Poem (Nazm)

103 17 28
                                    

Woh kia bachpan ka zamaana tha
Jab pehli baar roy thy ham

Woh kia ajab daastaan thi
Jab abu ny goud me utha kar duniya dikhai thi

Woh kia muskurahaton ki baarish hui thi
Jab bagair chatri ke uss me nahai thy ham

Woh kia yaad thi

Jab darwazy ke peachy chup jaate thy
Or jab bhai ate to dra dete unhe ham

Woh kia lamha tha

Jab skool sy aate he park me bhag jate thy
Kabhi cricket, kabhi banteor chupan chupai khelte ham

Woh kia waqt tha

Jab parhty parhty neend aa jaati or wahi soo jaate thy ham
Jab subah uth kr dekhna to apne bistar par hote hum

Aik baar phir aankhon me aansu bharaate hy
Jab ammi ny pehli baar daanta tha

Mujhay gale lga kr bolien kitny naa smajh hy na ham

Rishte nibhana jante the ham
Dil e nadaan ko hameesha sjhate rhy ham

Apaa ke haatho me moti moti kitabein hoti thein
Or unhe tuktuki bandh kr dekhte rehty ham

Kia kuahish thi barry hony ki
Ab jab bachpana yaad ata hy to sar pakr kr beth jaate hy ham

Abba ke kandhon par duniya dekhte ham
Jesi nazar ati thi wasi hy nhi duniya

Muskuraa kr sochte hy magar ab hy choton ko sikhana

Ab aisa nhi hy
Jaisa tha bachpan ka zamaana

----

Bachpan Ka Zamaana ✔Where stories live. Discover now