mohabbat

13 1 0
                                    

chalo jaane dete hai
nahi karte gussa
kyuki ab wo manaatey bhi nahi
warna kahan hum path'thar reh paatey.

iss zarre ki kaa.enaat ho tum
zikr kiya jaaye to zaydaat ho tum
ye shadid nazar hai mera basera
rooh talak chhap gayi hai yeh chehra.

yeh raah hai anjaan
sambhal ke rehna
pehle rakha karte they, ab bas alfaaz sa reh gaye

aks me bas ashq hi dekha
ye hasrat humne hai chuna
tabaahi ko inayat samjha
naya koi khaab na buna.

rasq me jalan ki bhi ek masumiyat hoti hai
aatish ko aaghosh me samaana aapne sikhaaya
galat fehmi ki ye kasauti thi
hata diye zindagi se, kar diya paraya

yaadon ki ikhtiyaar ye hai ki
ab talak un paakiza nigahon ke mohtaaz hain
sudhar jayenge, ye kehte huye arsa nikal gaya
qurbat ki chah me qayamat ki taraf badne laga hun

chalo jaane dete hai
nahi karte gussa
kyuki ab wo manaatey bhi nahi
hum na hain path'thar, na hi wo bewafa...!!!!!

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Oct 21, 2020 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

तो ये था कहना |Where stories live. Discover now