Lekha : So.....
Kamara kaisa hai??
Kamakshi : boring.
Aur kitne din mujhe rahna hoga??
Lekha : jab tak aap thik nahi ho jati.
Kamakshi : Hmmmm.
Woh muh banati hai.
Lekha : TV dekho na.....
Kamakshi : pura din koi TV kaise dekh sakta hai??
Woh bhi mere jaisa??
Lekha : Right.
Kamakshi : You know me na from childhood.
Lekha : Yes my friend.
Aur isiliye main aapke liye apne ghar se khana bana kar layi hoon.
Kamakshi : Ohh!!
Thank You So Much.
Mujhe isi ki zaroorat thi.
Kamakshi khush hoti hai.
Lekha : Saath me lunch karte hai.
Woh 2 tiffin kholti hai.
Koi darwaaza khatkhatata hai.
Lekha darwaaza kholti hai.
Yaman : Hii.
Lekha : Hello Yaman.
Lekha muskurati hai.
Yaman : Main andar aau??
Lekha : Haa aa jav.
Yaman : Thank You.
Woh andar aata hai.
Kamakshi Uski taraf dekh muskurati hai.
Lekha : Hamare Saath khaoge??
Yaman : Nahi.
Lekha : idhar udhar kya dekh rahe ho??
Yaman : Kuch nahi.
Yaman kamare ke dusre bed par bethta hai.
Kamakshi : tumhe diary Chahiye??
Yaman Kamakshi ki taraf bas dekhta rahta hai.
Kamakshi : Chahiye toh le sakte ho.....
Lekha : diary??
Yaman : mujhe nahi chahiye.
Kamakshi : Thik hai.
Yaman : aap dono khalo.
Tab tak main betha hoon.20 min Baad Lekha chali jati hai.
Kamare me Kamakshi aur Yaman Akele hote hai.
Yaman : tumhe aaj dar nahi lag raha mujhse??
Kamakshi : nahi.
Yaman : tumhe Dr. Lekha ne bata diya na??
Kamakshi : kya??
Yaman : ki mujhe bipolar hai.
Par main ek Baat batau.....
Mujhe bipolar nahi hai.
Janta hoon, tum jaldi vishwas nahi karogi par sach me main normal hoon.
Jaise tum ho.
Kamakshi : Nahi.....
Yaman : I'm not joking.
Kamakshi : toh Phir........
Yaman : Bhargav textiles ka Naam suna hai??
Kamakshi : Haa.
Yaman : Woh mere papa ka hai.
Kamakshi : tumne K & K electronics company ka Naam suna hai??
Yaman : Haa Suna hai.
Kamakshi : Woh mere papa ki company hai.
Yaman : Yani 2 din pahle tumhare hi accident ki khabar news paper me aayi thi??
Kamakshi : really??
Mujhe nahi pata.
Yaman : tumhara Naam Kamakshi hai na??
Kamakshi : Haa.
Yaman : Yani hum dono ke papa shaher ke bade logo me se ek hai.
Kamakshi : What a Co-incident!!
Yaman : waise tumhara accident hua kaise??
Kamakshi : Yeh Jo meri questions diary hai na main roz use Saath lekar pedal nikal jati hoon.
Kahin bhi jati hoon aur logo se randomly diary me se koi bhi sawaal puchhti hoon.
Jaise " What is Life for you ans in only 1 word?? "
" What is the purpose of ur life you think?? "
" Kya aapko Sunday pasand hai?? "
" Aapka mannpasand rang konsa hai?? "
" Zindagi me aap sabse jyada khush kab huye the, ek aisa pal jise aap kabhi bhool nahi payenge?? "
Yaman main sabse jyada khush tab hua tha jab mujhe samaj aa gaya ki mujhe pilot hi banna hai.
Wahi mera passion hai.
Par kisi ne woh samja hi nahi.
Sab ko yahi lagta tha aur unhe Sirf ek hi ummed thi mujhse ki beta toh papa ka business hi aage sambhalega.
Aur jaise diary me tumne dusra sawaal likha hai na.....
" Ur Saddest moment of Life?? "
Woh bhi yahi tha ki mere sapne ki kisi ne kadar nahi ki ghar me.
Aur jab college me lagadaar 2 saal main fail hua toh mujhe hi daata gaya.
Sabke samne papa ne 2 thappad mare.
Aisa nahi hai ki mere sapne ke baare me maine kaha nahi tha.
Main baar baar kahta tha mujhe pilot training ke liye jane do.
Par sab mujhe apne pinjre me ked kar ke rakhna chahte the.
Mujhe bahut gussa aata tha.
Phir ek din maine ek movie dekhi jis me main charecter ko bipolar hota hai toh Us se inspire hokar main bhi mujhe bipolar hone ka natak shuru kiya aur 6 mahine se hospital me hoon.
Kamakshi : par yeh natak kar ke tumhe kya mila??
Yaman : Woh sophisticated image maintaine karne ka pressure chala gaya.
Kamakshi : par ek bipolar hone ki image maintaine karna us se jyada mushkil nahi ho jata??
Yaman : ho jata hai.
Par mujhe Bachpan se na Sirf aur Sirf rules follow karne ko kaha gaya hai.
Toh......
Kamakshi : Rules todne me maza aata hai??
Yaman : kahe sakti ho.
Kamakshi : par 6 mahine tak??
Rules tod tod ke bhi bore nahi hote??
Yaman : hota hoon.
Par khud hi jal bana kar khud hi fas gaya hoon.
Safe rasta mill nahi raha.
Jis se sap bhi mar jaye aur lathi bhi na toote.
Kamakshi : Kuch na kuch toh hoga hi.
Agar sap ne nahi dasa toh bhi chiti toh kat sakti hai.
Yaman : Hmmmm.
Kamakshi : tumhari apne mummy papa se Baat hoti hai??
Is Baat par Yaman halka hassta hai.
Yaman : Nahi.
Shuruat me hoti thi.
Milte bhi the.
Ab bas har mahine paise jama ho jate hai.
Yaman ki aankhen bhar aati hai.
Kamakshi : meri bhi mumma nahi hai.
Papa aur bhai pura din kam me busy rahte hai.
Ghar me 4 nokar hai.
Aur mere Naam itni jaydaad ki mujhe kam karne ki bhi zaroorat nahi hai.
Isi liye roz diary lekar bas nikal jati hoon.
Kuch log pagal kahte hai yeh kaise sawaal puchhti hai??
Kuch log samjate hai beta is se achha kuch aur karle.
Toh kuch log bina aur puchhe sawaalo ke javab de dete hai.
Lekha aur main School friends hai.
1st to 12th Saath me hi the.
Bas wahi ek dost rahe gayi hai.
Baki khud hi hoon.
Khud ki main humsafar.
Yaman : papa aur bhai tumse kuch kahte nahi??
Kamakshi : pasand nahi hai unhe mera aise logo se bahar jakar swaal puchhna.
Par ab kuch nahi kahte.
Yaman : mujhe aur sawaal puchhona.
Kamakshi : puri diary toh tumne padh li hai.
Jo sawaal pasand ho uska khud javab de do.
Yaman : tumhe sare sawaal Yaad Hai??
Kamakshi : Haa.
Yaman : total kitne sawaal hai??
Kamakshi : maine gine nahi.
Main roz naye sawaal likhti rahti hoon.
Yaman : Aaj koi naya likha ho toh woh puchho??
Kamakshi : What is the salt of your life??
Yaman : Salt??
Main samja nahi.
Kamakshi : imagine food without salt how it tastes??
Yaman : Umm......incomplete.....
Kamakshi : So my question is what is your passion, your obsession for life??
Without that you feel your life is meaningless......saltless.....
Yaman : my dream to become a pilot.....
Pilot bankar plane udana hi meri zindagi ka sab kuch hai.
Kamakshi : I wish ki tumhara sapna jaldi pura ho jaye.
Yaman muskurata hai.
Yaman : Tumhari zindagi ka salt kya hai??
Kamakshi : thoda ajeeb lagega par questions diary hi meri zindagi ka salt hai.
Aur logo se diary me se swaal puchhna Unke javab ko dusri diary me notedown karna.
Mujhe na logo ki zindagiyo ke baare me janne ki ek curiosity lagi rahti hai.
Log zindagi ke baare me kya Sochte hai??
Kaise jeete hai??
Unhe zindagi kaisi lagti hai??
Yaman : Yeh achhi Baat Hai.
Tumhe pata nahi hai, tum kitne logo ko inspire kar sakti ho.
Kamakshi : Main aisa kuch nahi kar rahi.
Yaman : tumhe andaaza nahi hai.
Kamakshi : Main kuch khaas thodi kar rahi hoon.
Yaman : par yeh bahut alag hai.
Tum kab tak ho hospital me??
Kamakshi : jab tak puri tarha thik na ho jau.
Yaman : tab tak mujhe company milegi.
Kamakshi : mujhe bhi.
Dono khush hote hai.
Yaman : top secret kisiko batana mat.
Kamakshi : agar bata doon toh??
Kamakshi shararat se puchhti hai.
Yaman : toh.....bhi jo hoga achha hi hoga.
Thodi bahut daat khane ki toh aadat hai mujhe.
Kamakshi : thodi ya bahut??
Yaman : Dono.
Woh hassta hai.
Yaman : koi dusra sawaal puchho.....
Kamakshi : Okey.......
Woh diary me sawaal dekhne lagti hai.
Kamakshi : Agar aapko kaha jaye ki aapko EMOTIONS ko ek color dena hai,
Ek Color ki definition deni hai.
Toh woh konsa color hoga??
Yaman : Very intresting question.
Ummmm.....purple color.
Kyunki agar aap gussa ho toh dark purple, Normal Happy mood me ho toh perfect original purple aur agar aap peaceful feel kar rahe ho, care and love feel kar rahe ho toh Uske liye light purple color.
Because light purple have his own beauty.
Kamakshi : tumhe pata hai kya??
Maine kafi logo se puchha yeh sawaal par itna achha aur itni detail me kisi ne javab nahi diya.
Thank You.
Kamakshi muskurati hai.
Yaman : Thank You mujhe kahna chahiye.
Kamakshi : aaj meri baari.
Yaman : Thik hai,
Ab main chalta hoon warna sab kuch aur samaj jayege.
Kamakshi : Ohh Yeah!!
Yaman : Take care.
Yaman chala jata hai.