Safar ep 5 to 8

183 0 0
                                    

BAB NO: 5

AIK NYA AAGAZ

3 YEARS LATER

ISLAMABAD,PAKISTAN

THE FOUNDATION UNIVERSITY,PAKISTAN

Usne parking me car park krke university ki janib kadam burhaye. Hr dekhne wala aik mrtaba plt kr zaroor dekhta hr ankh mai us ke liye rashq tha hota bhi kyoon na aj bhi us ki ankhoon me pehle jaisa hi aitmad tha, chal mai whi ik naz tha, andaz me benyazi thi koyi bhi keh nhi skta tha ke us pr aj se teen sal qabl kya qayamat guzri thi wo aisi hi to thi dil me raz chupa liya krti thi or kisi ko khabar bhi na hoti thi.

"soniya!" apne nam ki pukar pr wo muri or aik halki si muskurahat uske chehre pr ayi

"aj sooraj kuhaan se nikl aya hai?" wo shurarat se boli jbke samne khuri larki ne nasmjhi se uski taraf dekha

"arfa batool ...pehli bar university jaldi a gyi" jbke samne khuri arfa ne bura sa moo bna kr use kandhe pr aik thapar raseed kiya jis pe soni bulbula uthi

"aaaaaaa..... aj main hi nhi daikh lena teachers bhi yhin kuhain gay"

"ab aisi bhi koi bat nhi main bhi to jaldi a skti hoon tumne to tofan hi khura krdiya hai"

"are tum donoon ka hogya ho to jldi kro verna miss shubnum ne humare liye bht bura tofan khura krna hai we have 5 min. run!" sadia jo k unki baton se muza utha rhi thi watch dekh kr bokhla gyi or teenoon ne under ki taraf dor lga di.

.......................................

UNKNOWN PLACE

Wo hospital k us private room me patient k pas chair rakhe betha hoa tha ye aj ki bat nhi thi wo to hr weak aik mrtaba zror us se milne aya krta tha or ghuntoon us se batain krke uth jaya krta tha aj bhi wo betha bol rha tha mgr us wajood me koyi harakat na hoyi

"tumhe pta hai I missed u a lot main taras gya hoon tumhari awaz sunne ko u cant be silent for a while so now why r u not talking yad hai me tumhari minatain krta tha k chup hojao but u don't hear me and say that which day u r silent I will feel all the world silent u r right aj sach much mera vesa hi hal hai like u says why r u so stubborn u don't hear my orders before and not now why" wo ro nhi rha tha mgr ankhain had se zyada lal theen

"main akela hoon or apni hi wajah se hoon na tum mere sath ho na wo main kya kroon" wo bebasi ki inteha pr tha is se pehle wo kuch or bolta phone ki ringtone ki wajah se uth gya or akhri nzr us pr dal kr bahir nikal gya ye dekhe bugair uske zikr se us wajood me halki si zindagi ki ramuq peda hoyi hai

.......................................

KARACHI,PAKISTAN

"main ab apne bete ki zindagi barbad nhi hone doon gi smjh le teen sal teen sal se wo pagal hoye betha hai mgr ap bap bete pr aisa us churail ka asar hoa hai k aj tk ap age na burh ske kya pta khin mar khup gyi ho or ap hain k uske liye apne sagge betoon ko framosh kr rhe hain or to or wo donoon bhi us churail k liye pagal hoye ja rhe hain" ye aj ki bat na thi yeh to hr dosre din tara begum ka mamol tha k soni ko bura bhula keh kr apne dil ko thunduk deti mgr wasim sahib hamesha tahamul ka muzahira krte or tara begum ko smjhane ki koshish krte jo k khas karigr sabit na hoti

"tara begum wo meri beti or unki behen hai wo unhain bht pyari hai apko kitni mrtaba smjhaoon k arqam ki shadi na hone ki qasoorwar soni nhi khud arqam hai or galti uski bhi nhi wo upni behen k bugair shadi krne ko razi na hai or meri soni zinda hai ap logoon ne jeete ji ankhoon k samne usko mar diya to uske dor hone pr main apse koyi umeed lga bhi nhi sakta" na chahte hoye bhi wasim sahib akhir me talakh hogye or tara begum ne khamosh rehne me hi aafiyat jani.

Safar by Aseaa malikWhere stories live. Discover now