ABIR, KUNAL THIK KEH RAHA HAI. TUM MISHTI KO BHUL JAO..
Both abir and kunal turned and saw nanu on the door saying those lines.
Abir was so shocked after hearing those words.. that too from nanu. nanu knows how much he love Mishti.
Abir: Nanu ye aap kya keh rahe hai? aap to sabkuch jaante hai phir bhi?
Nanu: Sab kuch janta hu isliye bol raha hu abir, bhul ja mishti ko..
Par nanu..nanu stopped him in middle..
Abir tu is ghar ka bada beta hai, nanko ka bada bhai..aur bado ko to kaam hi hota hai hamesha choto ke baare me sochna..hai na kunal? Nanu asked looking at Kunal. Abir was shocked.
aur isme konsi nayi baat hai? tune pehele bhi to kunal ke liye Mishti ko bhulne ka faisla kiya tha na, to ab kyu nahi? Nanu asked Abir directly, Abir understood where this all is heading.
Nanuuu. please wo sab nahi..please nanu..Abir requested Nanu not to reveal any further information.
Nahi Abir, aaj me nahi rukunga. Nanu was firm.
Ye sab aap kya bol rahe hai nanu? Kunal asked all confused.
Kunal tu chahta hai na Abir tujhme aur mishti me se kisi ek ko chune. Abir ke liye ye koi nayi baat nahi hai. usne pehele bhi tujhe hi chuna tha. Kunal Tu janta hai Abir mishti se tab se pyar karta hai jabse tera aur uska goddhana hone wala tha...
Shocked could be an understatement for kunal . His bhai was in love with the girl he was supposed to be engaged. this was the least he could have imagined. He looked at Abir who was standing there quitely lowering his head not wanting to face his nanko.
Bhai...Kunal just managed to say this.
Ha kunal, lekin tab abir ka pyar ek tarfa tha. Mishti usse pyar nahi karti thi. arey wo to puri taraha tumhare sath courtship me involve thi.use to pata bhi nahi tha abir uske baare me kya sochta hai. Lekin pyar kisise chhupta nahi hai. Mene abir ke ankho me wo pyar padh liya tha aur me chahta tha ke abir tumse iss pe baat kare..lekin kya kare bada bhai hai na..uska kaam hi tha khud ki khushi se pehele teri khushi sochna. usne wohi kiya. usne tere liye apne pyar ko bhulna sahi samjha kyonki wo tujhe khush dekhna chahta tha. Arey Abir to chala gaya tha goddhane wale din. wo tere aur mishti ke beech me nahi aana chahta tha. usne uss din apne pyar aur apne bhai me se apne bhai ko chuna tha..lekin kismat ko kuch aur hi manzoor tha..mene abir ko wapas bulaya kyunki Mishti iss rishtey se khush nahi thi. Arey tera aur uska rishta hi galat tha. Meenu ke wajah se us galat rishtey ki shuruat hui thi. Rishta agar kisi ka sahi tha to wo tha Abir aur Mishti ka kyuki wo dono ek dusre ke liye perfect hai.
Kunal abir ne hamesha tumhare baare me pehele socha hai. khud ke baaare me to usne kabhi socha hi nahi. wo sabko khush dekhna chahta hai, use sabki khushiyo ka khayal hai..lekin uski khushiyo ka khayal iss ghar me kisiko nahi.
Abir ke jindagi me Mishti wo khushiya leke aayi hai lekin hamesha ki tarah abir ki kushi Mishti yaha pe kisiko pasand nahi. uska apna bhai dekh nahi pa raha ke abir kitna khush rehta hai jab wo Mishti ke sath rehta hai. Mishti wo ladki hai jisne banjara abir ko ghar pe rehne ki wajah di hai.
Jis ladki ko tum apne bhai se dur karna chahte ho na usi ladki ne tumhari bhai ki jaan bachayi thi kunal. wo tab abir ke sath thi jab hum me se koi uske sath nahi tha. ye baat tum itni jaldi bhul jaoge ye nahi socha tha kunal mene.
Abir tum mishti ko bhul jao. tumne tab bhi kunal ko chuna tha aur tum aaj bhi kunal ko hi chun na. tumhe koi haq nahi hai abir khush rehne ka, koi haq nahi.
Saying this Nanu left the room angrily.
both Abir and kunal was silent for few minutes. they were not able to face each other probably for the first time in life.
bhai aapne itni badi baat mujhse chhupayi..Kunal finally broke the silence.
Nahi Nanko, mene bahot koshish ki thi tujhe batane ki..lekin halat aur waqt kisine mera sath nahi diya..meri baat puri nahi ho payi..Abir said and held kunal's shoulder.
Kunal recalled the incident on goddhana day when abir wanted to talk to him on something very important. He now understood what was that important thing.
He suddenly felt guilty for not understanding his bhai's feeling. agar us din goddhana ho jata to..he thought.
Bhai me soch raha tha mishti hamare beech aa rahi hai, lekin sach to ye hai ke me hamesha se aapke aur mishti ke beech me aa raha tha...he spoke feeling completely heartbroken and left the room
Nahi Nanko aisa kuch nahi hai...abir was about to stop him when Jugnu enters..
Abir bhaiya Mishti didi ko hosh aa gaya..
YOU ARE READING
Mishbir- love is powerful
Fanfictionmy first ever #mishbir story.it starts from dahi handi sequence.