Woh kia bachpan ka zamaana tha
Jab pehli baar roy thy hamWoh kia ajab daastaan thi
Jab abu ny goud me utha kar duniya dikhai thiWoh kia muskurahaton ki baarish hui thi
Jab bagair chatri ke uss me nahai thy hamWoh kia yaad thi
Jab darwazy ke peachy chup jaate thy
Or jab bhai ate to dra dete unhe hamWoh kia lamha tha
Jab skool sy aate he park me bhag jate thy
Kabhi cricket, kabhi banteor chupan chupai khelte hamWoh kia waqt tha
Jab parhty parhty neend aa jaati or wahi soo jaate thy ham
Jab subah uth kr dekhna to apne bistar par hote humAik baar phir aankhon me aansu bharaate hy
Jab ammi ny pehli baar daanta thaMujhay gale lga kr bolien kitny naa smajh hy na ham
Rishte nibhana jante the ham
Dil e nadaan ko hameesha sjhate rhy hamApaa ke haatho me moti moti kitabein hoti thein
Or unhe tuktuki bandh kr dekhte rehty hamKia kuahish thi barry hony ki
Ab jab bachpana yaad ata hy to sar pakr kr beth jaate hy hamAbba ke kandhon par duniya dekhte ham
Jesi nazar ati thi wasi hy nhi duniyaMuskuraa kr sochte hy magar ab hy choton ko sikhana
Ab aisa nhi hy
Jaisa tha bachpan ka zamaana----
YOU ARE READING
Bachpan Ka Zamaana ✔
PoetryLanguage: Urdu Bachpan kis kis ko apna nhi yaad ata. Kitni khuahish hoti h na hm sb ki bary hony ki. Or jab bary ho jaate hy toh yeh lamhaat yaad ate hyn. ---- زبان = اردو بچپن کس کس کو اپنا نہیں یاد آتا. کتنی خواہش ہوتی ہے نا ہم سب کی بڑے ہونے کی...