Bismillah hir Rehmanir Raheem
• Zulaikha Ka Faraib aur Yusuf (Alaihay Salam) Ko Qaid :
*Ek Din Jab Aziz Mishr Ghar Par Nahi Tha. Tab Zulekha Ki Hawas Jaag Gayee Aur Usne Yusuf (Alaihay Salam) Ko Apni Taraf Wargalaana Chaaha. Uss Ne Darwaaze Band Kar Diye Aur Kahene Lagi Jaldi Se Aa Jaawo. Yusuf (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Allah Ta’ala Ki Panaah, Mere Rab Ne Mujhe Bahut Achchi Manzilat Bakhshi Hai, Zaalim Log Yaqinan Falaah Nahi Paate”. Ab Zulekha Unn Se Zabardasti Kar Ne Par Utar Aayee.
*Woh Unko Pakadne Ke Liye Unki Taraf Doudi. Yusuf (Alaihay Salam) Uss Se Bachne Ke Liye Darwaaze Ki Taraf Bhaage. Zulekha Ne Unki Kameez Piche Se Pakad Kar Apni Taraf Khicna Chaaha Toh Kameez Piche Se Fat Gayee. Jaise Hi Yusuf (Alaihay Salam) Ne Darwaaza Khola, Saamne Aziz Mishr Khada Tha. Usi Waqt Zulekha Ne Chaal Chali Aur Aziz Mishr Se Kahaa, “Jo Tere Ghar Ki Izzat Pe Haath Daale Usey Kya Sazaa Milni Chaahiye? Aur Fir Khud Hi Sazaa Bhi Suna Di Ki Isko Jel Me Daal Dena Chaahiye…”
Yusuf (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Maine Koi Bhi Galat Kaam Nahi Kiya Hai, Ye Hi Mujhe Wargalaana Chaahati Thi”.
*Ab Dono Me Se Gunaahgaar Koun Hai Ye Kaise Sabit Hoga, Iss Par Kisi Ne Kahaa (Eik Riwaayat Me Hai Ki Eik Doodh Pite Bachche Ne Gawaahi Di) Agar Kameez Saamne Se Fati Huyee Ho Toh Yusuf (Alaihay Salam) Gunehgaar Aur Agar Kameez Piche Se Fati Huyee Ho Toh Zulekha Gunehgaar. Isiliye Jab Aziz Mishr Ne Dekha To Kameez Piche Se Fati Huyee Thi. Woh Zulekha Ka Triya-Charitra Samjh Gayaa Lekin Uske Apni Izzat Ka Bhi Sawaal Tha. Isiliye Uss Ne Yusuf (Alaihay Salam) Ko Hi Jel Ki Sazaa Sunaayee .
*Idhar Ye Baat Saare Mishr Ki Aurato Me Fail Gayee Ki Aziz Mishr Ki Biwi Ek Gulaam Ke Ishq Me Giraftaar Ho Gayee. Is Tarhaa Ki Baate Toh Aurato Me Khaas Tour Pe Unchi Socaiti (Tabke) Se Taalluk Rakhne Wali Aurato Me Khoob Failti Hai. Fir Isme Mirch-Masala Bhi Shaamil Ho Jaata Hai. Unhone Zulekha Ko Taane Dena Shuru Kiya. Iss Ko Agar Ishq Karna Tha To Iss Ke Liye Ise Apna Gulaam Hi Mila!. Aur Agar Gulaam Par Dil Aa Bhi Gayaa Toh Usko Apni Taraf Ma’ayel Bhi Na Kar Saki!.
» Zamaal-e-Yusuf (Alaihay Salam) Ko Dekhkar Aurto Ne Apne Haath Kaate :
Zulekha Ne Jab Mishr Ki Aurato Ke Ye Taane Sune Toh Unn Logo Ka Muhh Band Karne Ke Liye Usne Ek Tarkeeb Sochi.
Uss Ne Tamaam Mishar Ki Aurato Ke Liye Ek Daawat Ki Mahefil Ka Intezaam Kiya. Aur Sab Ke Saamne Fal ( Fruite ) Aur Chaaku (Knife) Rakh Diya. Aur Unn Aurato Se Kahaa Jab Yusuf (Alaihay Salam) Saamne Se Guzre Toh Tum Ye Fal Kaat Lena. Aur Yusuf (Alaihay Salam) Ko Unke Saamne Se Guzarne Ka Huqm Diya.
*Yusuf (Alaihay Salam) Jaise Hi Unke Saamne Se Nichi Nigaah Kiye Guzre. Waise Hi Zulekha Ne Un Aurto Ko Fal Kaatne Ke Liye Kahaa. Unn Aurato Ne Zamaal-e-Yusuf (Alaihay Salam) Dekha Toh Apne Hosh Kho Baithi Aur Fal Ki Jagah Apne Apne Haath Kaat Baithi Aur Bade Hairat Se Kahaa, “Ye Insaan Nahi Ho Sakta Ye To Koi Farishta Hai”
Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)
आप पढ़ रहे हैं
The story of Hazrat Yusuf Alihi salaam
Historical FictionASSLAMUALIKUM brother sister .Hazrat Yusuf Alhi slaam ki story Quran sareef sabse khoobsurat story maani jaati hai .Hazrat Yusuf (pbuh) ki zindagi ka har pehlu hme kuch na kuch sikhaata hai .