aagahi

221 22 17
                                    

                 Aagahi (knowingness) 🥰

Ali ki cheekhe puri ghar me gunj ri ti or usk peeche peeche aliya bhag ri ti...ali  sunte q ni ho tum meri bat bhtt ziddi ho re ho tum..aao chup kark khana khao ni to...wo dhamkane wale andaaz me boli zayan wahi thahar k apni maasoom si awaj me bola,nahi to kya mama..btae na kya karengi fir aap..aliya apne is eklote bete ko ghur kar rah gayi jisne use nacha kar rakh dea tha itna shararti uff tauba....lekin usk dam se hi is pure ghar m raunak thi ..aaj chutti ka din tha or zayan ghar pe hi in maa bete ko dekhte hur chai ka maza le re te...ali ka bachpan me Wo apne aap ko dhundhte te kahi na kahi...dkhte dkhte wo purani yaado me kho gaye.......*******

Mama bataye na papa kaha hai or wo kab aynge ...?zayan ne apni gol gol ankho me sare jahan ki narazgi samo k apni Maa se  pucha Or zeenat begam khamoshi se uska masoom chehra dekh ke rah gayi hamesha ki tarah kahti bhi kya...iska jawab to wo khud 6 saal se dhundh ri Ti or jwb.....wo srf ek shakhs ke paas tha murtaza  hasan, akhir Q wo apne 1 saala bete or mujhe chork chale gaye mera qusur kya tha bina kuch btaye bina kuch kahe itni khamoshi se...k us khamoshi ka irtekaaz aaj bhi 6 saal bad bhi ni chuta.....
Zayan apni umar ke lihaj se kuch zyada hi samjhdar ho gaya tha bachpan me hi baap ka saya sir se uth gaya...or maa wo unhe apna dushman smjhne lag gaya zayan ko hamesha yahi lagta tha ki uski Mama ne hi papa ko usse dur kar dea hai...or is galatfahmi ne use maa se Bahut dur kar dea...
Murtaza hasan k jane bad zeenat ke jeene ki bas ek hi waja thi uska beta zayan jise wo acchi tarbiyat maa or baap dono ka pyar dena chahti thi...kuch waqt kharab tha kuch zayan ki beniyazi ne unhe waqt se phle hi duniya chorne par majbur kar dea ...is waqt zayan 22 saal ka tha...zeenat begam ke jaane ke baad zayan ko tanhaiyo ne gher lea ek maa thi or wo bhi is duniya se chali gayi bhari puri duniya me wo khud ko tanha pata tha...sirf ek bua hi thi Jinhone pure ghar ko sambhala hua tha khana pakana zayan ka khyal rkhna safai sab wohi dekhti thi.....dekhte dekhte saal guzarte gaye waqt beetta gaya zayan tarakki ki unchai pe tha ye sab uski mehnat ka nateeza tha..or kuch maa ki duaen jo ise itne kam waqt me tarkki ki unchaiyo pe pahucha dea..sab kuch si chal ra tha sb thik tha success  accha ghar gaadi sab kuch hi to tha usk paas fir bhi ek khalipan sa tha jo use udaas rkhta tha...apni tanhai dur krne ke lea wo dosto ke sath late night parties me jane laga club rato rat ghar ata nind se bojhal ankhe lea or bed pe pad jata bua uski ye halat dekh mann hi mnn bua kudhti rahti agar kuch kah deti to fr zayan ka gussa satven asman pe hota to zayan ko kuch samjhnae se phale wo 100 bar sochti...abhi wo subah uth k nashta hi kar ra tha ki bua samjhane lagi ..zayan beta rat ko jaldi ghar se aa jaya kro apni sehat ko dekho din badin girti ja rahi hai...bua ka itna kahna afat ho gya...kya hai bua subah subah shuru ho jati hai aap nashta karna mushkil kar dea hai mat dea kare mujhe ye lectures ni samjhna mujhe kuch...kursi ko dhakka dete hue gaadi ki chabhi uthayi or ye ja wo ja...bua bas man hi man zayan ki khairo afiyat ke lea dua mangti rahti ya allah mere zayan ko sidna rasta dikha use hidayat de de...(.shayad wo lamha qubuliyat tha.)... Rat ko wo jaldi ghar laut aya use subah wale rawayye pe pachtawa tha jo usne bua ke sath kiya...kya kah ri ti sirf uska khyal hi To rakh ri thi isme itna gussa karne wali kya bat thi man hi man ye sochte hue wo bua ki room ki taraf chal dea qki is puri duniya me ek bua hi thi filhal jo usse pyar krti uska khyal rakhti zayan ko bhi unse mohabbat thi tabhi to wo unhe manane pahuch gaya....
Bua bed pe leti tasbeeh padh ri ti use dekh ke ek dam se khush ho gayi..aao aaon baitho beta aaj tum jaldi aa gye
Haa bua bas wo subah mane jo apke sath kiya wo thk ni tah mai maazrat karna chahta hu apse please mujhe maaf kar de...bua uske sir p hath ferne lagi kesi bate karte ho beta..ho jata hai kabhi kabhi koi bat nahi...
Bua aap bahut aachi hai zayan ne unka hath chum ke ankho me lga liya zayan ki is harkat pe to bua nihal hi ho gayi duaen dene lagi...
Zayan unki god me sir rakh ke let gaya or wo uske sir me hath ferti rahi,bua mere andar ye khalipan q hai sab kuch hai mere paas sukun q nahi mera yaha koi nahi ye bat mujhe bachpan se andar hi andar khokhla kar rahi hai..beta jiska koi ni hota na Uska aLlah hota hai wo apne bando se badi mohabbat karta hai..ek baar uski bargah me jhuk ke dekho tumhe sukun mil jayga..bua kah ri ti or uska dimag kisi or hi simat laga hua tha..uske paas sawal bahot the or jawab ek bhi ni ki allah ne uske papa ko usse dur q hone dea usk papa use chorke q chale gaye..uski maa ko bhi cheen lea usse agar allah ko mujhse itni mohabbat hai to mujhse ye sab q cheen lea q wo mujhe sukun nahi deta...bahot sare sawalo ne use allah se bahot dur rakha tha....ye sab sochte hue najane kab wo nind ki wadiyo me gum ho gaya pata hi ni chala subah uski ankh fazr ki azaan hone se khuli ankhe khuli to dekha bua sajde me ro ri hai or duaen mang ri hai..ye dekh ke zayan ke dil ko kuch hua wo apne room me aa gya lakh koshishon ke bawajud wo so ni paya...fr naha dhok wo office jane ki tayari me lag gaya subah se hi bua ki tabiyat kahrab thi ...bua esa kare aap aram kare nashta mai office me kar lunga...
Agr aap kahe to mai aaj chutti kar leta hua..arrey nahi beta tum office jao mai thik hu bas thori thakan hai jab tak tum wapis awgy mai thik ho jawgi inshallah...usne bua ke hath chume ankho pe lagya..jo uski hamesha ki adat thi office jane se pahle ye bua ko pyar karna...bua zayan ke sir pe hath fer ri thi or duaon ke sath zayan ko allah hafiz bol dea wo bhi allah hafiz bol k office chala gya..
Pura din bahot masruf guzra sham ko wo ghar jaldi aa gya bua ki tabiyat ki wjaa se..lekin ye kya zayan ke ghar ke bahar bheed jama thi or kuch logo ke sisakne ki awaj aa ri thi uske Dimag ne khatre ka alarm bajne laga..usko dekh ke sab usko gale lagane lage...jab wo andar dakhil hua usk qadmo tale zameen hi nikal gayi bua use hamesha ke lea chor ke ja chuki thi uski ankho me bas bar bar unka muskurata hua chehra nazar aa ra tha or wo rone lagta kahne ko bua thi wo lekin unhone use maa se bhi badhkar pyar dea zayan ke lea wo maa hi thi aaaj zayan ko laga is duniya me uska koi nahi wo fr akela ho gaya hai hamesha ke lea din yuhi guzarte rahe lekin zayan ki bechainiyan badhti jaa rahi thi..ise sukun nahi aa ra tha...
Aaj bhi wo bed p baith k phone chala ra tha usne mobile utha ke fenk dea uska kisi chiz me dil nahi lag ra tha..rat se subah hone ko i thi magar nind ankho se koso dur thi...tabhi allahu akbar ki awaj kank se takrayi fazr ki azan ho rahi thi uske dil ko kuch hua...wo walk ke lea nikal utha walk karte karte nazane q usk qadam automatically masjid ke or ghum gaye koi taqat thi jo use khich ri ti use pata hi ni chala kab wo masjid me khada namaz padh ra tha ....usne jab dua ke lea hath uthaye to jese sari zindagi ke ansu usk ankho se rawa ho gaye...kahne ko bahot kuch tha alfaz sath ni de re the wo rota raha rota raha.....jab sari bhadas nikal gayi usne munh pe hath fera dekha samne masjid ke imam khade the wo muskura rahe the mai bhi unhe dekh ke halke se muskura dea mujhe sukun aa gya tha aaj....bua sach kahti thi allah apne bando se mohabbat karta hai agar usse kuch cheenta hai to badle me use duniya jahan ki nemat deta hai dhire dhire zayan ko samjh ri thi uske jo sawal the dhire dhire usk har sawal ka jawab milta gaya.... Rat ke 2 baj rahe te Or mujhe nind nahi aa ri thi mai library ki taraf chal dea...library mai kabhi kabhar hi jata tha meri maa ko padhne ka bahot shauk tha wo aksar library me hi payi jati thi najane q aaj maa ki yaad bahot shiddat se aa rahi thi mai yuhi kitabe check karne laga mujhe usme ek laal colour ki diary nazar ayi jise aksar mai apni maa k hatho me dekhta tha..mane use utha liya or padhne baith gaya...subah ho chuki thi meri ankho se ashk rawa the Zeenat begam ne har us bat ka isme zikar kiya tha jo unki zindagi me hua...unki har bat zayan se shuru hui thi or zayan pe khtam...murtaza hasan unhe chork chale gaye the bina bataye bas kai sal bad unka khat aya ke mane shadi kar li hai tum apni zindagi me khush rahnA or zayan ka khyal rakhna....bas uske bad se na koi khat aya or na hi murtaza......
Zayan ko jo lagta tha ki mere papa ke dur hone me meri maa ka qusur hai aaj zayan ki ye galatfahmi bhi dur ho gayi ..... Rat ke 3 baj re the or wo musalle pe baitha hua bas hath failaye hue tha uski ankho se ashk rawa the akhir q itne saal wo is galatfahmi me jeeta raha ki qusurwar uski maa thi....wo bas hath failaye apni maa k lea duaen mangta raha...
Ya allah meri Maa is duniya me jis aziyat se do char hona pade usk badle unhe unke hat gunah ke lea maaf kar de jo unhone jaan ke kiye ya anjaan ke...meri maa ko jannat me aala maqam de ya allah unhe duniya me bahot sabr kiya unke sath zulm hua unhone uff tak ni mere rab tu to sabr karne walo ke sath hai ya allah mere itne gunaho ke badbhi tune mujhe sajde ki taufeeq ata farmayi tu mujhe apni shah rag se bhi zyada qareeb lagta hai ae rab tu mujhse mohabbat karta hhaiis duniya ki jar makhlooq ko chahta hai................or najane wo kya kya mangta raha duaon me puri rat guzar gayi fazr ko azane ho rahi thi jab usne salam kark hath fere uska pura hath bheeg chuka tha...usne tora sa pani piya waju kiya or masjid ki or chal pada aaaj uski zindagi ka har khalipan dur ho gaya tha bua jo kahti thi jiska koi nahi hota uska allah hota hai aaj use ye bat kahi andar se mahsus hui thi...Allah To usk sath tha hameshabas usne pahchanne me der kar di..allah to sabke sath hota hai kuch use panchan jate hai or kuch nashukri me apna waqt gawa baithte hai...or kuch ko allah chun leta hai apni ibadat ke lea zayan ko chun liya gaya tha use hidayat mil gayi thi...........*******
.mai roz masjid jata imam g se tori dosti ho gayi unse kuch bate ho jati wo ek acche insan the unse bat karke mujhe apnepan ka ahsan hota mai unse quran padhne laga .....wo mujhe bahot pasand karte the or meri har bat se waqif the or mujhe  samjhate bi te..wo aksar mujhse kahte the zayan beta ab shadi kar lo ghar basao or mai bas muskura deta mene abhi shadi ke bare me kuch bhi nahi socha tha mai well settled tha koi bhi ladki asani se mujhse shadi kar leti lekin mujhe ek aam si ladki se shadi ni karni thi...koi khass or wo khaas ladki mujhe aaj tak nazr nhi i thi to shadi ka khyal bhi ni aya...wo aksar mujhse khate the beta ghar aa jaya kro kabhi...lekin kabhi himmat hi ni hui ....2 din ho gaye te imam sahan masjid nahi aye the mujhe fikar hui mai unke ghar chala gya darwaja unki wife ne khola...
Assalamu alakum wo mai imam sahab ko dkehne aya tha wo masjid nahi aye kai din ho gaye hai..unhone mere sir pe hath fera walaikum assalam imam sahab aksar tumhara zikar karte hai accha hua tum aa gye mujhe bhi Bahot mn tha tumse milne ka aao baitho...mai dining room me wahi sofe pe baith k imam sahab ka intezar karne laga itne me ek ladki sharbat ka glass lekar aa gayi..safed dupatte ko sir pe atkaye hue wo kisi asman se utri hu apsara lag ri ti dhula hua purnoor chehra itna mukammal husn itni pakeezgi mai lamhe k lea dam sadhe wahi baitha rah gya wo kabka aa k jaa chuki thi or mai wahi ka wahi tha...itne me imam sahab ke ane pe mai hosh m aya or sida hokar baith gaya kuch bate hui or fir mai ghar laut aya........

aagahi (Completed ✅) Where stories live. Discover now