SAFAR
Dard se fiker tk
BAB NO: 01.
ANSOO
Dil abhi bhi anjan hai kisi gum se
Ankh abhi bhi num hai kis dard se
Who jo roh ki vairaniyaan hain
Aj phir buhaan rhi hain ansoo kisi krb se
Bar bar ek hi dua mangne se qubool nhi hojati
Phir bhi apno ka sath hi hota hai apno se badh ke
Aj yeh dil phir se roya hai
Ansoo phir buhay hain apno ke dard se
(By Aseaa Malik)
Woh samundur ke kinare nange paoon chalti ja rhi thi beach ki thandi thandi rait upper se sardi ka mosam wuhaan hr trf samundur ki lehroon ka shor tha mugur us se kyi guna zyada shor us ke dimag ke undur chul rha tha jis kadar us beach pr subha ke is peher vairani thi us se kyi zyada vairani us ke dil me thi jis turha samundur ka pani buhay ja rha tha usi turha us ki ankh se bhi pani buhay ja rha tha. Subha ki woh kirnain use apna dard hulka krne main mudud dain gyi. Samundur ki who lehrain uski siskiyoon ko jaise apne under jzb kr gyi. Do ghunte bad woh kafi behter thi is liye asmaan o zameen ko shukriya keh kr who wapis lot gyi.
.................................................
Woh sub ke uthne se pehle hi "ASIM KHAN VILLA" pohunch chuki thi.
"ASIM KHAN VILLA" Karachi ke ameer tareen villas main se aik tha. Yeh sahil e samundur ke takreebun 5 min. ki musafat pe tha. Is liye family members ko picnics shiknik ki to koi fiker hi na thi jb dil chahta sb mil kr sahil ka rukh kr lete. Is turha woh ek khoosh baash family thi.
Asim sahib jo ghar ke bure the kb ke is duniya se chal base the. Un ki zoja mohturma urf sumina begum is waqt ghar ki sb se badi or gusse ki bhi sb se taiz theen. Khas tor pr jb se Asim khan is duniya se gye tb se le k raj tk un ka B.P koi nhi normal kr paya khud un ki ulaad bhi nhi. Asim khan or sumina begum ki 1 beti or 2 bete thay. Sab se bura beta wasim khan ki umer 25 sal thi jb un ke walid chul base isi wujha se kisi umer main sb ki nazroon me jolly or lufunter hone ke bawjood is hadse ke bad life main first or un ke mutabiq last time roye the or phir to jaise un ki hussi waqt ki muhtat hogyi kabhi hojaye to muskura diye verna to gusa un ki nak pr hi hota hai mgr apni maa ke samne zyada tr khamosh rehne main hi voh sb ka bhula sumjhte the. 23 sal ki umer main hi un ke walid ke samne un ki shadi kra di gyi. Un ki shadi poray khandan ki akloti husn pari taranum urf tara begum se hoi.Tara begum ke sath ibtutayi zindagi to bohut achi rhi mgr jb un ke valid ka intuqaal hoa to wasim sahib tara begum se apne gusse ki wuja se door hote gye lekin un main humaisha is kdr understanding thi ke kubhi mamla alehdugi tuk na pohuncha. Wasim khan or tara begum ke do hi bete the. Arqam khan,
Wasim sahib ke bure sahabzade jo un ki shadi ke taqribun 2 sal bad hoye apne sath khobsurti or jolly pun to jaise virasat me laye the aisa hi kuch hal chote sahibzade mtbl Osaim ka tha jo tha to bure bhai se aik sal chotta mgr shurartoon mein who apne bhai se das qadam age tha. Wasim sahib se chote sahabzade yani Asim khan ke dosre bete Muneeb khan urf munne bhai the jo wasim khan se 4 sal chotte the,shuru se hi serious kisum ki tabiut ke malik the. Nain o nakoosh main woh Asim khan se mushahbat rukte the bholi soorut or mugroor personality un ko char chand lgane ke liye kafi thi. Un ki shadi 22 sal ki umer main bhai ki pasand se Rania urf rani ,jo Wasim khan ke dost ki behum thi un se hoi. Rani or muneeb khan ke do bete or aik beti thi. Bura beta Rahim khan sanoli rangat, atteractive nain o nakash or upper se upne moody mood ki wujah s pure khandan main jana jata tha. Aqram se chota hone ke bawujood us ki shadi ghar main sb se pehle hoi thi. Us ki shadi Rani ke bhai ki beti Naina se hoi thi. Muneeb ki beti Sana, jo ke bure bhai ki judwa thi doctor thi or private hospital chla rhi thi. Un donoon se 3 sal chota, nutkhut Hunain jo ke pure khandan ka sharer,handsome,dashing and jolly personality ka malik tha or hr khala, pupho ki nazar main tha ,8 sal se London me muqeed tha. Woh wuhaan kbhi khala ke ghar reh leta to kbhi hostel. Us ke non serious attitude ki badolat 8 sal pehle hi apni studies ke liye Muneeb ke faisle pe London chla gya tha. Asim khan ki akhri ulad yani ke Ruqaiya begum us royi aik dum choyi moyi sit hi. Un ki shadi tara begum ke chote bhai shoaib se hoi thi. Un ki aik beti or aik hi beta tha jo ke twins the. Nadia or Humza moody the mgr pore khandan ke laduloon main ate the. Wasim sahib ki humaisha se aik beti ki khuwayish rhi thi jo ke soniya urf soni ke roop main puri hoi. Soniya Rohail shah ki family se belong krti thi rohail shah apne ghar ki akloti ulad thi. Naz nukhroon se pala gya who bucha kisi shehzade se kum na tha. Confidence main koi unhain hurra nhi sakta tha. Khoobsurut who is qudur the ke aik mrtba dekhne wala dobara unhe zaroor dekhta. Woh Wasim sahib ke buchpun ke dost the. Rohail sahib ki shadi ke 5 sal bad Allah ne un lo aik puri se nuwaza jis ka naam Soniya rukha gya tha. Soniya abhi 3 sal ki hi thi jb Rohail sahib ke ghar or khooshiyoon ko ag ne lupait liya. Us ag main sb jal gye bs who masoom jan jis ko maid bahir begum sahiba ke kehne pr le ke gyi thi. In sb ke bad us ke khandan ka nam o nishaan mit gya mgr us ko kya khubbur sach main bekhubri kabhi kabhi sukoonbaksh sabti hojati hai. Wasim khan ne us nunhi puri ko apne dost ki nishani ki haiseyut se apni god le liya jis ki budolat un ko aik beti un ke betoon ko un ki behun mil gyi mugur Tara begum apni ulaad ki muhubat kisi ke sath share na kr ski us nanhi jan ke sath bhi nhi. Woh humaisha sirf apne bachoon ki hi bs maa bn sakeen or un ke sath sath kuch or members ko bhi soni humaisha khutki jbke woh masoom puri jis ne khoobsurti or confidence apni virasat main liya tha humaisha pyaar ke sath sath nafrat jhailti rhi zaroori nhi jo ansoo ho who bs khooshi ke hoon who to gum ke bhi hote hain jo ke us ki kismet ke dar dar pr likhe the . Waqt guzarta gya ghari chalti rhi, yahaan tak ke 22 sal us ki zindagi ke guzur gaye aj bhi who rone ke liye sahil e samundur ko apna sathi pati thi. Or kisi ke jane bugair wapis lot ayi. Aj bhi woh apni mazi ki talakh yadoon se bekhubur thi shayad yhi wujah thi ke who Tara begum, jinko apni maa samajhti thi us ke ukhur se behavior ki wujah na sumujh ski. Wasim sahib ne bhi ghar waloon ko sakhti se muna kr diya ke yeh sachai koi usko na btaye. Aj tk who is dard ko sab ke samne khamooshi se sehti mgr tunhayi me ansoo is ke akhteyar me na rehte.
YOU ARE READING
Safar by Aseaa malik
RandomIt is a story about a girl who faces difficulties in her past and have to face difficulties in future she had lost many relations and he had to get many relations he had to face life he had to finish her enemies so read Safar by Aseaa malik