Haq

554 69 7
                                    

In Sameer s house

Sameer naina ke khayalo me khoya rehta hai tabhi nanaji ate

Nanu-kya baat hai bharkudhar kaha khoye hue ho

Sameer-are nanu app me kahi nhi khoya hoon

Nanu-accha chal nhi batana hai mat bata par ek na ek din toh batana padega hi

Sameer-acha thik hai agar mere life me koi ladki hogi toh sabse pehle apko bataunga thik hai

Nanu-ye hui na baat waise me thuje kuch kehna chaahta hoon

Sameer-haan nanu kahiye ap kab se aise jhijakne lage

Nanu-beta ajj teri maa ka phone ayega toh kya thodi der ke liye unse bat kar lega

Sameer-nanu ap jante ho mujhe unse baat karne ka shok nhi hai wo jab bhi baat karti hai sirf apne pyare rohan ki compare karti hai mujhse

Nanu-acha par tu yeh mere liye kar le please

Sameer-acha thik hai par sirf app ke liye

In Nirmal Jyoti society

Naina soch rhi thi ki ab wo Sameer se kaise baat kar payegi drama ki wajah se dono saath me toh rehte the ab toh wo bhi nhi ho sakega ahh kya karu

Next day In school

Sameer bahut gusse me dikhai de raha tha naina ko samajh nhi aa raha tha wo kya kare kaise baat kar wo sochti hai recess me use samjhayegi

Recess me Sameer apni class me betha hota hai usne Munna pandit ko bhi keh ke bejha diya ki usko bhookh nhi mundit jante the iska gussa kaisa hai isliye wo bhi chale gaye naina preeti Swati se bahana banake Sameer ke class me ati hai

Naina-sameer tum yaha kya kar rahe ho tumhe tiffin nhi karna hai kya

Sameer-nhi naina mujhe bhookh nhi please tum jake khalo

Naina-thik hai tumhe bhookh nhi to mujhe bhi bhookh nhi hai

Sameer-naina maine bola na jao ek baar bolta hoon toh samajh nhi ata hai kya or kis hak se tum mujhe khane ko keh rhi ho ( loudly)

Naina bahut dar jati hai aur rone lagti hai

Naina-ha Sameer tum thik keh rahe ho mera tum pe koi hak nhi hai sorry me chali jati hoon

Naina wahan se chali jati hai

Sameer Naina ki baten sun kar kudh ko kosh raha tha

Sameer-ye kya kiya maine apni naina pe kaise chilaya me sorry naina me bahut bura hoon ab tum mujhse kabhi bat nhi karna chati hogi na sorry naina me ajj ke bad kabhi tum pe gussa nhi karunga sorry

Sameer rote rote samne diwal par kas marta tab tak marta jab tak uska hath laal nhi ho jata phir wo naina ko dhundne jata hai wo har class library playground par naina use kahi nhi dikhti wo daudte daudte terrice pe Chala jata hai waha jake dekhta naina wahan kone me baith ke ro rhi thi naina ko aise rote dekh uske bhi asoon aa rahe the wo bhot guilty feel kar raha tha wo wahin apne guthno par baith kar rone lagta Sameer ki rone ki awaj sunkar naina Sameer ki taraf dekhti hai uski taraf daud ke jati hai

Naina-sameer kya hua tum ro kyu rahe ho
Esse pehle Sameer kuch keh pata naina ko uska bleeding hand dikh jata

Naina sameer ka haath ko pakad Leti hai aur haath ko sahalane lagti hai

Naina-sameeerr tuu mhe ye choot kaise lagi dhyan rakhna chaiye tha na kya karte ho tum bhi

Sameer-i m sorry naina me age se aisa kabhi nhi karoonga i m really sorry

Naina-ha age se aisa mat karna dekho kitna khoon beh raha hai

Sameer-naina me is chot ki baat nhi kar raha hoon ye chot toh kuch bhi nhi hai jo chot maine tumhe di naina me mafi ke kabil toh hoon nahi phir apne iss gussel awara aur badtameej dost ko maaf kardo

Naina-nhi me kisi awara gussel aur badtameej ladke ko maaf nhi karungi

Yeh sunke Sameer ko lagta hai uski akhon ke samne andhera cha gaya ho

Naina-kyunki mujhe koi gussel awara aur badtameej ladka nhi dikh raha mujhe toh sirf ek pyara sa buddhu sa mera dost dikh raha hai mera dost ko kabhi mujhse sorry kehne ki jarorat hi nhi hoti isliye no mafi

Naina ki baten sun us ke dil me bas ek hi chij ata ek taraf uski ma jo sirf mujhse sorry bulawana chahti hai aur dusri taraf naina jise koi sorry ki jarorat hi nhi hai aur Sameer ke dil me jo pyaar tha wo bahar aa jata hai Sameer dhere dhere naina ke paas jane lagta hai sameer ko apne itne pass dekh kar naina apni akhen band kar leti hai sameer naina ka haath pakadta hai

Sameer-naina i love you mujhe pata hai maine bahut jaldi kardi ye bolne par mujhe batana tha tumhe tum meri jindagi me sirf dost nhi ho meri jaan duniya dil sab ho mera dil sirf tumhare liye dhadkta hai aur tum jitna chahe me marte dam tak tumhare intejar karunga bas itna yaad rakhna I love you

Phir school ki ghanti bajti hai aur naina Sameer ko dekh nhi pati aur sharm ke mare wahan se bagh jati hai
Samee bhi waha se muskurate huye Chala jata hai poora din naina bas sarmaye ja rahi thi aur Sameer muskuraye ja rahe the inke dost inko aise dekh ke pareshan ho rahe the aur soch rahe inhe kya hua hai

secret loveWhere stories live. Discover now