The character-Nandini

949 66 32
                                    

Sapno Hazaro liye, gayi woh Mumbai.
Scientist Bana chaha, Apne papa ki tarah

Kismat ne bhi khel Khela,
Woh SPACE me to gayi,
Par Sangeet ke.

Monster Manik kehte kehte,
Usko usne Badal diya
Ab pyara lagne Laga woh
Jisne usko Sataya!

Dosti me bhi kabhi piche nahi hati,
Pehle din se sath thi.

Chahe Shahid Ko suicide karne se bachana ho,
Ya Navya Ko college se nikalne se.

Fab5 Ko dost mana,
Chahe use kitna bhi unhone sunaya.

Aryaman Mila, to pyar kya hota hai
Woh bhi usne use sikhaya

Firse kismat ne Khel khela,
Uske pyar Ko dur kar diya...
Sab man Gaye woh kabhi na ayega,
Par uska Dil alag hi raste par tha.

Sach hui, Dil ki woh baat,
Laut ke jab Manik aya.
Kasam khayi dono ne, ab kuch bhi
Ho jaye, juda nahi hona!

Char saal fir yunhi bite,
Innocent se bold ban gayi.

Kurti jeans se ab woh madam
Skirt tops pehen ne lagi!

Sath chaha humesha ke liye usne
Pyar ne sath diya.

Par shaadi ki jab bat ayi
Usne dar ke mana Kiya.
Tuti nahi Abhi bhi woh,
Sach ki jad tak pahuchi.

Samajh liya usne bhi aakhir,
Duniya ke liye Kyun kuch karna,
Pyar hai, Vishwas hai,
To Kyun is rishte Ko ek nam Dena.

Nandini aur Manik ke liye, aj bhi
Fireflies glow karte, par ab samajh chuki hai woh
Ki ye Sab kahaniyon ke hai panne.

___

All of you wanted me to write something on Nandini as well.

So I tried.

Let me know if you like it in the comment section.

Manik And Nandini ☑️Where stories live. Discover now