WAR

295 20 9
                                    

hlo friends m back with new update well mujhe aap sabhi ke comments mile nd thank you very much for comments nd suppoet.     mein bhi hazir hu apne next part ke saath ek baar phir....... so lets start......this one........

part6.

abhijeet out of beauro.......

acp - daya cabin mein aao.... mujhe baat karni ha.....

daya - ok sir.....

both way in cabin....... acp nd daya.....

acp-betho daya.....

daya-ji sir.....

acp- daya ye kya horaha h beauro mein.... abhijeet ko woh sab kehne ki kya zarort thi.... manta hu tumse glti hui pr proof agar pucha toh woh baat bolne ki kya zarort thi.....

daya- headdown.. sorry sir.....

acp-dekho daya mein janta hu ye galat ha lekin ek tum hi ho jis pr usne khud se zada bhrosha kiya ha... or aaj tumne woh baat kahi h jiski sayad umeed abhijeet ne nhi ki thi daya use us hadse ke baare mein yaad dilane ki kya zarort thi tumne us waqt uska saath diya tha jb kisi ne nhi diya tha kya tum ab is baat ka ahsan jata rahe ho abhijeet pr.... daya is baat se bahut disturb hogya h abhijeet wase bhi woh apne mission ko lekr bahut preshan ha us pr attack horahe ha.. tumhare jane ke baad bhi hua tha... or aaj ye baat.......

daya-achullay sir mein ye bolna nhi chahta tha pata nhi khud pr cantrol nhi raha mera or meine woh sab bol diya....
lekin sir.... mujhe lag raha h ye abhijeet humara abhijeet nhi ha... usko meine kbhi itne gusse mein nhi dekha.   ..

acp-kbhi aesi baat bhi toh nhi ki tumne...... mujhe toh tum bdle huye lag rahe ho daya... kuch problem h kya? 

WAR जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें