ke lie aisa keh pana mushkil tha.......

Location : government hospital, jamnagar

Us government hospital ko dekh ke to mano naina ko saanp sung gya, tarh tarh ke daravane khayal uske man me aa rhe the, kya hua hoga aisa sameer ke sath ki wo yha hai, kaisa hoga uska haal
Aur in sabse uppar, kahi sameer tak pahuchne me jyada der to nhi ho gyi.

Naina us hospital me jane hi wali hoti hai ki use munna aur pandit nazar aate hai.

Munna : hospital me nhi uske samne dekh.

Naina ki nazar hospital ke samne road ke us par bane ek dhabe pe padti hai.
Aur wo mano chain ki saans leti hai.
Sabhi log dhabe ki tarf badhte hai. Aur sabse aage hoti hai naina.
Kab uske kadam tezi se us dhabe ki tarf bhadte hai use pata hi nhi chalta.
Wo bhagte hue us purane se dhabe me ghus jati hai aur har tarf sameer ki talash karti hai. Aur use whi din yaad aata hai jab sameer sanyas ke lie nikla tha aur wo use rok nahi payi thi....

Lekin is bar bi use sameer nhi milta. Dil ka bar bar tutna kya hota hai. ye us samay naina se behtar koi nhi bata sakta tha. Wo aansu bhari aankho se munna pandit ki aur dekhti hai.

Munna pandit bi sameer ko har tarf dhundte hai. Tabhi unki nazar dhabe ke side me lage ek tree par padhti hai. Aur unki nazare wahi tham jati hai.

Naina jiske aansu rukne ka naam nahi le rahe the wo bi us aur dekhti hai.
Aur jaise hi uski nazar us tarf padhti hai.
Mano sb kuch tham jata hai.

Kyunki unki aankho ke samne jo nazara tha jo kisi daravane sapne se kam nhi tha.

Us aur tha ek ladka. Aur wo koi aur nhi balki sameer tha. Pehle kuch seconds me to use pehchan pana bi mushkil tha.

samaina : os series जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें