Kamakshi : Kaash.....
Hum mile hi nahi hote....
Diary me likhte likhte Kamakshi ki aankhon me aansu aa jate hai.
Kamakshi : Kaash....
Zindagi jaise chal rahi thi waise hi chalti rahti.
Main tumhe khona nahi chahti thi Yaman.
Woh bhi is Waqt jab mujhe emotionally bhi tumhari sab se jyada zaroorat hai.
Mujhe tumse lipat kar bas Rote rahna hai.
Tab tak jab tak dil halka mahesoos na kare.
Mujhe laga tha, pahle se mind ko prepared rakhungi toh 9 mahine Baad jab aakhri Waqt aayega main khud ko sambhal lungi.
Par khud ko baar baar rokne ke bawajud bhi main is bachche ke Saath judti chali gayi.
Lekha aur Ujjwaal ke Saath bhi.
Ab us ghar ko alvida kahna bhi mushkil hoga.
Itni sari yaadein 9 mahino ki.
Aur pata hai, jo homely feel mujhe apne ghar pe nahi hota na thak kar aane ke Baad woh Is ghar me hone laga hai.
Ekdum Happy aur peaceful vibes hai yahan.
Mujhe dar bhi lag raha hai Yaman.
Kenil bhi abhi wheelchair par hai.
Thik se khada nahi ho pata.
Papa Use aise dekh nahi pate is liye hospital nahi aate tum jante ho.
Tum the Saath toh sab aasan jaisa lagta tha.
Tabhi hospital ke kamare ka darwaaza khulta hai.
Kamakshi apni diary bandh kar deti hai.
Lekha kamare me aati hai.
Kamakshi apne aansu pochhti hai.
Lekha : Main kya kahu.....
Mujhe samaj nahi aa raha.
Woh Kamakshi ka Haath apne haathon me leti hai.
Kamakshi : Kuch mat kaho.
Lekha : I'm Sorry.
Kamakshi : nahi.
Lekha : tumhare Saath yeh mere liye bhi mushkil hai kammu.
Lekha ki aankhen bhi bheeg jati hai.
Kamakshi : don't feel guilty Lekha.
Mujhe pata tha yeh phase aane wala hai.
Agar Yaman hota toh......
Par Woh......
Lekha : tum jab tak chaho hamare Saath rahe sakti ho.
Kamakshi : Filhaal toh mujhe Kenil ka khayal rakhna hai.
Lekha : Hmmmm.
Woh kamakshi ke Paas Beth jati hai.
Kamakshi : tumhare.......
Lekha : Aaj........
Kamakshi : mujhe VIP treatment milne wali hai.....
Lekha : Haa.
Dono muskurati hai.
Lekha : abhi dard toh nahi ho raha na??
Kamakshi : abhi nahi.
Par dar lag raha hai.
Lekha : Sab thik hoga.
Main tumhare Saath hi hoon.
Kamakshi Haa me sar hilati hai.*FLASHBACK*
Kamakshi : Excuse me, aapne meri diary kyun li??
Hello.....main aapse puchh rahi hoon.
Aap jo bhi ho.....aapne meri diary kyun li??
Yaman : Yaman.
Woh Kamakshi ki taraf dekhta hai.
Yaman : mera Naam jo bhi nahi Yaman hai.
Kamakshi : meri diary puchhe bina aap ne le li aur aap mujh par chilla rahe ho??
Diary dijiye.
Kamakshi Yaman ke Haath se diary le leti hai.
Yaman : Mujhse koi zor se Baat nahi karta samji.
Woh kamakshi ke Paas jakar Use Ungli dikhakar kahta hai.
Kamakshi : K......K......kon hai aap??
Aur yeh kya tarika hai??
Yaman : Yeh mera tarika hai.
Yaman ki aankhon me gussa dikh raha hota hai.
Tabhi ek nurse aakar Yaman ko le jati hai.
Kamakshi : Thank God.
Woh rahat ki Saans leti hai.4 ghante Baad
Kamakshi ki aankhen khulti hai.
Aur Woh dekhti hai ki Yaman ka Haath Phir Uski diary par hota hai.
Is baar woh uth bethti hai.
Kamakshi : aap Phir aa gaye??
Aapko meri diary se kya lena dena hai??
Yaman : Dekhiye main ise wapas rakhne aaya tha.
Maine toh padh li.
Kamakshi : kya??
Yaman : jab kisi ko deni nahi hoti hai toh aise rakhte kyun ho ke logo ko padhne ka mann kare??
Kamakshi : kisi ki diary padhna is bad manerse.
Yaman : Haa toh, Use khuleaam rakhna bhi toh galat hai.
Kamakshi Yaman ko ghoorti hai.
Yaman : waise, aapki questions diary ke questions kafi interesting aur alag hai.
Aur isme aapne pichhe yeh bhi likha hai ki ab tak aap randomly kitne logo se sawal puchh chuki hai.
200 right??
Kamakshi dusri taraf dekhne lagti hai.
Woh koi javab nahi deti.
Yaman : mujhse bhi Puchhiye na.
Tabhi Lekha wahan aati hai.
Lekha : Hii Yaman.....
Yaman : Hii Doctor Lekha....
Lekha : Mujhe tumhe yeh batana tha ki Dr. Kaushik tumhe 6th floor par bula rahe hai.
Yaman : Ohh....main jata hoon Bye.
Lekha : Bye.
Yaman chala jata hai.
Kamakshi : Kaise kaise log aa jate hai yaar genrel word me??
Lekha : Tu woh sab chhodd.
Ab tu kaisi hai??
Kamakshi : Accident ki wajeh se pair toh dard kar hi raha hai.
Aur genrel word me rahekar sar bhi dukhne laga hai.
Kamakshi chiddti hai.
Lekha : Sorry Kammu,
5th floor ke na sare kamare me patient hai.
Par kal tak shayad tumhe kamre me Shift kar denge.
Kamakshi : Okey.
Lekha : Achha, ab agar Yaman aaye toh Us se Pyaar Se hi Baat karna.
Nahi toh woh bhatak jata hai.
Aur kahi baar Use bipolar attack aa jata hai.
Kamakshi : Bipolar Attack??
Lekha : Bipolar depression me Insaan ka khud par kabu nahi rahta.
Woh kuch bhi kar bethta hai.
Khud ko bhi chot pahocha deta hai.
Isme bahut mood Swings hote hai.
Yaman ke Saath bhi wahi ho raha hai.
Kabhi woh ekdum achhe se peshaata hai.
Toh kabhi bahut jyada gussa ho jata hai.
Bhaagne lagta hai.
Jo Haath me aaye use fekne lagta hai.
Toh kabhi woh bas hume yakin dila ne ke liye aise peshaata hai jaise woh bilkul thik ho chuka hai.
Kamakshi : Oh my god!!
Attacks ke Baad Unhe Yaad rahta hai Unhone kya kiya??
Lekha : kabhi rahta hai kabhi nahi.
Kamakshi : Heavy dose dete hunge na medicine ke??
Lekha : Haa.
Woh hospital me hi rahta hai.
Dr. Kaushik ka patient hai.
Kamakshi : I feel Sorry for him.
Lekha : ab kafi recovery hai.
6 mahine pahle jab aaya tha.
Use handle karna bahut mushkil hota tha.
Anesthesia keInjections dete padte the.
Kamakshi : Ohh.
Lekha : anyway, tum aaram karo.
Mujhe delivery karne jana hai.
Baad me milti hoon.
Kamakshi : Thik hai.
Lekha : Bye.
Lekha chali jati hai.
Kamakshi Yaman ke baare me Sochne lagti hai.
Kamakshi : Net pe dekhti hoon Bipolar ke baare me.